The
Introductory Rites
The Introductory Rites help the faithful come together as
one, establish communion and prepare themselves to listen to the Word of God
and to celebrate the Eucharist worthily.
All stand. The Priest approaches the altar with the
ministers and venerates it while the Entrance Song is sung.
Sign of
the Cross
All make the Sign of the Cross as the Priest says:
Báp
aur Beṭe aur Rúhu’l Quds ke nám men
Ámín.
Greeting
Hamare
Khudáwand Yisu‘ Masíh ká fazl,
Khudá kí
muhabbat,
aur
Rúhu’l Quds kí shirákat
áp
ke sáth ho.
Or:
Ab
sálamatí ká Khudáwand áp ko hamesha har tarah kí sálamatí bakhshe
aur áp ke sáth ho.
Or:
Khudáwand áp ke sáth ho
Áp ke sáth bhí ho.
Penitential Act
The
Priest invites the faithful to the Penitential Act.
Then
one of the Penitential Acts follows:
Main
Qádir I Mutlaq Khudá,
aur
áp ke sámne, iqrár kartá hun,
ki main ne apne khiyálon,
báton aur kámon,
niz
ghaflat se, beshumár gunáh kiye hain.
Is
liye main Muqaddasá Mariyam hamesha kunwárí,
sab
firishton aur muqaddason,
aur
áp se bhí, iltimás kartá hun,
ki Khudáwand
hamáre Khudá se,
mere
liye du‘á karen.
----------
Ai
Khudáwand ham gunáhghar hain
Hamen apní rahmat dekhá
Ai
Khudáwand apní Rahmat ham par záhir kar
Aur hamen naját ‘atá farmá
----------
Ai Masíh Khudáwand, Báp ne tujhe
is liye bhejá ki shikasta dilon ko
joṛe
Ai Khudáwand, rahm kar.
Ai Khudáwand, rahm kar.
Tu gunahgáron
ko buláne áyá
Ai Masíh, rahm kar.
Ai Masíh, rahm kar.
Tu Báp ke dahine
háth baiṭh kar hamare liye sifárish kartá hai
Ai Khudáwand, rahm kar.
Ai Khudáwand, rahm kar.
----------
The
absolution by the Priest follows:
Qádir-i-mutlaq Khudá ham par rahm
farmáe,
hamáre gunáhon ko mu’áf kare,
aur hamen hamesha kí zindagí men dákhil kare.
Ámín.
The
Kyrie, eleison (Lord, have mercy) may follow.
Ai Khudáwand, rahm kar.
Ai Khudáwand, rahm kar.
Ai Masíh, rahm kar.
Ai Masíh, rahm kar.
Ai Khudáwand, rahm kar.
Ai Khudáwand, rahm kar.
The
Gloria
When
indicated this hymn is either sung or said:
‘Álam-i-bálá par Khudá ko
jalál,
Aur zamín par
nek níyat ádmíon ke liye salámatí.
Ai Khudáwand
Khudá, ásmání bádsháh,
Khudá Qádir I Mutlaq Báp;
Tere ‘azím jalál ke liye ham terí ta‘ríf karte hain.
Ham tujhe mubárak kahte hain,
Ham tujhe sijda karte hain,
Ham terí parastish karte hain,
Ham terá shukr karte hain,
Ai Khudáwand iklaute Beṭe, Yisú‘ Masíh,
Ai Khudáwand Khudá, Khudá ke Barre, Báp ke
Beṭe:
Tú jo jahán
ke gunáhon ko uṭhá le játá hai, ham par rahm kar;
Tú jo jahán
ke gunáhon ko uṭhá le játá hai, hamárí du‘á qabúl kar ;
Tú jo Báp ke
dahine háth baiṭhá hai, ham par rahm kar ;
Kyúnki
tú hí akelá Quddús hai,
Tú hí akelá Khudáwand
hai,
Tú hí akelá,
ai Yisú‘ Masíh,
Rúhu’l Quds ke
sáth Khudá Báp ke jalál men, a’lá darje par hai.
Ámín.
The Collect
When this hymn is concluded, the Priest, says:
Ham du‘á karen.
And all pray in silence with the Priest for a while.
Then the Priest says the Collect prayer, at the end of
which the people acclaim:
Ámín.
The Liturgy of the Word
By hearing the word proclaimed in worship, the
faithful again enter into the unending dialogue between God and the covenant
people, a dialogue sealed in the sharing of the Eucharistic food and drink.
First Reading
all sit
all sit
To indicate the end of the reading, the reader
acclaims:
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá
kí barkat ho.
Khudá ká shukr ho.
Psalm
After the First Reading the psalmist or cantor sings
or says the Psalm, with the people making the response.
Second Reading
On Sundays and certain other days there is a second
reading. It concludes with the same response as above.
Gospel
all stand
all stand
The assembly stands to sing the Gospel
Acclamation to welcome the Gospel. They remain standing in honour of the Gospel
reading, the high point of the Liturgy of the Word.
Khudáwand áp ke sáth ho.
Áp ke sáth bhí ho.
Injíl I Muqaddas ..N ke mutábiq.
Ai Khudáwand, terí tamjíd ho.
At
the end of the Gospel, the Deacon, or the Priest, acclaims:
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen
mu‘áf kí jáen.
Ai Masíh, terí sitáish ho.
The Homily
all sit
all sit
At the end of the Homily it is appropriate for there
to be a brief silence for recollection.
The Creed
all stand
all stand
On Sundays and Solemnities, the Profession of Faith or
Creed will follow. During Lent and Easter Time, especially, the Apostles’ Creed
may be used.
The Niceno-Constantinopolitan Creed
Main ímán rakhtá hun ek hí Khudá
Qádir I Mutlaq Báp par,
jo ásmán aur zamín,
aur sab dekhí aur an-dekhí chízon ká banánewálá
hai.
Aur ek hí Khudáwand Yisu‘ Masíh par ímán
rakhtá hun,
jo Khudá ká iklautá Beṭá hai,
Wuh sab zamánon se pahile Báp se paidá húá,
Wuh Khudá se Khudá, núr se núr, sachche Khudá se
sachcha Khudá hai.
Wuh paidá húá, banạ́yá nahin gayá,
Us ká aur Báp ká ek hí jauhar hai.
Us ke wasíle se sab kuchh baná.
Wuh hamáre liye aur hamári naját ke liye ásmán se
utar áyá.
Wuh Rúhu’l Quds kí qudrat se kunwárí Mariyam ke
batn men paṛá, aur insán baná.
Wuh hamáre liye maslúb bhí húá,
Us ne Pantus Píḷatus ke ‘ahd men dukh uṭháyá,
Wuh dafn kiyá gayá,
aur nawishton ke mutábiq tísre din jí uṭhá;
Wuh ásmán par chaṛh gayá, aur Báp ke dahine háth
baiṭhá hai.
Wuh zindon aur murdon kí ‘adálat karne
ko jalál ke sáth phir aegá.
Us kí bádsháí ka ákhir na hogá.
Main ímán rakhtá hun Rúhu’l Quds par bhí,
jo Khudáwánd hai aur zindagí bakhshne
wálá hai.
Wuh Báp aur Beṭe donon se munbasiq hai.
Us kí B́ap aur Beṭe ke sáth yaksán
parastish aur tamjíd kí jatí hai.
Us ne nabiyon kí ma‘rfat kalám kiyá.
Main ek pak katholik rasúlí Kalísiyá par ímán
rakhtá hun
aur gunáhon kí mu‘afi ke liye ek hí baptisma
ká iqrár kartá hún,
niz murdon kí qiyámat,
aur áne wálí zindagí kí ummid rakhtá hún. Ámín.
----------
The Apostles’ Creed
Main ímán rakhtá hún
Khudá Qádir I Mutlaq Báp par
Jo ásmán aur zamín ka kháliq hai
Aur Yisú‘ Masíh par jo us ká
Iklautá beṭá aur hamárá Khudáwand hai
Wuh Rúhu’l Quds kí qudrat se peṭ men paṛa
Kunwárí Mariyam se paidá húá
Us ne Pantus Pílátus ke
‘Ahd men dukh uṭháyá
Maslúb húá, mar gayá
aur dafn kiya gayá barzakh men utrá
aur dafn kiya gayá barzakh men utrá
Tísre roz murdon men se jí uṭhá
Ásmán par chaṛh gayá
aur Khudá Qádir I Mutlaq Báp
ke dahine háth baiṭhá hai,
wahán se wuh
aur Khudá Qádir I Mutlaq Báp
ke dahine háth baiṭhá hai,
wahán se wuh
Zindon aur murdon kí ‘adálat ke liye áne wálá hai
Main ímán rakhtá hún
Rúhu’l Quds par, Pák Katholik
Kalísiyá, muqaddason kí shirákat
Gunáhon kí mu‘áfí
Jism ke jí uṭhne
Aur hamesha kí zindagí par. Ámín
The Prayer of the Faithful
After each intention there is a pause while the
faithful pray.
Ham míl kar du‘á karen.
Ai Khudá Hámarí sun.
The Priest concludes the Prayer with a collect.
When the Liturgy of the Word has been completed, the
people sit.
The Liturgy of the Eucharist
For Catholics, the Eucharist is the source and summit
of the whole Christian life. It is the vital centre of all that the Church is
and does, because at its heart is the real presence of the crucified, risen and
glorified Lord, continuing and making available his saving work among us.
During the Offertory Song the gifts of bread and wine
are brought in procession. The Priest offers the prayers of blessing quietly at
the altar. If the priest says the prayers aloud the assembly’s acclamation each
time is:
Hamesha se hamesha tak Khudá
Mubárak ho.
The Priest completes additional personal preparatory
rites, and the people rise as he says:
‘Azízon, du‘á karen
ki
hamárí yih qurbání
Khudá Qádir I Mutlaq Báp
ke huzúr men maqbúl ho
Khudáwand is qurbání
ko ap ke háthon se
apne nám kí baráí ke liye,
aur hamáre balkih apni sárí
Kalísiyá ke
fáide ke liye manzúr farmáe.
Then the Priest says the Prayer over the Offerings, at
the end of which the people acclaim:
Ámín.
The
Eucharistic Prayer
Khudáwand áp ke sáth ho.
Áp ke sáth bhí ho
Ham Khudá ke taraf dhiyán lagáhin.
Ham dhiyán lagáte hain.
Ham Khudáwand apne
Khudá ká shukr karen.
Ye wájib aur durust hai.
The Priest concludes the Preface with the people, singing
Quddús, Quddús, Quddús, Khudáwand,
lashkaron ká Khudá;
Ásmán aur zamín tere jalál
se ma‘múr hain.
‘Álam i bálá par Hosha‘ná.
Mubárak hai wuh jo Khudáwand
ke Nám se átá hai :
‘Álam i bálá par Hosha‘ná.
The Priest continues with the Eucharistic Prayer.
After the words of Consecration the priest says:
The mystery of faith.
Ai Khudáwand,
ham terí maut ká e‘lán karte hain,
Ham terí qiyámat ká
iqrár karte hain: Jab tak ki tú na áe.
Or
Ai Khudáwand,
jitní bar ham yih roṭí kháte
Aur is piyále men
se píte hain, Ham itní bár terí maut ká e‘lán karte hain,
Jab tak kih tú na áe.
Or
Ai duniyá ke bacháne wále,
hamen bachá:
Is liye ki tú ne salíb par
mar kar, Aur murdon men se zinda ho kar
Hamen makhlasí
bakhshí hai.
At the conclusion of the prayer the Priest takes the
chalice and the paten with the host and, raising both, he says:
Usí ke zarí‘e, usí ke sáth,
aur usí men,
Tujh Qádir I Mutlaq Khudá Báp ko
Rúhu’l Quds kí
wahdaniyyat men
Kámil ‘izzat aur ta‘zím
sháyan hai
Hamesha se hamesha tak.
Ámín.
The
Communion Rite
The
Lord’s Prayer
all stand
all stand
Ham du‘á
karen…. jo us Khudáwand ne hamen sikháya hai:
Ai hamáre Báp tú jo ásmán par hai
Terá nám pák máná jáe terí bádsháhí áe
Terí marzí jaise ásmán par púrí hotí hai,
Zamín par bhí ho.
Hamáre rozinah kí roṭí áj hamen de
Aur jís tarah ham apne qarzdáron ko bakhste hain
Tú hamáre qarz hamen bakhsh
Aur hamen ázmáish men na parne de balki hamen buráí se
bachá
Ai Khudá, ham tujh se minnat
karte….
har
waqt gunáhon se ázád aur musíbat se mahfúz rahen
Kyúnki bádsháhat,
qudrat aur jalál
hamesha terá hí hai.
The Peace
Ai Khudáwand Yisú‘ Masíh, tu ne apne Rasúlon se kahá
kih:…
jo terí marzí ke mutábiq hai.
Ámín.
Khudáwand kí salámatí har waqt áp par ho.
Áp par bhí ho.
Ham ek dúsre kí
salámatí cháhen.
All offer one another the customary sign of peace.
The Breaking
of the Bread
The priest takes the host and breaks it, as the
following is sung or said:
Ai Khudá ke Barre, tú jo jahán ke
gunáhon ko uṭhá le játá hai: Ham par rahm kar.
Ai Khudá ke Barre, tú jo jahán ke
gunáhon ko uṭhá le játá hai: Ham par rahm kar.
Ai Khudá ke Barre, tú jo jahán ke gunáhon
ko uṭhá le játá hai: Hamen Salámatí ‘ináyat kar.
Invitation to Communion
all kneel
all kneel
After his private prayers of preparation the Priest
genuflects, takes the host and, holding it slightly raised above the paten or
above the chalice says aloud:
Yih hai Khudá
ká Barra,
Jo jahán ke gunáhon
ko uṭhá le játá hai.
Mubárak hain
wuh jo Barre kí ziyáfat men buláe gáe.
Ai Khudáwand, main is láiq nahín ki tú
mere han áe,
Lekin tú sirf kah de,
To merí rúh shifá páegí.
Communion
The communicants come forward in reverent procession, and
make a preparatory act of reverence by bowing their head in honour of Christ’s
presence in the Sacrament.
Masíh Ká Badan (Khún).
Ámín.
After the distribution of Communion, if appropriate, a
sacred silence may be observed for a while, or a psalm or other canticle of
praise or a hymn may be sung.
Prayer
after Communion
all stand
all stand
Ham
du‘á Karen.
All pray in silence. Then the Priest says the Prayer
after Communion, at the end of which the people acclaim:
Ámín.
The Concluding
Rites
The Concluding Rites send the people forth to put into effect in
their lives what they have received.
Blessing
Khudáwand áp ke sáth ho.
Áp ke sáth bhí ho.
Qádir I Mutlaq Khudá,
Báp aur Beṭe aur Rúhu’l Quds
kí barakat X sab par názil ho
Ámín.
Dismissal
Then the Deacon, or the Priest says:
‘Ibádat ho chukí,
salámatí se jáen. Or:
‘Ibádat ho chukí, salámatí se jáen aur
Khudáwand kí khushkhabarí dúsron tek pahuncháen.
Khudá ká shukr ho.
Holy Mass in Urdu Roman Script