Maqámát-e Salíb


Salíbí Ráste Ke Chauda Maqám


Taiyárí kí du‘á


Ai hamáre ‘azíz Khudáwand, tú jo hamáre piyár kí khátir, salíb ke ráste par marne ko gayá hai. Ham áj terí musíbaton par dhyán karne ke liye jama‘ hoge hain. Tú musíbaten uthá kar hamára namúna ban gayá táki ham bhí terí musíbaton men sharík ho kar, tere jalál tak pahunch saken.

Hamen is safar men apná baṛá piyár yád dilá aur gunáh se nafrat hamáre dilon men paidá kar. Ham terí minnat karte hain, ki tere dukhon aur salíbí maut kí khátir hamáre bahinon, bháiyon ko jo a‘ráf men dukh sahte hain, ri‘áyat aur rahm hásil ho.

khaṛí thí mán ashk álúda,
pás Salíb ke gham rasída
Beṭá jab maslúb húá

Pahlá Maqám: Yisú‘ par maut ká fatwá diyá játá hai

Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí

Ai mere piyáre Yisú‘, Pílátus ne tere dushmanon ke ḍar se, tujh par maut ká nájáiz fatwá diyá hai. Áj ham is bát par afsos karte hain, ki ham ne bhí bahut dafah duniyá ke ḍar se, terá inkár kar ke terí hukm ‘udúlí kí. Hamen yih dilerí bakhsh, ki áinda ham hargiz terá inkár na karen.

Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí rahmat se, árám men rahen Ámín.

Kartí thí nála-o-zárí
bin talwár us kí gham-khárí
dil ko chhed kar pár hogí

Dúsrá Maqám: Yisú‘ apní salíb uṭhátá hai

Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí

Ai mere piyáre Yisú‘, tú ne hamáre badle, apní salíb ká bojh khushí se uṭháyá hai. Tujh men koí gunáh na thá, magar ham men bahut se gunáh hain, aur ham behadd sazá ke láiq hain. Hamen yih fazl bakhsh, ki ham dilerí aur Masíhí sabr se, apne sab dukhon aur taklífon ko bardásht kar ke, apne gunáhon ke liye kuch riyázat karen.

Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí rahmat se, árám men rahen Ámín.

Háe kaisí thí ázurda
yih mubárak barguzída
n iklaute Beṭe kí

Tísrá Maqám: Yisú‘ salíb ke bojh ke níche pahlí bár girtá hai

 Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí

Ai piyáre Yisú‘, tú hamáre gunáhon ke sabab, aur hamáre piyár kí khátir, is qadr kamzor aur láchár ho gayá thá, ki salíb ke bojh se munh ke bal gir paṛá. Terí kamzor aur láchár hálat hamáre sakht dilon ko narm kar de, aur in men sachchí tauba aur gunáh se nafrat paidá kar de.

Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí rahmat se, árám men rahen Ámín.

n shafíq ranjída khátir
rotí thí Beṭe kí khátir
Jo ízáen jheltá thá

Chauthá Maqám: Yisú‘ ko us kí ghamzada mán ráste men miltí hai

Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí

Ai mere piyáre Yisú‘, jab terí musíbat ká waqt á gayá thá. To tere sab shágird, tujhe chhoṛ kar chhup gaye. Magar terí mubárak mán ne tujhe na chhoṛá, na be-‘izzatyon aur la‘naton kí parwá kí, balki tere sáth salíb ke ráste par chaltí gayí. Ai Masíh kí be-dág mán, mujhe yih dilerí sikhá, ki main sukh aur dukh men, ‘izzat aur be-‘izzatí men, tere Beṭe ká wafádár rahún.

Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí rahmat se, árám men rahen Ámín.

Kaun sá ádmí tars na khátá
n Masíh kí agar dekhtá
is dard-nák musíbat men.

Pánchwán Maqám: Shama‘ún Qurení Yisú‘ ko Salíb uṭháne men sahárá detá hai

Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí

Is bát ke ḍar se, ki sháyad Masíh kamzorí ke sabab se, kalwarí tak na pahunch páe. Yahúdíon ne ek shakhs, ba-nám Shama‘ún Qurení ko begár men pakaṛá, táki wuh Yisú‘ kí Salíb uṭhá kar chale.
Ai piyáre Yisú‘, ham bhí gharíbon kí madad karne se terí madad kar sakte hain, kyúnki tú ne kahá hai ki: “Jo kuch tum gharíbon ke liye karoge, wuh mere liye hí kiyá jáegá.” Ham majbúran nahín balki maqdúr bhar khushí se un kí madad karenge.

Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí rahmat se, árám men rahen Ámín.
                                                                                                             
Kaun is qadr sakht dil hotá
Jo is mán ke sáth na rotá
Beṭe kí hamdardí men

Chhaṭhá Maqám: Veroniká Yisú‘ ka munh ponchhtí hai

Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí

Ai Yisú‘, kis qadr terí be-‘izzatí hogí hai, kánṭon ke táj ne, tere ‘aziz munh ko lahú lahán kiyá. Salíb ke bojh ke níche girte húe, tere munh par miṭṭí aur kíchaṛ lag gayá hai. Yahúdíon ne tere Pák munh par thúká. Kaisí diler thí wuh ‘aurat, jo sipáhíon men se guzar kar tere pás áí aur apne rúmál se tere munh ko ponchhá.
Ai mere bacháne wále mujhe yih fazl bakhsh ki, main bhí apní dunyawí ‘izzat ki parwá na karún, balki terí khátir be-‘izzatí se na ḍaron.

Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí rahmat se, árám men rahen Ámín.

Yisú‘ ko dukh sahte dekhá
us ko koṛe kháte dekhá
‘ásíon ke ‘íwaz men.

Sátwán Maqám: Yisú‘ dúsrí bár girtá hai

Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí

Socho, ki Khudáwand Yisú‘ Masíh kí hálat, kaisí láchár hogí thí. Pahle wuh bág men jánkaní men á kar is qadir ghamgín ho gayá, ki us ke tamám badan se khún ká pasiná nikalá. Phir sárí rát, sipáhíon ne us kí be-‘izzatí kí aur phir be-rahmí se kánṭon ká táj us ke sir par dabáyá. Wuh chalne ke qabil na rahá, aur dúsrí bár munh ke bal gir paṛá.
Ai piyáre Yisú‘, main bár bár gunáh men girtá hún, aur tú bár bár mujhe mu‘áfí bakhshtá hai, Main tere sab’r aur rahm ká be-had shukr-guzár hún.

Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí rahmat se, árám men rahen Ámín.

Dekhtí apná piyárá Beṭá
jo salíb par khún bahátá
Ruswá ho kar martá hai

Aṭhwán Maqám: Yisú‘ rone wálí ‘auraton ko tasallí detá hai.

Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí

Masíh ká búṛá hál dekh kar, bahut sí ‘auraten us ke píchhe rotí  aur mátam kartí húí chal paṛín, magar Yisú‘ ne un kí taraf phir kar kahá: “ Ai Yarúshalem kí  beṭiyo! Mujh par mat roo, balki apne áp aur apne bachchon par, kyúnki jab hare darakht se aisá sulúk kiyá játá hai. To súkhe se zarúr karenge”.
Ai Khudáwand, terí bát bilkul durust hai.Ham to súkhe darakht hain. Ham áj tak koí nekí ká phal nahín láe, balki bahut se gunáh kiye aur be-had sazá ke láiq hain, hamen pichhle gunáhon se sachchí tauba karne ká fazl bakhsh, aur áinda nek ráste par chalne kí táqat de.

Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí rahmat se, árám men rahen Ámín.

Bakhsh de mujh ko mán piyarí
apní jaisí dil ázárí
tere gham menn sharík

Nauwán Maqám: Khudáwand Yisú‘ tísrí bár girtá hai.

Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí

Khudáwnd Masíh asiá kamzor ho gayá thá, ki mushkil se chaltá thá, phir bhí sipáhí be-rahmí se us ko dhamkáte, us ko gáliyán bakte, aur us ko márte, táki kuch jaldí chale, lekin hamáre Khudáwand men itní táqat nahín rahtí aur wuh un ke zulm ke sabab tísrí bár girtá hai.
Ai Khudáwand, ham to tín bár nahín, balki beshumár bár, gunáh men girte rahte hain. Hamen yih fazl bakhsh, ki ham kabhí gunáh kí hálat men paṛe na rahín, balki jitní bár giren, utní hí bár sachí tauba, aur sachá i‘tiráf kar ke uṭh kaṛhe ho jáen.

Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí rahmat se, árám men rahen Ámín.

Tú sargarmí kar ‘ináyat
mere dil kí kar hidáyat
 ki Masíh ko piyár karún.

Daswán Maqám: Sipáhí Masíh ke kapṛe utárte hain

Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí

Pílátus kí kachaiharí men, sipáhíon ne baṛe zor aur khushí se Masíh ko koṛon se márá thá. Is had tak ki, us ká sárá jism lahú lahán ho gayá thá. In zakhmon men Yisú‘ ke kapŕe, chaspán ho gaye the, phir sipáhí un ko khench kar utárte hain, us ke tamám zakhm phir khul játe hain, aur us ke sáre badan se khún bah nikaltá hai.
Ai Khudáwand, ham ne kitní bár pák- dámaní ke khiláf gunáh kar ke, apne badanon kí, jo ki Rúhu’l Quds kí haikal hain, be-‘izzatí kí hai. Tú ne in gunáhon ke kaffáre ke liye, apne be-‘aib badan men kitne dukh, aur taklifen sahín.  Áinda ham tere pák fazl kí madad se, shaihwat ke sab gunáhon se dúr rahenge.

Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí rahmat se, árám men rahen Ámín.

Jo sazá us ne uṭháí
aur qurbání jo chaṛháí
us men mujh ko shámil kar

Gyárahwán Maqám: Masíh Salíb par kílon se jaṛa játá hai.

Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí

Jab sipáhí us jagah pahunch gaye, jo khopṛí kahlátí hai, tab unhon ne wahán, Yisú‘ ko salíb par kílon se jaṛá, aur do dákún ko bhí, ek ko dáen aur ek ko báen, aur Yisú‘ ne kahá: “Ai Báp in ko mu‘áf kar, kyúnki wuh nahín jánte ki kyá karte hain.”
Ai Khudáwand, tú ne apne dushmanon ká baṛá zulm bardásht kar ke, un ke liye mu‘áfí cháhí, lekin main aksar auqát chhoṭi bátonkhátir, apne paṛausí se hasad rakhtá, aur un se badlah lená cháhtá hún. Áinda main terá namúna yád kar ke, kisí se dushmaní na rakhúngá, balki muhabbat ke baṛe hukm par ‘amal karúngá.

Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí rahmat se, árám men rahen Ámín.

Zakhmí Beṭe ke ‘azáb ká
shafíq munjí kí taklíf ká
main bhí banon hissa dár

Bárhwán Maqám: Yisú‘ Salíb par martá hai

Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí

Jab dopahar ke qaríb thá, to sárí zamín par andherá chhá gayá, aur Yisú‘ ne baṛí áwáz se pukár kar kahá: “Ai Báp, main apní rúh tere háthon men saunptá  hún.” Aur yih kih kar us ne ján de dí.
Ai mere ‘aziz bacháne wále, tú mere badle aur sárí duniyá ke badle, apní ján qurbán kartá hai. Hamáre gunáhon ke sabab bihisht ká darwáza band thá, balki hamesha ká dukh, dozakh men hamáre liye taiyár thá. Lekin tú hamáre gunáhon ká bojh uṭhá kar, sabhon ká zámin ho kar hamáre badle kaffára húá.
Ham tere be-had shukr-guzár hain. Ai Khudáwand ab to ham bilkul terá hí mál ho gaye hain, aur apní báqi zindagí terí khidmat men sarf karenge.

Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí rahmat se, árám men rahen Ámín.

Maut tak terá gham khár rahná
Yisú‘ ke sáth taklíf sahná
Dil o Ján se cháhatá hún

Terahwán Maqám: Yisú‘ kí lásh salíb se utár kar Mariyam kí god men rakhí játí hai.

Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí

Jab Yisú‘ chálís din ka thá, to Shama‘ún ne Mariyam se peshíngoí kí, ki terí ján men talwár phir jáegí. Ai piyárí aur ghamzada mán, tú ne hamárí khátir khushí se, us talwár ko qabúl kiyá aur apne iláhí Beṭe ke dukhon aur be-‘izzatíon men shámil hone ká inkár nahín kiyá. Is liye ai hamárí ‘aziz mán, ham un sab dukhon aur musíbaton ke liye, jo tú ne apne Beṭe ke sáth hamárí khátir uṭháí hain, dil se shukr-guzár hain. Aur un ke liye jo tujhe, wájabí  ‘izzat aur piyár dene se inkári hain. Ham Khudá se yih du‘á mángte hain ki ai Báp un ko mu‘áf kar, kyúnki wuh nahín jánte ki kyá karte hain. Un kí mukhálafat jo wuh terí ‘izzat rokne ke liye karte hain, zarúr ná-kámyáb rahegí. Kyúnki Rúhu’l Quds ne terí hí zabán se peshíngoí kí hai ki “Dekh ab se lekar har zamáne ke log mujh ko mubárak kahenge.”

Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí rahmat se, árám men rahen Ámín.

Pák salíb ke níche roná
Dukh men terá sáthí honá
Main har waqt yih cháhtá hún.

Chaudhwán Maqám: Yisú‘ kí lásh qabr men rakhí játí hai.

Ai Masíh ham tujhe sajda aur terí hamd karte hain
Is liye ki tú ne apní salíb se duniyá ko mukhlisí bakhshí

Ai Khudáwand, marne ká waqt hamáre liye bhí jald áegá, lekin ab hamen marne ká koí ḍar nahín, kyúnki terí  maut ne hamáre liye zindagí ká rásta khol diyá hai. Hamen yih fazl bakhsh ki áinda hamárí rúh kí naját, jis kí khátir tú ne apní ján qurbán kí hai. Wuh hamárá baṛá fikr ho.

Ai Hamáre Báp …, Salám ai Mariyam…, Jalál Báp aur Beṭe…
Ham par rahm kar, Ai Khudáwand, ham par rahm kar
Marhúm ímándáron kí rúhen, Khudá kí rahmat se, árám men rahen Ámín.

Jáe maut se jism fání
Rúh ko mile táj ásmání
Merí sun ai mán shafíq



Stations of Cross in Roman Urdu