Ilahí Rahm (Divine Mercy in Urdu)

Ilahí Rahm


Ai Yisú‘, merá bharosa tujh par hai

‘Ám Rozrí par paṛhen ke liye

Ág̣ház: Ek Daf́ah: Ai Hamáre Báp, Salám ai Mariyam, Rasúlon ká ‘Aqída

Baṛe motiyon par “Ai Hamáre Báp” kí jagah mundaraja-e zail du‘á paṛhen:
Ai abdí Khudá Báp! Main apne aur tamám duniyá ke gunáhon ke kafáre ke liye tere piyáre Beṭe, hamáre Khudáwand Yisú‘ ká Badan aur Khún, Rúh aur Ilahiyát, terí nazr kartá/kartí hún.

Chhoṭe motiyon par  “Salám ai Mariyam” kí jagah mundaraja-e zail du‘á paṛhen:
Ai Báp! Yisú‘ Masíh ke aziyat nák dukhon kí khátir ham par aur tamám duniyá par rahm kar.

Ikhtitám: Tín Daf ‘ah yih alfáz paṛhen:

Ai Pák Khudá, Ai Pák Qádir I Mutlaq, Ai Pák abdí Báp, ham par aur tamám duniyá par rahm kar. Ámín.