Salíbí Ráste Ke Chauda Maqám
Taiyárí kí du‘á
Dúsrá Maqám: Yisú‘ apní salíb uṭhátá hai
Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Chauthá Maqám: Yisú‘ ko us kí ghamzada mán ráste men miltí hai
Sátwán Maqám: Yisú‘ dúsrí bár girtá hai
Aṭhwán Maqám: Yisú‘ rone wálí ‘auraton ko tasallí detá hai.
Daswán Maqám: Sipáhí Masíh ke kapṛe utárte hain
Gyárahwán Maqám: Masíh Salíb par kílon se jaṛa játá hai.
Ai hamáre ‘azíz Khudáwand,
tú jo hamáre piyár kí khátir, salíb ke ráste par marne ko gayá
hai. Ham áj terí musíbaton par dhyán karne ke liye jama‘ hoge hain. Tú musíbaten uthá kar hamára namúna ban gayá táki ham bhí terí musíbaton
men sharík ho kar, tere jalál tak pahunch saken.
Hamen is safar men
apná baṛá piyár yád dilá aur gunáh se nafrat hamáre dilon men
paidá kar. Ham terí minnat karte hain, ki tere dukhon aur
salíbí maut kí khátir hamáre bahinon, bháiyon ko jo a‘ráf
men dukh sahte hain, ri‘áyat aur rahm hásil ho.
khaṛí thí mán ashk álúda,
pás Salíb ke gham rasída
Beṭá jab maslúb húá
Pahlá Maqám: Yisú‘ par maut ká fatwá diyá játá hai
Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí
Ai mere piyáre Yisú‘, Pílátus ne tere dushmanon ke ḍar
se, tujh par maut ká nájáiz fatwá diyá hai. Áj ham is bát par afsos
karte hain, ki ham ne bhí bahut dafah duniyá ke ḍar se, terá inkár
kar ke terí hukm ‘udúlí kí. Hamen yih dilerí bakhsh, ki áinda
ham hargiz terá inkár na karen.
Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí
rahmat se, árám men rahen Ámín.
Kartí thí nála-o-zárí
bin talwár us kí gham-khárí
dil ko chhed kar pár hogí
Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí
Ai mere piyáre Yisú‘, tú ne hamáre badle, apní salíb ká bojh
khushí se uṭháyá hai. Tujh men koí gunáh na thá, magar ham
men bahut se gunáh hain, aur ham behadd sazá ke láiq hain.
Hamen yih fazl bakhsh, ki ham dilerí aur Masíhí sabr se, apne
sab dukhon aur taklífon ko bardásht kar ke, apne gunáhon
ke liye kuch riyázat karen.
Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí
rahmat se, árám men rahen Ámín.
Háe kaisí thí ázurda
yih mubárak barguzída
mán iklaute Beṭe kí
Tísrá Maqám: Yisú‘ salíb ke bojh ke níche pahlí bár girtá hai
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí
Ai piyáre Yisú‘, tú hamáre
gunáhon ke sabab, aur hamáre piyár kí khátir, is qadr kamzor
aur láchár ho gayá thá, ki salíb ke bojh se munh ke bal gir paṛá.
Terí kamzor aur láchár hálat hamáre sakht dilon ko narm kar
de, aur in men sachchí tauba aur gunáh se nafrat paidá kar de.
Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí
rahmat se, árám men rahen Ámín.
Mán shafíq ranjída khátir
rotí thí Beṭe kí khátir
Jo ízáen jheltá thá
Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí
Ai mere piyáre Yisú‘, jab terí musíbat
ká waqt á gayá thá. To tere sab shágird, tujhe chhoṛ kar chhup gaye. Magar
terí mubárak mán ne tujhe na chhoṛá, na be-‘izzatyon aur
la‘naton kí parwá kí, balki tere
sáth salíb ke ráste par chaltí gayí. Ai Masíh kí be-dág mán,
mujhe yih dilerí sikhá, ki main sukh aur dukh men, ‘izzat aur be-‘izzatí
men, tere Beṭe ká wafádár rahún.
Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí
rahmat se, árám men rahen Ámín.
Kaun sá ádmí tars na khátá
mán Masíh kí agar dekhtá
is dard-nák musíbat men.
Pánchwán Maqám: Shama‘ún Qurení Yisú‘ ko Salíb uṭháne men sahárá detá hai
Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí
Is bát ke ḍar se, ki sháyad Masíh
kamzorí ke sabab se, kalwarí tak na pahunch páe. Yahúdíon ne
ek shakhs, ba-nám Shama‘ún Qurení ko begár men pakaṛá, táki
wuh Yisú‘ kí Salíb uṭhá kar chale.
Ai piyáre Yisú‘, ham bhí gharíbon
kí madad karne se terí madad kar sakte hain, kyúnki tú ne
kahá hai ki: “Jo kuch tum gharíbon ke liye karoge, wuh mere liye hí
kiyá jáegá.” Ham majbúran nahín balki maqdúr bhar khushí
se un kí madad karenge.
Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí
rahmat se, árám men rahen Ámín.
Kaun is qadr sakht dil hotá
Jo is mán ke sáth na rotá
Beṭe kí hamdardí men
Chhaṭhá Maqám: Veroniká Yisú‘ ka munh ponchhtí hai
Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí
Ai Yisú‘, kis qadr terí be-‘izzatí hogí hai, kánṭon
ke táj ne, tere ‘aziz munh ko lahú lahán kiyá. Salíb ke bojh ke
níche girte húe, tere munh par miṭṭí aur kíchaṛ
lag gayá hai. Yahúdíon ne tere Pák munh par thúká. Kaisí
diler thí wuh ‘aurat, jo sipáhíon men se guzar kar tere pás
áí aur apne rúmál se tere munh ko ponchhá.
Ai mere bacháne wále mujhe yih fazl bakhsh ki, main
bhí apní dunyawí ‘izzat ki parwá na karún, balki terí khátir
be-‘izzatí se na ḍaron.
Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí
rahmat se, árám men rahen Ámín.
Yisú‘ ko dukh sahte dekhá
us ko koṛe kháte dekhá
‘ásíon ke ‘íwaz men.
Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí
Socho, ki Khudáwand Yisú‘ Masíh kí hálat, kaisí láchár
hogí thí. Pahle wuh bág men jánkaní men á kar is qadir ghamgín
ho gayá, ki us ke tamám badan se khún ká pasiná nikalá. Phir
sárí rát, sipáhíon ne us kí be-‘izzatí kí aur phir be-rahmí se
kánṭon ká táj us ke sir par dabáyá. Wuh chalne ke qabil na rahá,
aur dúsrí bár munh ke bal gir paṛá.
Ai piyáre Yisú‘, main bár bár gunáh men girtá
hún, aur tú bár bár mujhe mu‘áfí bakhshtá hai, Main
tere sab’r aur rahm ká be-had shukr-guzár hún.
Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí
rahmat se, árám men rahen Ámín.
Dekhtí apná piyárá Beṭá
jo salíb par khún bahátá
Ruswá ho kar martá hai
Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí
Masíh ká búṛá hál dekh kar, bahut sí ‘auraten us ke
píchhe rotí aur mátam kartí húí
chal paṛín, magar Yisú‘ ne un kí taraf phir kar kahá: “ Ai Yarúshalem
kí beṭiyo! Mujh par mat roo, balki
apne áp aur apne bachchon par, kyúnki jab hare darakht
se aisá sulúk kiyá játá hai. To súkhe se zarúr karenge”.
Ai Khudáwand, terí bát bilkul durust hai.Ham to súkhe darakht
hain. Ham áj tak koí nekí ká phal nahín láe, balki bahut se
gunáh kiye aur be-had sazá ke láiq hain, hamen pichhle gunáhon
se sachchí tauba karne ká fazl bakhsh, aur áinda nek ráste par
chalne kí táqat de.
Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí
rahmat se, árám men rahen Ámín.
Bakhsh de mujh ko mán piyarí
apní jaisí dil ázárí
tere gham men hún sharík
Nauwán Maqám: Khudáwand Yisú‘ tísrí bár girtá hai.
Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí
Khudáwnd Masíh
asiá kamzor ho gayá thá, ki mushkil se
chaltá thá, phir bhí sipáhí be-rahmí se us ko dhamkáte, us ko gáliyán
bakte, aur us ko márte, táki kuch jaldí chale, lekin hamáre Khudáwand
men itní táqat nahín rahtí aur wuh un ke zulm ke sabab
tísrí bár girtá hai.
Ai Khudáwand, ham to tín bár nahín, balki
beshumár bár, gunáh men girte rahte hain. Hamen yih
fazl bakhsh, ki ham kabhí gunáh kí hálat men paṛe na rahín,
balki jitní bár giren, utní hí bár sachí tauba, aur sachá i‘tiráf
kar ke uṭh kaṛhe ho jáen.
Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí
rahmat se, árám men rahen Ámín.
Tú sargarmí kar ‘ináyat
mere dil kí kar hidáyat
ki Masíh ko piyár karún.
Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí
Pílátus kí kachaiharí men, sipáhíon ne baṛe
zor aur khushí se Masíh ko koṛon se márá thá. Is had tak ki,
us ká sárá jism lahú lahán ho gayá thá. In zakhmon men
Yisú‘ ke kapŕe, chaspán ho gaye the, phir sipáhí un ko khench
kar utárte hain, us ke tamám zakhm phir khul játe hain,
aur us ke sáre badan se khún bah nikaltá hai.
Ai Khudáwand, ham ne kitní bár pák- dámaní
ke khiláf gunáh kar ke, apne badanon kí, jo ki Rúhu’l Quds kí
haikal hain, be-‘izzatí kí hai. Tú ne in gunáhon ke kaffáre
ke liye, apne be-‘aib badan men kitne dukh, aur taklifen sahín.
Áinda ham tere pák fazl kí madad se,
shaihwat ke sab gunáhon se dúr rahenge.
Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí
rahmat se, árám men rahen Ámín.
Jo sazá us ne uṭháí
aur qurbání jo chaṛháí
us men mujh ko shámil kar
Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí
Jab sipáhí us jagah pahunch gaye, jo khopṛí kahlátí
hai, tab unhon ne wahán, Yisú‘ ko salíb par kílon se
jaṛá, aur do dákún ko bhí, ek ko dáen aur ek ko báen,
aur Yisú‘ ne kahá: “Ai Báp in ko mu‘áf kar, kyúnki wuh nahín
jánte ki kyá karte hain.”
Ai Khudáwand, tú ne apne dushmanon ká baṛá zulm
bardásht kar ke, un ke liye mu‘áfí cháhí, lekin main aksar auqát chhoṭi
báton kí khátir, apne paṛausí se hasad rakhtá, aur un se
badlah lená cháhtá hún. Áinda main terá namúna yád kar ke,
kisí se dushmaní na rakhúngá, balki muhabbat ke baṛe hukm par ‘amal
karúngá.
Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí
rahmat se, árám men rahen Ámín.
Zakhmí Beṭe ke ‘azáb ká
shafíq munjí kí taklíf ká
main bhí banon hissa dár
Bárhwán Maqám: Yisú‘ Salíb par martá hai
Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí
Jab dopahar ke qaríb thá, to sárí zamín par andherá chhá
gayá, aur Yisú‘ ne baṛí áwáz se pukár kar kahá: “Ai Báp, main apní
rúh tere háthon men saunptá hún.” Aur yih kih kar us ne ján de
dí.
Ai mere ‘aziz bacháne wále, tú mere badle aur sárí duniyá ke
badle, apní ján qurbán kartá hai. Hamáre gunáhon ke sabab bihisht
ká darwáza band thá, balki hamesha ká dukh, dozakh men
hamáre liye taiyár thá. Lekin tú hamáre gunáhon ká bojh uṭhá
kar, sabhon ká zámin ho kar hamáre badle kaffára húá.
Ham tere be-had shukr-guzár hain. Ai Khudáwand ab
to ham bilkul terá hí mál ho gaye hain, aur apní báqi zindagí
terí khidmat men sarf karenge.
Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí
rahmat se, árám men rahen Ámín.
Maut tak terá gham khár rahná
Yisú‘ ke sáth taklíf sahná
Dil o Ján se cháhatá hún
Terahwán Maqám: Yisú‘ kí lásh salíb se utár kar Mariyam kí god men rakhí játí hai.
Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí
Jab Yisú‘ chálís din ka thá, to
Shama‘ún ne Mariyam se peshíngoí kí, ki terí ján men talwár phir
jáegí. Ai piyárí aur ghamzada mán, tú ne hamárí khátir khushí
se, us talwár ko qabúl kiyá aur apne iláhí Beṭe ke dukhon aur
be-‘izzatíon men shámil hone ká inkár nahín kiyá. Is
liye ai hamárí ‘aziz mán, ham un sab dukhon aur musíbaton
ke liye, jo tú ne apne Beṭe ke sáth hamárí khátir uṭháí hain,
dil se shukr-guzár hain. Aur un ke liye jo tujhe, wájabí ‘izzat aur piyár dene se inkári hain.
Ham Khudá se yih du‘á mángte hain ki ai Báp un ko
mu‘áf kar, kyúnki wuh nahín jánte ki kyá karte hain.
Un kí mukhálafat jo wuh terí ‘izzat rokne ke liye karte hain,
zarúr ná-kámyáb rahegí. Kyúnki Rúhu’l Quds ne terí hí zabán se
peshíngoí kí hai ki “Dekh ab se lekar har zamáne ke log mujh ko mubárak
kahenge.”
Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí
rahmat se, árám men rahen Ámín.
Pák salíb ke níche roná
Dukh men terá sáthí honá
Main har waqt yih cháhtá hún.
Chaudhwán Maqám: Yisú‘ kí lásh qabr men rakhí játí hai.
Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí
Ai Khudáwand, marne ká waqt
hamáre liye bhí jald áegá, lekin ab hamen marne ká koí ḍar nahín,
kyúnki terí maut ne hamáre
liye zindagí ká rásta khol diyá hai. Hamen yih fazl bakhsh ki
áinda hamárí rúh kí naját, jis kí khátir tú ne apní ján
qurbán kí hai. Wuh hamárá baṛá fikr ho.
Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí
rahmat se, árám men rahen Ámín.
Jáe maut se jism fání
Rúh ko mile táj ásmání
Merí sun ai mán shafíq
Stations of Cross in Roman Urdu