Thursday, 28 September 2017

26th Sunday in Ordinary Time A (Urdu)

26th Sunday in Ordinary Time A

Sál ke daurán Chhabbíswán Itwár (A)

khilah (Entrance Antiphon):
(Dániál) Dn 3:31, 29, 30, 43, 42
Ai Khudáwand jo kuch tú ham par láyá hai aur ham se kiyá hai
tú ne wuh ‘ahd o sadáqat se kiyá hai.
Kyúnki ham ne tujh se ru gardání kar ke gunáh kiyá thá.
Ham ne tere hukmon ko nahín máná thá.
Pas apne nám ká jalál záhir kar,
aur apní intiháí rahmat ke mutábiq ham se sulúk kar.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai mihrbán Khudá
Tú ziyáda tar rahm kar ke aur tars khá kar apní qudrat-i Mutlaq záhir kartá hai
Ham par apne kí kasrat názil farmá
Táki ham aise chalen
Ki tere wa‘de hamáre liye púre ho saken
Aur tú hamen apní ásmání barkaton men hissadár baná sake
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat: 
(Hizqiál kí kitáb) Ezek 18 :25-28
Jab sharír apní badí se tauba kartá hai to wuh yaqínan zinda rahegá

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm Ps 24:4-9 Jamá‘ati jawáb áyat: 6
Jamá‘ati jawáb:  Ai Khudáwand apní rahmat ko yád rakhh
Yá
 Hallelujah

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Filippíon ke nám) Phil 2:1-11
Tumhárá mizáj wahí ho jo Masíh Yisú‘ ká thá.

Ai bháiyo, agar kuchh dilásá Masíh men aur mahabbat kí tasallí aur Rúh kí sharákat aur rahm dilí aur hamdardí hai, to merí is Khushi ko púrí karo ki yakdil raho. Yaksán mahabbat rakho, yak-ján aur ham khayál raho, tafriqe aur bejá fakhr se kuchh na karo, balki firotaní se ek dusre ko apne se bihtar jáno: ki har ek apne fáida ká nahín balki dúsron ke fáida ká khayál rakkhe. Pas tumhárá mizáj wuhí ho jo Masíh Yisú‘ ká thá:

Us ne Khudá kí zát men ho kar
Khudá ke barábar honá ghanímat na jáná

Balki us ne apne áp ko khalí kar diyá
aur ghulám kí zát ikhtiyár karke
insánon ká mushábih ho gayá

insání shakl men páyá já kar
apne áp ko firotan kar diyá
aur maut, balki salíbí maut tak, farmánbardár rahá

aur isí wáste Khudá ne use niháyat baland kiyá
aur use wuh nám bakhshá jo har ek nám se a‘lá hai,

Táki Yisú‘ ke nám par har ek ghuṭná jhuke,
Kyá ásmán men, kyá zamín par, kyá ‘álam-i asfal men

Aur Khudá Báp ke jalál ke liye har ek zabán iqrár kare,
ki Yisú‘ Masíh Khudáwand hai

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Gospel Acclamation
Hallelujah: (Yúhanná) John 14:23
Hallelujah Hallelujah 
Agar koí mujhe piyár kartá hai to wuh mere kalám par ‘amal karegá
aur merá Báp bhí use piyár karegá
aur ham us ke pás áenge.
Hallelujah 

Yá
Hallelujah: (Yúhanná) John 10:27
Hallelujah Hallelujah 
Khudá farmátá hai, merí bheṛen merí áwáz suntí hain,
Main unhen jántá hún
Aur wuh mere píchhe píchhe átí hain
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Matí ke mutábiq) Matt 21:28-32
Wuh pachhtá kar kám karne chalá gayá, mahsúl aur kasbíán tum se pahle Khudá ki bádsháhat men dákhil ho rahí hain.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai rahím Khudá
Hamen yih taufíq de ki hamárá nazrána terá maqbúl-i nazar ho
Hamáre liye har tarah kí barkat ká chashma baháe
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Ps 118:49-50
Ai Khudáwand, us kalám ko yád kar jo tú ne apne bande se kiyá hai,
aur jis se tú ne ummed daláí hai.
Merí musíbat men yihí mere liye tasallí ká bá‘is hai.
OR
(1 Yúhanná) 1 Jn 3:16
Ham ne is se Khudá kí muhabbat ko jáná hai
ki us ne hamáre wáste apní  ján de dí
is liye cháhiye ki ham bhí bháiyon ke wáste ján den.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Tú is Pák ‘ibádat ke zarí‘a hamen
Jismání aur rúhání shifá ‘atá kartá hai
Táki ham jalálí watan men Masíh ke ham mírás banen
Ham usí ke dukh uṭhá kar
Usí kí maut ká e‘lán karte hain
Usí ke wasíle se hamárí iltijá qabúl kar
Jo tere sáth hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín


Saturday, 25 March 2017

Is jahán men kis sabab se (God Of Mercy And Compassion)Is jahán men kis sabab se dukh men hain ham par̟e
Háe gunáhon ke sabab se dukh men sab hain ham par̟e

Ai rahímá piyáre Yisú‘ bakhsh de mere gunáh
Chhor̟tá hún páp sáre, tauba kartá rahúngá

Bad-firishte kis sabab se ág men d̟ále gaye
Háe gunáhon ke sabab se ág men d̟ále gaye

Ai rahímá piyáre Yisú‘ bakhsh de mere gunáh
Chhor̟tá hún páp sáre, tauba kartá rahúngá

Báp Ádam kis sabab se bágh se hánká gayá
Háe gunáhon ke sabab se bágh se hánká gayá

Ai rahímá piyáre Yisú‘ bakhsh de mere gunáh
Chhor̟tá hún páp sáre, tauba kartá rahúngá

Piyárá Yisú‘ kis sabab se dukh men súlí par mará
Mere pápon ke sabab se dukh men súlí par mará

Ai rahímá piyáre Yisú‘ bakhsh de mere gunáh
Chhor̟tá hún páp sáre, tauba kartá rahúngá

اِس  جہاں میں کس سبب سے دُکھ میں ہیں ہم پڑے
ہائے گناہوں کے سبب سے دُکھ میں سب  ہیں ہم پڑے

اَے رحیما پیارے یسوع بخش دے میرے گناہ
چھوڑتا ہوں پاپ سارے ۔ توبہ کرتا رہوں گا

بد فرشتے کس سبب سے آگ میں ڈالے گئے
 ہائے گناہوں کے سبب سے  آگ میں ڈالے گئے

اَے رحیما   پیارے یسوع بخش دے میرے گناہ
چھوڑتا ہوں پاپ سارے ۔ توبہ کرتا رہوں گا

باپ آدم کس سبب سے باغ سے  ہانکا گیا
ہائے گناہوں کے سبب سے   باغ سے  ہانکا گیا

اَے رحیما پیارے یسوع بخش دے میرے گناہ
چھوڑتا ہوں پاپ سارے ۔ توبہ کرتا رہوں گا

پیارا یسوع کس سبب سے دُکھ میں سُولی پر مرا
میرے پاپوں کے سبب سے دُکھ میں سُولی پر مرا

اَے رحیما پیارے یسوع بخش دے میرے گناہ
چھوڑتا ہوں پاپ سارے ۔ توبہ کرتا رہوں گا


English Version Can be found here  

Wednesday, 1 March 2017

Wednesday 1st March 2017, Ash Wednesday


Rákh ká budh
khilah (Entrance Antiphon):
 (Hikmat) Wisdom 11:242527
Ai Khdáwand tú sab maujúdát ko piyá kartá hai.
Tú kisí bhí chíz se jo tú ne banáí hai nafrat nahín kartá.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai mihrbán Khudá,
Hamen taufíq ‘atá kar ki ham Pák roza ke zari‘e badíon ká muqábala karne ke liye
Masíhí jang in madad bakhsh ‘ibádaton se shurú‘ karen
Hamen parhez-gárí aur sakht riyázat kí zarúrat hai
Hamen yih taufíq ‘atá farmá
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Yúel nabi kí kitáb) Joel 2:12-18
Apne dilon ko chák karo, na ki apne kapṛon

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 50 Jamá‘ati jawáb áyat: 3
(Jamá‘ati jawáb) Ai Khudá ham par raham kar, kyúnki ham gunahgár hain

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Dusrá Khatt Qurinthíon Ke Nám) 2 Corinthians 5:20 - 6:2
Khudá se mel kar lo, ab qabúlíyat ká waqt hai

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Na‘rah-e Hamd:
Zabúr  50:12,14
ai Khudá, mujh men ek pák dil paidá kar,
aur apní naját kí shádmání mujhe ‘ináyat kar

Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Matí ke mutábiq Matthew 6:1-616-18
Tera Báp, jo poshídagí men dekhtá hai, tujhe badla degá.

Us waqt Yisú‘ ne apne shágirdon se kahá; Khabardár, apne rástí ke kám logonke sámne dikháne ke liye na karo, nahin to tumháre Báp kí taraf se jo ásmán par hai. Tumhen ajr na milegá. Pas jab tú khairát kare to apne sámne turhí mat bajwá, jaisá riyákár ‘ibádatkhánon aur kúchon men karte hain, táki log un kí ta‘ríf karen. Main tum se sach kahtá hún, ki wuh apná ajr pá chuke. Magar jab tú khairát kare, to jo terá dahiná háth karta hai, use terá báyán háth na jáne; táki terí khairát poshída rahe, aur terá Báp, jo poshídagí men dekhtá hai, tujhe badla degá.
          Aur jab tum du‘á karo to riyákáron kí mánind na honá, kyúnki wuh ‘ibádatkhánon men aur bázáron ke moṛon par khaṛe ho kar du‘á karna pasand karte hain, táki log unhen dekhen. Main tum se sach kahtá hún, ki wuh apná ajr pá chuke. Lekin jab tú du‘á kare to apní koṭhrí men já, aur darwáza band karke apne Báp se poshídagí men du‘á kar, aur terá Báp jo poshídagí mendekhtá hai tujhe badla degá.
          Aur jab tum roza rakkho to riyákáron kí mánind apná chihra udás na banáo, kyúnki wuh munh bigáṛte hain, táki log uhen rozadár jánen. Main tum se sach kahtá hún, kiwuh apná ajr pá chuke. Lekin jab tú roza rakkhe, sir par tel lagá, aur munh dho; táki ádmí nahín, balki terá Báp jo poshídagí men hai, tujhe rozadár jáne, aur terá Báp jo poshídagí men dekhtá hai tujhe badla degá.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Blessing and Distribution of Ashes

Rákh par barkat kí du‘á
After the Homily, the Priest, standing with hands joined, says:
 ‘Azizon! Ham tauba ká izhár karne ke liye máthon par rákh lagáenge
Áen ‘ájizí ke sáth Khudá Báp se du‘á karen
Ki wuh apne baṛe fazl ke sáth ise pák kare
After a brief prayer in silence and, with hands extended, he continues:
Ai rahím Khudá
Tú farotaní ko dekh kar tars khátá
Aur kaffáre par nigáh kar ke mihrbán ho játá hai
Mihrbání se hamárí iltijáon kí taraf tawajjuh kar
Aur apne bandon ko iláhí barkat + kí taufíq ‘atá kar
Jin ke máthon par rákh lagáí jáegí
Unhen sachchí tauba ká fazl bakhsh ki
Rozon kí pá-bandí karte húe sáf dilon ke sáth
Tere Beṭe ke marne aur jí uṭhne kí yádgár manáne ke láiq ṭhahren
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Ai mihrbán Khudá
Tú gunahgáron kí halákat nahín balki un kí tauba cháhtá hai
Mihrbání se apne bandon kí du‘áen qabúl kar ke
Is rákh ko pák kar +
Ham ise apne máthon par lagáenge
Táki hamen yád rahe ki ham sirf khák hain
Aur khák hí men lauṭenge
Bakhsh de ki ham garm-joshí ke sáth rozon kí pá-bandí karne se
Apne gunáhon kí mu‘áfí
Aur zinda Masíh se nayí zindagí hásil karne ke qábil ṭhahren
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
He sprinkles the ashes with holy water.
Then the Priests places ashes on the head of all those present who come to him, and says to each one:
Tauba karo aur Injíl par ímán láo
Yád rakh ki tú khák hai aur khák hí men lauṭegá

The Liturgy of the Eucharist

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham sanjídagí ke sáth rozon ke shurú‘ men yih qurbání chaṛháte hain,
Aur tujh se iltijá karte hain ki tú hamen nuqsán dih ‘ádaton se báz rakh
Níz nafs-kushí aur díní-muhabbat ke kámon kí waja se gunáhon se pák sáf kar
Hamen is láiq baná ki ‘aqíde ke sáth
Tere piyáre Beṭe ke dukhon ko yád karen
Jo mar kar aur murdon se zinda ho kar
Ab tere sáth hamesha se hamesha tak
zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
 (Zabúr) Psalm 1:2-3
Jo ádmí din rát Khudáwand kí  sharí‘at par dhyán lagátá hai,
wuh apne waqt par phal láegá.  

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á
Ai rahím Khudá
Jo Pák Sharákat ham ne lí hai
Us se hamen yih madad hasil ho
Ki hamáre rozon terí nazr men qabúl hon
Aur hamáre liye shifá ká bá‘is hon
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín

---
Reading Resources

For resources for Ash Wednesday (Ordinary and Extraordinary Forms) clickhere Also some Questions answered by James Akin here and 9 things to know and share about Ash Wednesday and here Jimmy Akin looks at the law from the Church’s official legal documents. 

More Resources: To learn more about Ash Wednesday from Catholic Encyclopedia click here 

Video Resources

The Biblical Roots of Ash Wednesday 
In this video, Dr. Pitre gives insight into the Biblical foundation for Ash Wednesday
The Significance of Ash Wednesday


Bishop Barron On LentWhat are the Practices of Lent?
Preparing for Lent4 Reasons for Fasting4 Reasons for AlmsgivingDr. Scott Hahn: Enjoy Lent!
Scott Hahn - Forty DaysAsh Wednesday & Lent in 60 Seconds. With LEGO!

What Is The Deal With Ashes On Ash Wednesday?
Every Catholic has known that awkward feeling of someone looking at his forehead when he goes out in public after receiving ashes on Ash Wednesday. Karlo Broussard provides some tips on how to use that awkward moment for evangelization.