Friday 13 January 2012

Hymn of thanksgiving to God


Canticle (Mukáshfa) Rev 11:17-18; 12: 10b-12a

Ai Khudáwand ai Qádir I mutliq
Tu jo hai aur thá ham terá shukr karte hain
Kyúnki tú ne apná ‘azím iqitdár  ikhityár karke bádsháhí kí
Aur qaumen gussa húín
Aur terá gazab názil húá
Aur murdon ká waqt á pahúnchá hai
Ki un kí ‘adálat kí jáe
Aur tú apne bandon ambiyá ko
Aur un muqaddason ko ajr bakhshe
Kiyá chhoṭe kiyá baṛe jo tere nám se ḍarte hain
Aur unhen halák kare
Jinhon ne zamín ko tabáh kar diyá hai
Ab naját aur qudrat aur hamáre Khudá kí bádsháhí
Aur us ke Masíh ká ikhtiyár záhir húá
Kyúnki hamáre bháiyon par wuh tuhmat lagánewálá girá diyá gayá
Jo rát dín hamáre Khudá ke áge un par tuhmat lagáyá kartá thá
Aur wuh Barre ke khún aur apní guwáhí ke sabab se
Us par gálib áe
Aur unhon ne apní jánon ko ‘azíz na jáná
Yahán tak ki ján de dená bhí gawará kiyá
Is wáste ai ásmán  aur jo us men rahte ho khushí karo.


Jalál Báp aur beṭe aur Rúhu’l Quds ká ho
jaisá ke ibtidá men thá, ab hai, aur hamesha hogá. Ámín
-----
This canticle is used on the following days:
Vespers of Week 1, 2, 3, 4 Thursdays, The Ascension, The Body and Blood of Christ.
For meditation and catechesis on the canticle by Blessed John Paul II go here

No comments:

Post a Comment