Khaṛí thí mán ashk álúda,
pás Salíb ke gham rasída
Beṭá jab maslúb húá
Kartí thí nála-o-zárí
bin talwár us kí gham-khárí
dil ko chhed kar pár hogí
Háe kaisí thí ázurda
yih mubárak barguzída
mán iklaute Beṭe kí
Mán shafíq ranjída khátir
rotí thí Beṭe kí khátir
Jo ízáen jheltá thá
Kaun sá ádmí tars na khátá
mán Masíh kí agar dekhtá
is dard-nák musíbat men.
Kaun is qadr sakht dil hotá
Jo is mán ke sáth na rotá
Beṭe kí hamdardí men
Yisú‘ ko dukh sahte dekhá
us ko koṛe kháte dekhá
‘ásíon ke ‘íwaz men.
Dekhtí apná piyárá Beṭá
jo salíb par khún bahátá
Ruswá ho kar martá hai
Bakhsh de mujh ko mán piyarí
apní jaisí dil ázárí
tere gham men hún sharík
Tú sargarmí kar ‘ináyat
mere dil kí kar hidáyat
ki Masíh ko piyár karún
Jo sazá us ne uṭháí
aur qurbání jo chaṛháí
us men mujh ko shámil kar
Zakhmí Beṭe ke ‘azáb ká
shafíq munjí kí taklíf ká
main bhí banon hissa dár
Maut tak terá gham khár rahná
Yisú‘ ke sáth taklíf sahná
Dil o Ján se cháhatá hún
Pák salíb ke níche roná
Dukh men terá sáthí honá
Main har waqt yih cháhtá hún.
Jáe maut se jism fání
Rúh ko mile táj ásmání
Merí sun ai mán shafíq
Join us this Friday, on the 2nd March 2012, for The Stations of the Cross for more details click here
For stations of the Cross in Urdu click here
No comments:
Post a Comment