Saturday 28 January 2012

January 29th, 2012, Fourth Sunday in Ordinary Time, B


Sál ke daurán chauthá Itwár

khilah (Entrance Antiphon):
(Zabúr) Psalm 105:47
Ai Khudáwand hamáre Khudá ham ko bachá
qaumon men se ham ko faráham kar
táki ham tere pák nám ká shukr ádá karen
aur terí hamd o saná par fakhr karen

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Tashniya Shara‘) Deuteronomy 18:15-20
Main ek nabí barpá karúngá aur apna kalám us ke munh men ḍálúngá.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: 94:1-2, 6-9  Jamá‘ati jawáb áyat: 8
(Jamá‘ati jawáb) kásh áj tum us kí áwáz suno to apne dilon ko sakht na karo

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurinthíon Ke Nám) 1 Corinthians 7:32-35
Bebiyáhí ‘aurat apne áp ko Khudáwand kí khidmat men mashgúl rakhe us kí sirf yih fikr ho ki wuh pák rahe.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: (Matí) Mt 11:25
Hallelujah Hallelujah 
Mubárak hai tú ai báp
ásmán aur zamín ki Khudáwand
kyúnki tú ne bádsháhat ke bhedon ko
chhoṭon par záhir kiyá.
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Marqus ke mutábiq 1:21-28 (Mark 1:21-28)
Wuh sáhib i ikhtiyár kí tarah ta‘lím detá hai.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Zabúr) cf. Psalm 30:17-18
Apne khádim par apná chihra jalwagar farmá
apní shafaqat ke mutábiq mujhe bachá le
ai Khudáwand mujhe sharminda na hone de kyúnki main ne tujhe pukárá hai.
Or
(Matí) Matthew 5:3-4
Mubárak hain wuh jo Rúh ke gharíb hain.
Kyúnki ásmán kí bádsháhí unhí kí hai
Mubárak hain wuh jo halím hain
kyúnki wuh zamín ke wáris honge.

Tuesday 24 January 2012

Prayer in honour of St. Paul


پولوس رسول


Paulus Rasúl kí ‘izzat men du‘á

Ai Yisú‘ ham terí hamd karte aur terá shukr bajá láte hain, ki tú ne Muqaddas Paulus par rahm kar ke, Masíhion ke satánewále sakht dil insán ko kalísiyá ká sachá Rasúl banáyá. Tú ne Muqaddas Rasúl ke dil ko Khudá aur kalísiyá kí muhabbat se ma‘múr kiyá, use pákízagí  ká manád banáyá aur kámil tábidárí ká á’la namúna ṭhahráyá. Ai Muqaddas Paulus tú ne shahr shahr aur gánw gánw men, Injíl kí manádí sache dil aur kámil muhabbat se kí.

Áj ham terí sifárish cháhte hain, aur cháhte hain, ki ham apní kamzorion aur khatáon se munh moṛen, aur  Yisú‘ Masíh ko apni zindagí ka namúna banáen. Tú hamáre khayálát, mahsúsát aur hawás ko halimí kí sachí Rúh ‘atá kar, táki ham apní sárí táqat se aur samájí zará‘e iblágh kí  wasátat se du‘á, amál aur Kalám kí risálat bajá láne ke qabíl ban jáen. Ámín

----
 There are many books written on Saint Paul. My favourite one that I  have found really helpful and gives a brief overview of the letters of Saint Paul is A Pocket Guide to St. Paul by Dr. Scott Hahn. For more info click here, and to learn more about the apostle St. Paul  click here.

Friday 20 January 2012

22nd Jan 2012, Third Sunday in Ordinary Time B


Sál ke daurán tísrá Itwár 

khilah (Entrance Antiphon):
(Zabúr) Psalm 95:1,6
Khudáwand ke liye ek nayá gít gáo ai sárí zamín Khudáwand ke liye gáo ‘Azmat aur buzurgí us ke huzúr hain qudrat aur jamál us ke maqdis men hain

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Yúnas nabí kí kitáb) Jonah 3:1-5. 10
Ní́nawá ke logon ne apní burí rawish se tauba karli

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr:24:4-9  Jamá‘ati jawáb áyat: 4
(Jamá‘ati jawáb) Ai Khudáwand, apní ráhen mujhe dikhá de

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurinthíon Ke Nám) 1 Corinthians7:29-31
Dunyá badaltí játí hai

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: (Marqus) Mark 1:15
Hallelujah Hallelujah 
Khudá kí bádsháhí nazdík hai
Injíl par ímán láo.
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke mutábiq) Mark 1:14-20 
Tauba karo aur Injíl par ímán láo.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Zabúr) cf. Psalm 33:6
Tum Khudáwand  kí taraf nigáh karo, táki munawwar ho jáo.
Aur tumháre chihron par sharmindagí na áe.
Or
(Yúhanná) John 8:12
Khudáwand farmátá hai ki Main dunyá ká núr hún
jo merí pairawí kartá hai wuh andhere men nahin chaltá
balki zindagí ka núr páegá.

How did Saint Paul Evangelize?

Wednesday 18 January 2012

Prayer for the unity of Christians


Masíhon ke ittihád ke liye du‘á

‘Azizo, ham un bháiyon aur bahinon ke liye du‘á karen jo hamáre sáth Masíh ko mánte hain ki mihrbán Khudá apne sab cháhne wálon ko ek banáe.

Ai Qádir I mutliq aur abadí Khudá
Tú bakhere húon ko ekṭhá kartá hai
Tú ekṭhá kar ke un kí hifázat bhí kartá hai
Apne Beṭe kí pairawí karne wálon par nazar kar
Táki ham sab
Ek hí baptisma ke zarí‘e makhsús kiye já kar
kámil ímán aur mahabbat  ke bandhan se bhí ek hon
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. 
Ámín


Friday 13 January 2012

15th Jan 2012- 2nd Sunday in Ordinary Time B


Sál ke daurán dúsrá Itwár

khilah (Entrance Antiphon):
Zabúr 65:4 (Psalm 65:4)
Ai  Khudá tamám dunyá tujhe sijda kare. Ai Haqq Ta‘álá, wuh tere nám ká gít gáe.

Readings
Pahlí Tiláwat:
Samúel Nabí kí pahlí kitáb 3:3-10, 19 (1 Samuel 3:3-10, 19)
Ai Khudáwand farmá, terá kyúnki banda suntá hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr:39:2,5,7-10  Jamá‘ati jawáb áyat: 8,9 (Psalm 40:2,4,7-10 R 8,9)
(Jamá‘ati jawáb) Ai Khudáwand dekh main áyá hún ki terí marzí bajá láún

Dusrí Tiláwat:
Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurinthíon Ke Nám 6:13-15, 17-20 (1 Corinthians 6:13-15,17-20)
Tumháre badan Masíh ke a‘zá hain

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: 1 Samúel 3:9 aur Yúhanná 6:68
Hallelujah Hallelujah 
Ai Khudáwand farmá, terá kyúnki banda suntá hai.
Hamesha kí zindagí kí báten tere pas hain.
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Yúhanná ke mutábiq 1:35-42 (John 1:35-42)
Unhon ne jahán wuh rahtá thá dekhá aur us ke sáth rahe
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Zabúr) cf. Psalm 22:5
Tú ne mere áge dastarkhwán bichháyá hai aur wuh labrez piyála bhí rakkhá hai jis se ham khush hote hain.
Or
(1 Yúhanná) 1 John 4:16
Jo mahabbat Khudá ham se rakhtá hai ham ne use mahsús kiyá aur sach ján liyá


------

For Sunday Reflection by Dr. Scott Hahn click here

Hymn of thanksgiving to God


Canticle (Mukáshfa) Rev 11:17-18; 12: 10b-12a

Ai Khudáwand ai Qádir I mutliq
Tu jo hai aur thá ham terá shukr karte hain
Kyúnki tú ne apná ‘azím iqitdár  ikhityár karke bádsháhí kí
Aur qaumen gussa húín
Aur terá gazab názil húá
Aur murdon ká waqt á pahúnchá hai
Ki un kí ‘adálat kí jáe
Aur tú apne bandon ambiyá ko
Aur un muqaddason ko ajr bakhshe
Kiyá chhoṭe kiyá baṛe jo tere nám se ḍarte hain
Aur unhen halák kare
Jinhon ne zamín ko tabáh kar diyá hai
Ab naját aur qudrat aur hamáre Khudá kí bádsháhí
Aur us ke Masíh ká ikhtiyár záhir húá
Kyúnki hamáre bháiyon par wuh tuhmat lagánewálá girá diyá gayá
Jo rát dín hamáre Khudá ke áge un par tuhmat lagáyá kartá thá
Aur wuh Barre ke khún aur apní guwáhí ke sabab se
Us par gálib áe
Aur unhon ne apní jánon ko ‘azíz na jáná
Yahán tak ki ján de dená bhí gawará kiyá
Is wáste ai ásmán  aur jo us men rahte ho khushí karo.


Jalál Báp aur beṭe aur Rúhu’l Quds ká ho
jaisá ke ibtidá men thá, ab hai, aur hamesha hogá. Ámín
-----
This canticle is used on the following days:
Vespers of Week 1, 2, 3, 4 Thursdays, The Ascension, The Body and Blood of Christ.
For meditation and catechesis on the canticle by Blessed John Paul II go here

Wednesday 11 January 2012

Tuesday 10 January 2012

Faisalabad celebrating 50 years of priesthood of Fr Bonnie Mendes


FAISALABAD, Pakistan, Jan 9, 2012--"Serving as a priest of the diocese of Faisalabad was given a precious gift from God." This is how Bonnie Mendes, priest and activist in Pakistan, celebrated 50 years of priesthood on 7 January in the city's cathedral, a church crowded with a thousand people, including priests, nuns, catechists, students, laymen and members of civil society .
"The mission of my life - he added - is to work as much as possible for the redemption of the underprivileged and marginalized groups including women, children, low-paid workers and religious minorities." Catholics in Faisalabad (Punjab) welcomed him with flowers, throwing rose petals, songs of celebration and drum rolls. The local bishop, Mgr. Joseph Coutts, and activists Ayub Sadiq and Peter Jacob, executive secretary of the National Commission for Justice and Peace (NCJP) have praised the efforts of the priest in promoting interfaith dialogue, peace and human rights.
For the occasion, the organizers have shown a multimedia movie that retraced the life and mission of Fr Bonnie Mendes, in addition to his contribution to the faith and social fields. He was ordained priest on 7 January 1962 and obtained his doctorate on development in the Philippines. In 2005 he received a prestigious award for his contribution to peace and interfaith harmony and, even today, is regional coordinator of Caritas Asia and Executive Director of the Society for Human Development, an organization active in Pakistan since 1984.
Speaking of the work of Fr Mendes, the Bishop of Faisalabad Msgr. Coutts said that "he is like light, salt and yeast," and his every action in life is "in the light of the teachings of the Bible." Like John the Baptist, the prelate added, he has prepared the way for others in the service of humanity "small steps to promote human development." Fr. Emmanuel Yousaf Mani, NCJP national director, says that "following his example," the Catholic Church "can bring a positive change" to Pakistani society.
Fr. Khalid Rasheed, vicar general of the diocese of Faisalabad, included Fr. Mendes among those priests who "spread the faith like Aaron" and " lead the nation socially and politically like Moses." Fr. Aftab James Paul adds that "He in not only a religious and social leader, but a progressive reformer and visionary intellectual." Finally activist Sardar Sadaqat, for which Bonnie Mendes is not just a single individual, but also "an institution and statesman as well."
SourceAsia News 

Monday 9 January 2012

The Baptism of the Lord


Our Lord voluntarily submitted himself to the baptism of St. John, intended for sinners, in order to “fulfil all righteousness.” Jesus’ gesture is a manifestation of his self-emptying.The Spirit who had hovered over the waters of the first creation descended then on the Christ as a prelude of the new creation, and the Father revealed Jesus as his “beloved Son.” CCC 1224

..................
Hamáre Khudáwand Yisú‘ Masíh ke Baptisma kí ‘Íd

A
khilah (Entrance Antiphon): cf. Matí 3:16-17 (Matthew 3:16-17)
Jab Khudáwand ne baptisma páyá to us ke liye ásmán khul gayá.
Aur Khudá kí Rúh kabútar kí mánind utarí
aur Báp kí áwáz yih kahtí húí áí ki:
Yih merá Beṭá hai Al-Mahbúb jis se main khush hún.

Readings
Pahlí Tiláwat:
Yasa‘iya nabí ká sahífa: 42:1-4. 6-7 (Isaiah 42:1-4. 6-7)
Yih merá khádim hai jis se main khush hún

Zabúr: 28:1-4. 9-10 Jamá‘ati jawáb áyat:11
(Jamá‘ati jawáb) Khudáwand apní ummat ko salámatí kí barkat ‘atá karegá.

Dusrí Tiláwat:
Rasúlon ke A‘mál 10:34-38 (Acts 10:34-38)
Khudá ne use Rúhu’l Quds se masah kiyá

Hallelujah- cf. Marqus 9:8 (Mark 9:8)
Hallelujah, Hallelujah!
Ásmán khul gaye aur Báp kí áwáz sunáí dí:
“Yih merá Beṭá hai Al-Mahbúb. Is kí suno. ”
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Matí  ke mutábiq 3:13-17 (Matthew 3:13-17)
nhí Yisú‘ ne baptisma páyá to us ne Khudá kí Rúh ko apne úpar utarte dekhá

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Yúhanná 1:32. 34
Use dekho jis ke báre men Yúhanná ne kahá thá ki main ne dekhá aur shahádat bhí dí ki yih Khudá ká Beṭá hai

B
Readings
Pahlí Tiláwat:
Yasa‘iya nabí ka sahífa: 55:1-11

Zabúr: Yasa‘iya 12:2-6  Jamá‘ati jawáb áyat: 3
(Jamá‘ati jawáb) Tum khush hokar naját ke chashmon se pání bharoge


Dusrí Tiláwat:
Muqaddas Yúhanná ka pahla khatt 5:19 (1John 5:1-9)

Hallelujah- cf. Yúhanná 1:29 (John 1:29)
Hallelujah Hallelujah 
Yúhanná ne Yisú‘ ko anpí¸taraf áte dekha aur kahá
Yih hai Khudá ká Barra, jo dunyá ká guńah uṭhá le játá hai.
Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Marqus ke mutábiq 1:7-11
Tú merá Beṭá hai Al-Mahbúb tujh se main khush hún.

C
Readings
Pahlí Tiláwat:
Yasa‘iya nabí ka sahífa: 40:1-5. 9-11 (Isaiah 40:1-5. 9-11)

Zabúr: 103:1-2. 3-4. 24-25. 27-30 Jamá‘ati jawáb áyat:1
(Jamá‘ati jawáb)
Ai merí ján Khudáwand ko Mubárak kah,
Ai Khudáwand mere Khudá, Tú niháyat ‘azím hai


Dusrí Tiláwat:
Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Titus Ke Nám 2:11-14. 3:4-7 (Titus2:11-14. 3:4-7)

Hallelujah- cf. Lúqá 3:16 (Luke 3:16)
Hallelujah Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Lúqá ke mutábiq 3:15-16. 21-22 (Luke 3: 15-16. 21-22)
Jab Yisú‘baptisma pákar du‘á kar rahá thá to ásmán khul gayá.
.............
You can find more info on the baptism of Christ here, and here.

Sunday 8 January 2012

A Hymn of Adoration

Canticle for The Epiphany and the Baptism of the Lord Evening Prayer II
(Mukáshfa) Revelation 15:3-4

Ai Khudáwand Khudá, Qádir i mutlaq,
tere kám ‘azím aur ‘ajíb hain
ai qaumon ke Bádsháh,
terí rahen rahen rást aur durust hain.
Ai Khudáwand, kaun tujh se na daregá ?
aur kaun tere nám kí tamjíd na karegá?
kyúnki tú hí quddús hai;
aur sab qaumen ákar tere sámne sijda karengí,
kyúnki terí sadáqat ke kám záhír ho gaye hain.

Jalál Báp aur beṭe aur Rúhu’l Quds ká ho
jaisá ke ibtidá men thá, ab hai, aur hamesha hogá. Ámín

Friday 6 January 2012

The Epiphany Of the Lord

The Epiphany is the manifestation of Jesus as Messiah of Israel, Son of God and Saviour of the world.
 
  "Gold, as paid to a mighty King; frankincense, as offered to God; myrrh, as to one who is to die for the sins of all." Augustine, Bishop of Hippo, A.D. 396 Catena Aurea: Volume 1: St. Matthew
--------------
Solemnity
6th January or the Sunday between 2 January and 8 January
Masíh ke Zuhúr kí ‘Íd

khilah (Entrance Antiphon):
Malákí 3:1, 1 Aḳhbár 29:12 (Cf. Malachi 3:1; 1 Chronicles 29:12)
Dekho, dono jahánon ká hukamrán Khudáwand átá hai, aur Badsháhí qudrat aur hukúmat usí ke háth men hogí

Reading
Pahlí Tiláwat:
Yasa‘iya nabí ka sahífa: 60:1-6 (Isaiah 60:1-6)
Khudáwand kí tajallí tujh par tulú‘ huí hai
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: 71:1-2, 7-8. 10-13. Jamá‘ati jawáb áyat cf.v. 11( Psalm 71)
(Jamá‘ati jawáb) ; Ai Khudáwand. Sab qaumen tujhe sijda karengí

Dusrí Tiláwat:
Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Ifsíon Ke Nám 3:2-3. 5-6 (Ephesians 3:2-3. 5-6)
Ab yih kashf kiyá gayá hai ki gair qaumen bhí ham mírás hain
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: Matí 2:2 (Matthew 2:2)
Hallelujah Hallelujah  Ham ne us ká sitára  mashriq men dekhá hai aur ham Khudáwand ko sijda karne áe hain Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
Muqaddas ke Matí mutábiq 2:1-12 (Matthew 2:1-12)
Ham ne us ká sitára  mashriq men dekhá hai aur ham bádsháh  ko sijda karne áe hain
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (cf. Matthew 2:2)
Ham ne mashriq men Khudáwand ká sitára  dekhá aur use sijda karne áe hain.
------------
You can find out more on the feast of Epiphany here and also see Catechism of the Catholic Church for the mysteries of Jesus' infancy, paragraphs 527 to 530