Thursday, 28 September 2017

26th Sunday in Ordinary Time A (Urdu)

26th Sunday in Ordinary Time A

Sál ke daurán Chhabbíswán Itwár (A)

khilah (Entrance Antiphon):
(Dániál) Dn 3:31, 29, 30, 43, 42
Ai Khudáwand jo kuch tú ham par láyá hai aur ham se kiyá hai
tú ne wuh ‘ahd o sadáqat se kiyá hai.
Kyúnki ham ne tujh se ru gardání kar ke gunáh kiyá thá.
Ham ne tere hukmon ko nahín máná thá.
Pas apne nám ká jalál záhir kar,
aur apní intiháí rahmat ke mutábiq ham se sulúk kar.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai mihrbán Khudá
Tú ziyáda tar rahm kar ke aur tars khá kar apní qudrat-i Mutlaq záhir kartá hai
Ham par apne kí kasrat názil farmá
Táki ham aise chalen
Ki tere wa‘de hamáre liye púre ho saken
Aur tú hamen apní ásmání barkaton men hissadár baná sake
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat: 
(Hizqiál kí kitáb) Ezek 18 :25-28
Jab sharír apní badí se tauba kartá hai to wuh yaqínan zinda rahegá

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm Ps 24:4-9 Jamá‘ati jawáb áyat: 6
Jamá‘ati jawáb:  Ai Khudáwand apní rahmat ko yád rakhh
Yá
 Hallelujah

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Filippíon ke nám) Phil 2:1-11
Tumhárá mizáj wahí ho jo Masíh Yisú‘ ká thá.

Ai bháiyo, agar kuchh dilásá Masíh men aur mahabbat kí tasallí aur Rúh kí sharákat aur rahm dilí aur hamdardí hai, to merí is Khushi ko púrí karo ki yakdil raho. Yaksán mahabbat rakho, yak-ján aur ham khayál raho, tafriqe aur bejá fakhr se kuchh na karo, balki firotaní se ek dusre ko apne se bihtar jáno: ki har ek apne fáida ká nahín balki dúsron ke fáida ká khayál rakkhe. Pas tumhárá mizáj wuhí ho jo Masíh Yisú‘ ká thá:

Us ne Khudá kí zát men ho kar
Khudá ke barábar honá ghanímat na jáná

Balki us ne apne áp ko khalí kar diyá
aur ghulám kí zát ikhtiyár karke
insánon ká mushábih ho gayá

insání shakl men páyá já kar
apne áp ko firotan kar diyá
aur maut, balki salíbí maut tak, farmánbardár rahá

aur isí wáste Khudá ne use niháyat baland kiyá
aur use wuh nám bakhshá jo har ek nám se a‘lá hai,

Táki Yisú‘ ke nám par har ek ghuṭná jhuke,
Kyá ásmán men, kyá zamín par, kyá ‘álam-i asfal men

Aur Khudá Báp ke jalál ke liye har ek zabán iqrár kare,
ki Yisú‘ Masíh Khudáwand hai

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Gospel Acclamation
Hallelujah: (Yúhanná) John 14:23
Hallelujah Hallelujah 
Agar koí mujhe piyár kartá hai to wuh mere kalám par ‘amal karegá
aur merá Báp bhí use piyár karegá
aur ham us ke pás áenge.
Hallelujah 

Yá
Hallelujah: (Yúhanná) John 10:27
Hallelujah Hallelujah 
Khudá farmátá hai, merí bheṛen merí áwáz suntí hain,
Main unhen jántá hún
Aur wuh mere píchhe píchhe átí hain
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Matí ke mutábiq) Matt 21:28-32
Wuh pachhtá kar kám karne chalá gayá, mahsúl aur kasbíán tum se pahle Khudá ki bádsháhat men dákhil ho rahí hain.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai rahím Khudá
Hamen yih taufíq de ki hamárá nazrána terá maqbúl-i nazar ho
Hamáre liye har tarah kí barkat ká chashma baháe
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Ps 118:49-50
Ai Khudáwand, us kalám ko yád kar jo tú ne apne bande se kiyá hai,
aur jis se tú ne ummed daláí hai.
Merí musíbat men yihí mere liye tasallí ká bá‘is hai.
OR
(1 Yúhanná) 1 Jn 3:16
Ham ne is se Khudá kí muhabbat ko jáná hai
ki us ne hamáre wáste apní  ján de dí
is liye cháhiye ki ham bhí bháiyon ke wáste ján den.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Tú is Pák ‘ibádat ke zarí‘a hamen
Jismání aur rúhání shifá ‘atá kartá hai
Táki ham jalálí watan men Masíh ke ham mírás banen
Ham usí ke dukh uṭhá kar
Usí kí maut ká e‘lán karte hain
Usí ke wasíle se hamárí iltijá qabúl kar
Jo tere sáth hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín