Saturday 28 January 2012

January 29th, 2012, Fourth Sunday in Ordinary Time, B


Sál ke daurán chauthá Itwár

khilah (Entrance Antiphon):
(Zabúr) Psalm 105:47
Ai Khudáwand hamáre Khudá ham ko bachá
qaumon men se ham ko faráham kar
táki ham tere pák nám ká shukr ádá karen
aur terí hamd o saná par fakhr karen

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Tashniya Shara‘) Deuteronomy 18:15-20
Main ek nabí barpá karúngá aur apna kalám us ke munh men ḍálúngá.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: 94:1-2, 6-9  Jamá‘ati jawáb áyat: 8
(Jamá‘ati jawáb) kásh áj tum us kí áwáz suno to apne dilon ko sakht na karo

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurinthíon Ke Nám) 1 Corinthians 7:32-35
Bebiyáhí ‘aurat apne áp ko Khudáwand kí khidmat men mashgúl rakhe us kí sirf yih fikr ho ki wuh pák rahe.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: (Matí) Mt 11:25
Hallelujah Hallelujah 
Mubárak hai tú ai báp
ásmán aur zamín ki Khudáwand
kyúnki tú ne bádsháhat ke bhedon ko
chhoṭon par záhir kiyá.
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Marqus ke mutábiq 1:21-28 (Mark 1:21-28)
Wuh sáhib i ikhtiyár kí tarah ta‘lím detá hai.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Zabúr) cf. Psalm 30:17-18
Apne khádim par apná chihra jalwagar farmá
apní shafaqat ke mutábiq mujhe bachá le
ai Khudáwand mujhe sharminda na hone de kyúnki main ne tujhe pukárá hai.
Or
(Matí) Matthew 5:3-4
Mubárak hain wuh jo Rúh ke gharíb hain.
Kyúnki ásmán kí bádsháhí unhí kí hai
Mubárak hain wuh jo halím hain
kyúnki wuh zamín ke wáris honge.

No comments:

Post a Comment