Thursday 31 May 2012

Mass in Urdu

Aqdas Sálús kí ‘Íd (The Solemnity of The Most Holy Trinity) 
Sunday 3rd June 2012
Christ Church, 
Carr Rd, 
Nelson
Lancashire 
BB9 7EN
Time: 3 pm


First Sunday of the month at 3pm
The Mass is followed by the sharing of a meal together. Everyone is welcome.

Saturday 26 May 2012

Sunday 27 May 2012 ‘Íd -i- Pentekust


‘Íd -i- Nuzúl -i- Rúhu’l Quds

khilah (Entrance Antiphon): (Hikmat) Wis 1: 7
Khudáwand kí Rúh se duniyá ma‘múr hai
Us men har chíz samáí húí hai
Wuh har bát ke ‘ilm se wáqif hai
Hallelujah.

Readings
Pahlí Tiláwat:  
(Rasúlon ke A‘mál) Acts 2:1-11
Wuh sab Rúhu’l Quds se bhar gaye, aur bolne lag gaye.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr : Psalm 103:1,24,29-31,34 Jamá‘ati jawáb áyat: 30
Jamá‘ati jawáb:
Ai Khudáwand apní Rúh ko bhej
aur rú e zamín ko nayá kar de.
or
Hallelujah!

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurinthíon ke nám) 1 Corinthians 12:3-7,12-13
Ham sabhon ne ek hí Rúh ká baptisma páyá hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah:
Hallelujah, Hallelujah,
Ai Rúhu'l Quds Á. Apne ímándáron ke dilon ko bhar de
Aur un men apní mahabbat kí ág bhaṛká  
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq) John 20:19-23
Jis tarah Báp ne mujhe bhejá hai, usí tarah main tumhen bhejtá hún

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Acts 2: 4, 11
Sab Rúhu’l Quds se bhar gaye,
aur Khudá ke ‘ajíb kám bayán karne lage Hallelujah


----

Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here
For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here.

The Church and the Mystery of Pentecost


The Church and the Mystery of Pentecost. Excellent Talk by Dr. Brant Pitre.

Monday 21 May 2012

Prayer To The Holy Spirit


Rúhu'l Quds se Du‘á


Ai Rúhu'l Quds Á. Apne ímándáron ke dilon ko bhar de, aur un men apní mahabbat kí ág bhaṛká

Leader:-
Apná Rúh bhej aur wuh paidá ho jáenge

Jamá‘at:
Aur tú Rúe zamín ko nayá karegá

Ham Du‘á mángen:
Ai Khudá jis ne apne ímándáron ke dilon ko Rúhu'l Quds kí raushní se ta‘lím dí hai. ‘Ináyat kar ki uśí Rúh ke in‘ám se, ham hamesha rástí ko pasand karen aur us kí tasallí men hamen khushí karte rahen. Masíh hamáreKhudáwand ke wasíle se. Ámín


----
Download in pdf format here

Saturday 19 May 2012

20th May 2012 - The Ascension of the Lord


‘Íd -i- Su‘úd 



At the Mass during the day

khilah (Entrance Antiphon): (A‘mál) Acts 1: 11
Ai Galílí mardo, tum kyún khaṛe ásmán kí taraf dekhte ho?
Jis tarah tum ne use ásmán par játe dekhá hai, usí tarah wuh phir áegá, Hallelujah.

Readings
Pahlí Tiláwat:  
(Rasúlon ke A‘mál) Acts 1:1-11
Wuh un ke dekhte hí dekhte úpar uṭhá liyá gayá.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr : Psalm 46:2-3,6-9 Jamá‘ati jawáb áyat: 6
Jamá‘ati jawáb:
Khudá khushí ke na‘re ke sáth
Khudáwand turhí áwáz ke sáth su‘úd hotá hai.
or
Hallelujah!

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Ifisíon ke nám) Ephesians 4:1-13 or Ephesians 4:1-7, 11-13
Khidmat ke kám men Masíh ká badan bante jáo.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
or
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Ifisíon ke nám) Ephesians 1:17-23
Use ásmán par apní dahiní taraf biṭháyá
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: cf. (Matí) Mat 28:19, 20
Hallelujah, Hallelujah,
Jáo já kar sab qaumon ko shágird banáo,
main duniyá ke ákhir tak har roz tumháre sáth hún.
 Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke mutábiq) Mark 16:15-20
Wuh ásmán par uṭhá liyá gayá aur Khudá ke dáen taraf baiṭh gayá
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Cf. (Matí) Mat 28:20
Main duniyá ke ákhir tak har roz tumháre sáth hún. Hallelujah
------

Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

Ascension Day, the Kingdom, and the Church Commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page here 

More Resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

Whit Walk Nelson

Whit Walk, Nelson, Lancashire
19 May 2012.
Organised by
 The Nelson churches in covenant














Pakistani Catholics from Nelson at the Westminster

Night of Witness
17th May 2012
Westminster Cathedral
organised by
























Guests at the Night of Witness:

  • Bishop Joannes Zakaria from Egypt
  • A priest who was shot at because of his faith
  • Women who have fled violence, oppression and dscrimination in their homelands
  • Iraqi Christians in Need
  • Priests and faithful from Iraq, Pakistan, Zimbabwe, Sudan, Nigeria, Sri Lanka and Lithuania

Performers on the Night of Witness:


  • Catholic band ooberfuse, winners of the World Youth Day 2011 global song contest
For more info click here
More photos at British Pakistani Christian Association here
also check out: Night of Witness is a night to remember By John Pontifex here

Saturday 12 May 2012

Sunday 13 May Sixth Easter Sunday


Páshká ká chhaṭhá Itwár

khilah (Entrance Antiphon): Cf. (Yasa‘iya) Is 48: 20
Khush alháni ke sáth is bát kí khabar do aur mashhúr karo
zamín kí intihá tak is ká e‘lán karo,
aur kahte jáo ki Khudáwand ne apne logon ko riháí bakhshí
 Hallelujah

Readings
Pahlí Tiláwat:  
(Rasúlon ke A‘mál) Acts 10:25-26,34-35,44-48
Rúhu’l Quds ghairqaumon par bhí názil kiyá gayá hai.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr : Psalm 97:1-4 Jamá‘ati jawáb áyat: 2
Jamá‘ati jawáb:
Khudáwand ne qaumon par apní naját záhir kí hai
or
Hallelujah!

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Yúhanná Rasúl Ká Pahlá Khatt) 1 John 4:7-10
Khudá mahabbat hai
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: cf. (Yúhanná) Jn14:23
Hallelujah, Hallelujah,
Yisú ne farmáyá agar koí mujhe piyár kartá hai to wuh mere kalám par ‘amal karegá aur merá Báp bhí use piyár karegá aur ham us ke pás áenge.
 Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq) John 15:9-17
Is se ziyáda piyár koí nahin kartá ki apní ján apne doston ke liye de de. 
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Cf. (Yúhanná) Jn 14: 15-16
Khudáwand farmátá hai
ki agar tum mujhe piyár karte ho, to mere hukm máno
aur main Báp se darkhwást karúngá aur wuh tumhen dúsrá wakíl bakhshegá
jo abad tak tumháre sáth rahegá. Hallelujah
------

Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here
The Sacred Page Podcast Jesus, the Servant, and His Sacrificial Love in John (Podcast on the Sunday Readings: 6th Sunday of Easter)
For Commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page here 

More Resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

Thursday 10 May 2012

Ai Mubárak Mariyam


Ai Mubárak Mariyam, merí mán ban, ai mere nek aur nigáhbán farishte sab ráhon men merí hifázat kar. Ai Khudá ke sab farishton aur muqaddason hamáre wáste du‘á mángo ki hamárá Khudáwand hamen barakat de, aur sab badí se bacháe, aur hamesha kí zindagí men ham ko láe, marhúm ímándáron kí rúhenKhudá kí rahmat se, árám men rahen Ámín.

Wednesday 9 May 2012

Ai Malikah Ásmán kí shádmán ho (Regina Caeli)


Páshká ke waqt se le kar Aqdas Sálús ki ‘Íd tak firishte ke paighám ke bajáe du‘á-e zail paṛhí játí hai. During Paschaltide Regina Caeli is prayed instead of the Angelus.

Leader:            Ai Malikah Ásmán kí shádmán ho                           Hallelujah
Jamá‘at:           is liye ki jis ko tú rahm men rakhne ke láiq húí          Hallelujah
Leader:            wuh jí uṭhá jis tarah us ne kahá thá                           Hallelujah
Jamá‘at:           hamáre wáste Khudá se du‘á kar                             Hallelujah
Leader:            Khush-o-khurram ho ai Kunwárí Mariyam               Hallelujah
Jamá‘at:           kyúnki Khudáwand dar haqíqat jí uṭhá hai                Hallelujah

Ai Khudá tú jo apne Beṭe hamáre Khudáwand Yisú‘ Masíh ke jí uṭhne se duniyá ko khushí bakhshne ke liye mihrban húá ham terí minnat karte hain ki tú yih ‘ináyat kar ki ham us kí wálida Kunwárí  Mariyam kí shafá‘at se abdí zindagí kí khúshnúdí páen usí Yisú‘ Masíh hamáre Khudáwand ke wasile se. Ámín.

Leader:            Jalál Báp aur Beṭe aur Rúhu’l Quds ká ho
Jamá‘at:           jaisá ke ibtidá men thá, ab hai, aur hamesha hogá. Ámín

Download in PDF format here

Firishte Ká Paighám (The Angelus)



V       Khudáwand ke firishte ne Mariyam ko paighám diyá
R       Aur wuh Rúhu’l Quds kí Qudrat se hámila húí
All     Salám ai Mariyam
          Puṛ fazl Khudáwand tere sáth hai
Tu ‘auraton men mubárak hai
Aur mubárak hai tere peṭ ká phal Yisú‘
Ai muqaddasa Mariyam
Khudá kí mán
Ham gunahgáron ke wáste du‘á kar
          Ab aur hamárí maut ke waqt. Ámín

V       Dekh main Khudá kí bandí hún
R       Jaisá tu ne kahá waisá hí mere liye ho
All     Salám ai Mariyam
          Puṛ fazl Khudáwand tere sáth hai
Tu ‘auraton men mubárak hai
Aur mubárak hai tere peṭ ká phal Yisú‘
Ai muqaddasa Mariyam
Khudá kí mán
Ham gunahgáron ke wáste du‘á kar
          Ab aur hamárí maut ke waqt. Ámín

V       Aur Kalám mujassam húá
R       Aur hamáre darmiyán rahá
All     Salám ai Mariyam
          Puṛ fazl Khudáwand tere sáth hai
Tu ‘auraton men mubárak hai
Aur mubárak hai tere peṭ ká phal Yisú‘
Ai muqaddasa Mariyam
Khudá kí mán
Ham gunahgáron ke wáste du‘á kar
          Ab aur hamárí maut ke waqt. Ámín

V       Ai Khudá kí pák wálida hamáre wáste du‘á kar
R       Táki ham Masíh ke wadon ke láiq ban jáen

Ham du‘ángen
Ai Khudáwand ham tere pas yih du‘á karte hain
ki tu hamáre dilon men apná fazl ḍál de
táki jaisá ham ne firishte ká paighám sunne se
Maísh tere Beṭe ká tajassum pahcháná hai
waisá hí ham us kí musíbaton aur salíb se
jí uṭhne kí azmat men  pahuncháe jaen
Usí Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se
Ámín
----
Other Prayers during the month of Mary:
Holy Rosary in Urdu (Roman Script) also available in the Persian Script here
Hail Mary (Firishte Ká Salám) can be found here
You download Firishte Ká Paighám in a PDF format here
Find out about the Angelus here