Friday 13 January 2012

15th Jan 2012- 2nd Sunday in Ordinary Time B


Sál ke daurán dúsrá Itwár

khilah (Entrance Antiphon):
Zabúr 65:4 (Psalm 65:4)
Ai  Khudá tamám dunyá tujhe sijda kare. Ai Haqq Ta‘álá, wuh tere nám ká gít gáe.

Readings
Pahlí Tiláwat:
Samúel Nabí kí pahlí kitáb 3:3-10, 19 (1 Samuel 3:3-10, 19)
Ai Khudáwand farmá, terá kyúnki banda suntá hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr:39:2,5,7-10  Jamá‘ati jawáb áyat: 8,9 (Psalm 40:2,4,7-10 R 8,9)
(Jamá‘ati jawáb) Ai Khudáwand dekh main áyá hún ki terí marzí bajá láún

Dusrí Tiláwat:
Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurinthíon Ke Nám 6:13-15, 17-20 (1 Corinthians 6:13-15,17-20)
Tumháre badan Masíh ke a‘zá hain

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: 1 Samúel 3:9 aur Yúhanná 6:68
Hallelujah Hallelujah 
Ai Khudáwand farmá, terá kyúnki banda suntá hai.
Hamesha kí zindagí kí báten tere pas hain.
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Yúhanná ke mutábiq 1:35-42 (John 1:35-42)
Unhon ne jahán wuh rahtá thá dekhá aur us ke sáth rahe
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Zabúr) cf. Psalm 22:5
Tú ne mere áge dastarkhwán bichháyá hai aur wuh labrez piyála bhí rakkhá hai jis se ham khush hote hain.
Or
(1 Yúhanná) 1 John 4:16
Jo mahabbat Khudá ham se rakhtá hai ham ne use mahsús kiyá aur sach ján liyá


------

For Sunday Reflection by Dr. Scott Hahn click here

No comments:

Post a Comment