Monday 9 January 2012

The Baptism of the Lord


Our Lord voluntarily submitted himself to the baptism of St. John, intended for sinners, in order to “fulfil all righteousness.” Jesus’ gesture is a manifestation of his self-emptying.The Spirit who had hovered over the waters of the first creation descended then on the Christ as a prelude of the new creation, and the Father revealed Jesus as his “beloved Son.” CCC 1224

..................
Hamáre Khudáwand Yisú‘ Masíh ke Baptisma kí ‘Íd

A
khilah (Entrance Antiphon): cf. Matí 3:16-17 (Matthew 3:16-17)
Jab Khudáwand ne baptisma páyá to us ke liye ásmán khul gayá.
Aur Khudá kí Rúh kabútar kí mánind utarí
aur Báp kí áwáz yih kahtí húí áí ki:
Yih merá Beṭá hai Al-Mahbúb jis se main khush hún.

Readings
Pahlí Tiláwat:
Yasa‘iya nabí ká sahífa: 42:1-4. 6-7 (Isaiah 42:1-4. 6-7)
Yih merá khádim hai jis se main khush hún

Zabúr: 28:1-4. 9-10 Jamá‘ati jawáb áyat:11
(Jamá‘ati jawáb) Khudáwand apní ummat ko salámatí kí barkat ‘atá karegá.

Dusrí Tiláwat:
Rasúlon ke A‘mál 10:34-38 (Acts 10:34-38)
Khudá ne use Rúhu’l Quds se masah kiyá

Hallelujah- cf. Marqus 9:8 (Mark 9:8)
Hallelujah, Hallelujah!
Ásmán khul gaye aur Báp kí áwáz sunáí dí:
“Yih merá Beṭá hai Al-Mahbúb. Is kí suno. ”
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Matí  ke mutábiq 3:13-17 (Matthew 3:13-17)
nhí Yisú‘ ne baptisma páyá to us ne Khudá kí Rúh ko apne úpar utarte dekhá

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Yúhanná 1:32. 34
Use dekho jis ke báre men Yúhanná ne kahá thá ki main ne dekhá aur shahádat bhí dí ki yih Khudá ká Beṭá hai

B
Readings
Pahlí Tiláwat:
Yasa‘iya nabí ka sahífa: 55:1-11

Zabúr: Yasa‘iya 12:2-6  Jamá‘ati jawáb áyat: 3
(Jamá‘ati jawáb) Tum khush hokar naját ke chashmon se pání bharoge


Dusrí Tiláwat:
Muqaddas Yúhanná ka pahla khatt 5:19 (1John 5:1-9)

Hallelujah- cf. Yúhanná 1:29 (John 1:29)
Hallelujah Hallelujah 
Yúhanná ne Yisú‘ ko anpí¸taraf áte dekha aur kahá
Yih hai Khudá ká Barra, jo dunyá ká guńah uṭhá le játá hai.
Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Marqus ke mutábiq 1:7-11
Tú merá Beṭá hai Al-Mahbúb tujh se main khush hún.

C
Readings
Pahlí Tiláwat:
Yasa‘iya nabí ka sahífa: 40:1-5. 9-11 (Isaiah 40:1-5. 9-11)

Zabúr: 103:1-2. 3-4. 24-25. 27-30 Jamá‘ati jawáb áyat:1
(Jamá‘ati jawáb)
Ai merí ján Khudáwand ko Mubárak kah,
Ai Khudáwand mere Khudá, Tú niháyat ‘azím hai


Dusrí Tiláwat:
Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Titus Ke Nám 2:11-14. 3:4-7 (Titus2:11-14. 3:4-7)

Hallelujah- cf. Lúqá 3:16 (Luke 3:16)
Hallelujah Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Lúqá ke mutábiq 3:15-16. 21-22 (Luke 3: 15-16. 21-22)
Jab Yisú‘baptisma pákar du‘á kar rahá thá to ásmán khul gayá.
.............
You can find more info on the baptism of Christ here, and here.

No comments:

Post a Comment