Pák Rozrí

Holy Rosary in Urdu


Pák Rozrí ká taríqa (How To Pray The Rosary)

Salíb ká nishán
1. Rasúlon ká ‘Aqída (Ek Daf́ah)
2. Ai hamáre Bap (Ek Daf́ah)
3. Salám ai Mariyam (Tin Daf́ah)
4. Jalál Báp aur Beṭe (Ek Daf́ah)
Har rozrí ke bhed ká taríqa
5. Ai hamáre Bap (Ek bár)
6. Salám ai Mariyam (Das bár)
7. Jalál Báp aur beṭe (Ek bár)
8. Ai mihrbán Yisú‘(Ek bár)

Prayers

Rasúlon ká ‘Aqída (Apostle's Creed)
Main ímán rakhtá hún
Khudá Qádir I Mutlaq Báp par
Jo ásmán aur zamín ká kháliq hai
Aur Yisú‘ Masíh par jo us ká
Iklautá Beṭa aur hamárá Khudáwand hai
Wuh Rúhu’l Quds kí qudrat se peṭ men paṛa
Kunwárí Mariyam se paidá húá
Us ne Pantus Pílátus ke
‘Ahd men dukh uṭháyá
Maslúb húá, mar gayá aur dafn
Kiya gayá barzakh men utrá
Tísre roz murdon men se jí uṭhá
Ásmán par chaṛh gayá aur Khudá
Qádir I Mutlaq Báp ke dahine
Háth baiṭhá hai, wahán se wuh
Zindon aur murdon kí ‘adálat
Ke liye áne wálá hai
Main ímán rakhtá hún
Rúhu’l Quds par, Pák Katholik
Kalísiyá, muqaddason kí shirákat
Gunáhonmu‘áfí
Jism ke jí uṭhne
Aur hamesha kí zindagí par. Ámín

Du‘á e Rabani (Our Father)
Ai hamáre Báp
Tú jo ásmán par hai                                                                                                    
Terá nám pák máná jáe
Terí bádsháhí áe
Terí marzí jaise ásmán par púrí hotí hai,
Zamín par bhí ho.
Hamáre rozinah kí roṭí áj hamen de
Aur jís tarah ham apne qarzdáron ko bakhste hain
Tú hamáre qarz hamen bakhsh
Aur hamen ázmáish men na paṛne de
balki hamen buráí se bachá
Ámin.


Firishte ká salám (Hail Mary)
Salám ai Mariyam
Puṛ fazl Khudáwand tere sáth hai
Tú ‘auraton men mubárak hai
Aur mubárak hai tere peṭ ká phal Yisú‘
Ai muqaddasa Mariyam
Khúda kí mán
Ham gunahgáron ke wáste du‘á kar
Ab aur hamárí maut ke waqt.
Ámín


Khudá kí tamjíd (Glory Be)
Jalál Báp aur Beṭe aur Rúhu’l Quds ká ho
jaisá ke ibtidá men thá, ab hai, aur hamesha hogá. Ámín

Ai mihrban Yisú‘ (Fatima Prayer)
Ai mihrbán Yisú‘ hamáre gunáh hamen mu’áf kar
Hamen dozakh kí ág se bachá
Tamám rúhon ko a̕smán kí taraf khenc̣h
Kháss kar un ko jo tere rahm o karam ke ziyáda muhtáj hain Ámín.

Salám ai Malika (Hail Holy Queen)
Salám ai Mailka rahm kí man
Hamárí zindagí, hamárí shiríni, aur hamári ummed tujhe salám
Ham hawwá ke jalá-wátan farzand
Tere aǵe chilláte hain ís ánsúon kí wádí men
Ham rote mátam karte húe
Tere samne áh khenchte hain
Pas ai hamárí wakíla
Hamárí taraf apní rahm kí nigáh kar
Ís jalá-wátaní ke ba‘d
Ham ko apne rahm ká phal Yisú‘ dikhlá
Ai rahm dil, ai mihrbán, ai shírín, Kunwárí Mariyam
Ham du‘á manghen
Ai Khudá tere iklaute Beṭe ne apní zindagí, maut
Aur jí utne se hamen hamesha kí zindagí bakhshí
Terí minat karte hain ki tú yih ‘ináyat kar ki in bhedon par
Dhyán o gyán karne se muqaddasa Mariyam kí aqdas Roźri
Kí shafá‘t se ham Masíh ke wa‘don ke láiq ban jáen
Usí Maísh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Rosary Mysteries

On Mondays (Pír) and Saturdays (Saníchar), meditate on the “Joyful Mysteries” (Also Sundays in Advent)
Khushí ke Pánch bhed
1. Yisú‘ ká mujassam honá (Lk 1:26-38)
2. Muqaddasa Mariyam kí Ilísabát se muláqat (Lk 1:39-56)
3. Yisú‘ Masíh kí paidáish (Lk 2:1-20)
4. Yisú‘ Masíh ká haikal men nazar kiyá jáná (Lk 2:22-40)
5. Yisú‘ ká haikal se phir mil jáná (Lk 2:41-51)

On Thursdays (Juma-rat), meditate on the “Luminous Mysteries”
Núr ke Pánch bhed
1. Daryá e yardan men Yisú‘ ka baptisma (Mt 3:13-17)
2. Qáná e jalíl men pahlá mu‘jiza (Jn 2:1-12)
3. Khudá kí Bádshahí ká i‘lan aur tauba kí da‘wat (Mt 4:17)
4. Yisú‘ kí tabdíl-i súrat (Mt 17:1-8)
5. Pák Eukharist́ ká bhed (Lk 22:14-20)

On Tuesdays (Mangal), and Fridays (Juma), meditate on the “Sorrowful Mysteries” (Also Sundays in Lent)
Dukh ke Pánch bhed
1. Yisú‘ Masíh kí jánkani zaitún ke bág men (Lk 22:39-53)
2. Yisú‘ Masíh ká koṛon kí már kháná (Mt 27:24-26)
3. Kánton ká táj Yisú‘ ke sir par rakkhá jáná (Mt 27:11-27)
4. Yisú‘ Masíh ká salíb uthá le jáná (Lk 23:26-32)
5. Yisú‘ Masíh ká Maslúb honá (Jn 19:18-42)

On Ordinary Sundays (Itwár) and Wednesdays (Budh), meditate on the “Glorious Mysteries”
Jalál ke Pánch bhed
1. Yisú‘ Masíh ká jí uṭhná (Lk 24:1-53)
2. Yisú‘ Masíh ká ásmán par jáná (Lk 24:50-53, Acts 1:9-11)
3. Rúhu’l quds ká rasúlon par utárná (Acts 2:1-21)
4. Muqaddasa Mariyam ká ásmán par uṭháyá jáná (Rev 11:19-12:17, 1Th 4:13-19)
5. Muqaddasa Mariyam kí bihisht men táj poshi (Rev 12:1, 14:1-5, Is 6:1-3)


Pray without ceasing 1Thes 5:17, Pray the Rosary everyday.
For Stations of Cross in Roman Urdu click here