Tuesday 30 July 2013

Holy Mass in Urdu on Sunday, 4 August 2013

18th Sunday in Ordinary Time C
Sál ke daurán aṭhárahwán Itwár (C)
Christ Church, Carr Rd, Nelson BB9 7EN
Sunday, 4 August 2013
Time: 3 pm


The Mass is followed by the sharing of a meal together. Everyone is welcome.

Holy Mass in Urdu every first Sunday of the month at 3pm

Friday 26 July 2013

28 July 2013, 17th Sunday in Ordinary Time C


Sál ke daurán satrahwán Itwár (C)

khilah (Entrance Antiphon):
 (Zabúr) Cf. Psalm 67: 6-7, 36
Khudá jo apne pák maskan men rahtá hai
ya‘ní wuh Khudá jo bekason ko ghar men basátá hai
wuhí apne logon ko quwat aur táqat bakhshegá.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai niháyat shafíq Khudá
Tú apne bharosá rakhne wálon ko bacháe rakhtá hai
Tere siwá koí bhí qawí aur pák nahín hai
Hamen apní rahmat kasrat se dikhá
Táki terí himáyat aur hidáyat ke sáth ham
Is jahán kí fání chízen aise taríqe se isti‘mál men láen
Ki ákhirat men abdí chízen mírás men pá saken
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Takwín kí kitáb) Genesis 18:20-32
Ai Khudáwand khafá na honá, agar main ek dafah aur ‘arz karún

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Responsorial Psalm
Zabúr: Psalm 137: 1-3, 6-8 Jamá‘ati jawáb áyat: 3
Jamá‘ati jawáb:  Ai Khudáwand jis din main ne pukárá tú ne merí sun lí
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Kulussíon ke nám) Colossians 2:12-14
Khudá ne hamen bhí us ke sáth zinda kiyá hai, us ne hamáre sab gunáh bakhsh diye hain.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Gospel Acclamation
Hallelujah: (Yúhanná) John 1:14, 12
Hallelujah, Hallelujah
Kalma mutajassad húá, aur ham men sukúnat pazir húá.
Jinhon ne use qabúl kiyá.
Us ne unhen iqtidár bakhshá ki Khudáwand ke farzand banen.
Hallelujah 
Hallelujah: (Rúmíon) Romans 8:15
Hallelujah, Hallelujah
Tum ne tabanníat kí rúh páí hai
Jis se ham pukár kar Abbá ya‘ní, ai Báp kahte hain
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 11:1-13
Mango to tumhen diyá jáegá

Yisú‘ ek jagah du‘á kar rahá thá. Jab kar chukka to us ke shágirdon men se kisí ne us se kahá: Ai Khudáwand, hamen du ‘á karná sikhá jaisá ki Yúhanná ne bhí apne shágirdon ko sikháyá. Us ne un se kahá ki jab du‘á karo to khao:
“Ai Báp, tere nám kí taqdís ho,
terí bádsháhí áe
Hamáre rozíne kí roṭí roz marrah hamen diyá kar.
Aur hamáre gunáh hamen bakhsh,
kyúnki ham bhí apne har ek qarzdár ko bakhshte hain,
aur hamen ázmáish men paṛne na de”

Aur us ne un se kahá, tum men se kisí ká ek dost ho, aur wuh ádhí rát ko us ke pás já kar kahe, Ai dost, mujhe tín rotiyán udhár de. Kyúnki merá dost safar kar ke mere pás áyá hai, aur mere pás kuchh nahín, ki us ke áge rakkhún ? Aur wuh andar se jawáb men kahe, ki mujhe taklíf na de; ki ab darwáza band hai, aur mere bachche mere sáth bichhaune par hain, main uṭh nahín saktá ki tujhe dún. Main tum se kahtá hún, agar wuh is sabab se, ki us ká dost hai, uṭh kar na de sake, magar us kí behayáí ke sabab se jo kuchh darkár hai use degá. Pas main tum se bhí kahtá hún, Mángo, to tumhen diyá jáegá; ḍhúnḍho, to páoge; khaṭ- khaṭáo, to tumháre liye kholá jáegá. Kyúnki har ek, jo mángtá hai, use diyá játá hai; aur jo ḍhúnḍhtá hai, wuh pátá hai ; aur jo khaṭkhaṭátá hai, us ke liye kholá jáegá. Tum men se kaun sá báp aisá hai, ki jab beṭá roṭí mánge, to use patthar de ? yá machhlí mánge, to machhlí ke badle use sánp de? Yá anḍá mánge, to use bichchhú de ? Pas jab tum burе ho kar, apne bachchon ko achchhí chízen dená jánte ho, to kis qadar ziyáda, tumhárá ásmání Báp unhen jo us se mángte hain, nek Rúh kyún na degá.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Tú hamen apní fayyází se hamáre isti‘mál ke liye wuh chízen detá hai
Jin men se ham is waqt yih hadye tere pás láe hain
In ko qabúl farmá
Táki tere fazl kí muassir quwwat se
Yih niháyat pák ‘ibádat hamen is zindagí men
Nek kám karne aur pák hone kí himmat diláe
Aur hamesha kí khushíon ke maqám tak pahuncháe
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
 (Zabúr) Ps 102: 2
Ai merí ján Khudáwand ko mubárak kah
aur us ke kisí ihsán ko farámosh na kar.
Or
(Matí) Mt 5: 7-8
Mubárak hain wuh jo rahmdil hain un par rahm kiyá jáegá.
Mubárak hain wuh jo pák dil hain wuh Khudá ko dekhenge.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham ne wuh iláhí sákráminṭ liyá hai
Jo tere piyáre Beṭe ke dukhon kí dáimí yádgár hai
Aur jo us ne khud hí apní intiháí muhabbat se
Hamen ‘atá kiyá hai
‘ináyat kar ki yih hamárí naját ke liye mufíd ho
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

Tuesday 23 July 2013

The Journey Home Talat Storkirk - Former Muslim



Talat Storkirk tells host Marcus Grodi about her journey home to the Catholic Church from a Muslim childhood.

Friday 19 July 2013

21 July 2013, 16th Sunday in Ordinary Time C


Sál ke daurán solahwán Itwár (C)

khilah (Entrance Antiphon):
 (Zabúr) Cf. Psalm 53: 6, 8
Dekho Khudáwand merá madadgár hai.
Khudáwand merí ján ká muháfiz hai.
Main khush dilí ke sáth tere liye qurbáníán guzarúngá.
Ai Khudáwand main tere nám kí khúbíán biyán karúngá.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Apne bandon par mihrbán ho
Apne karam ke mutábiq unhen kasrat se apne fazl kí ni‘maten ‘atá kar
Táki ummed, ímán aur muhabbat ke josh ke sáth
Hamesha is fikr men rahen ki tere hukmon par ‘amal karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Takwín kí kitáb) Genesis 18:1-10
Ai Khudáwand apne khádim ka pás se chalen na jáen
Responsorial Psalm
Zabúr: Psalm 14:2-5. Jamá‘ati jawáb áyat: 1
Jamá‘ati jawáb: Ai Khudáwand tere khaime men kaun rahegá?
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Kulussíon ke nám) Colossians 1:24-28
Wuh bhed jo zamánon se poshída rahá, ab muqaddason par záhir kiyá gayá hai
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Gospel Acclamation
Hallelujah:
(A‘mál) Acts 16:14
Hallelujah Hallelujah
Ai Khudáwand hamáre dil khol
ki tere Beṭe kí báton ko qabúl karen.
Hallelujah 
(Lúqá) Luke 8:15
Hallelujah, Hallelujah
Mubárak hain wuh jo
Khudáwand ke kalám ko sun kar
Ise achchhe aur nek dil men sambhále rahte,
aur sábit-qadamí se phal láe
Hallelujah   
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 10:38-42
Márthá ne Yisú‘ ko apne ghar men  utárá, Mariyam ne achchá hissa chun liyá hai.
Ek din, Yisú‘ ek gánw menkhil húá, aur Márthá námí ek ‘aurat ne use apne ghar men utárá. Aur Mariyam námí us kí ek bahin thí; aur wuh bhí Khudáwand ke pánwon ke pás baiṭh kar us ká kalám suntí thí. Magar Márthá tarah tarah kí khidmat karne ke taraddud men thí, wuh ṭhaihr kar kahne lagí, ki Ai Khudáwand! Tú khayál nahín kartá, ki merí bahin ne khidmat karne ko mujhe akelá chhoṛ diyá hai? Pas us se kah, ki merí madad kar. Par Khudáwand ne jawáb men us se kahá: Márthá, ai Márthá, tú bahut sí báton ke fikr o taraddud men hai. Magar ek hí bát darkár hai, pas Mariyam ne achchhá hissa chun liyá hai, jo us se chhíná na jáegá.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Qádir Khudá
Terí hí qáim kí húí shar‘í qurbáníán
Us wáhid aur kámil qurbání kí taraf ishára kartí thín
Apne ‘aqídat mand bandon kí yih qurbání qabúl farmá
Aur ise usí tarah pák ṭhahrá
Jis tarah tú ne Hábil ke nazránon ko pák ṭhahráyá thá
Táki jo kuchh ham men se har ek tujh ‘azím Khudá ki ‘izzat men látá hai
Wuh sab ke liye fáidamand ho
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
 (Zabúr) Ps 110: 4-5
Us ne apne ‘ajib kámon ko qábil-i yád ṭhahráyá hai
Khudáwand rahmán aur rahím hai. Us ne apne ḍarnewálon ko khurák dí.
Or
(Mukáshafa) Rv 3: 20
Khudáwand farmátá hai ki dekh main darwáze par khaṛá hún, aur khaṭkhaṭá rahá hún.
Agar koí merí áwáz sune aur mere liye darwáza khole, to main us ke pás andar áún
aur ham mil kar shám ká kháná kháenge.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Mihrbání se apne logon kí madad kar
Tú ne ásmán kí besh qímat ni‘maton se unhen ma‘múr kiyá hai
Bakhsh de ki wuh purání zindagí chhoṛ kar
Nayí zindagí ikhtiyár kar len
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

Wednesday 17 July 2013

Journey Home Marcus Grodi with David Anders


Dr. Anders is a former Presbyterian and believer of Calvinism. He converted to the Catholic Church when he realized the errors of Calvinism.

Friday 12 July 2013

14 July 2013, 15th Sunday in Ordinary Time C


Sál ke daurán pandarahwán Itwár (C)

khilah (Entrance Antiphon):
 (Zabúr) Cf. Ps 16:15
Main sadáqat men terá dídár hásil karún
aur jágte húe tere hazúr ser húngá.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Mihrbán Khudá
Tú gum-ráhon ko apní sacháí ká núr dikhátá hai
Táki wuh phir sahíh ráste par á saken
Un sab ko jo Masíh ká nám lete hain
‘atá kar ki
Us mubárak nám ke khiláf báten tark kar ke
Muwáfiq báton ko ‘amal men láen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Tasniyah Shara‘ kí kitáb) Deuteronomy 30:10-14
Kalma tere bahut nazdík hai, táki tú us par ‘amal kare

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 68: 14,17,30-31,33-34,36-37  Jamá‘ati jawáb áyat: Cf. 33
Jamá‘ati jawáb: Ai g̣haríbo, Khudáwand ko talab karo,
        aur tumháre dil táza ho jáenge.
Zabúr: Psalm 18:8-11 Jamá‘ati jawáb áyat: 9
Jamá‘ati jawáb: Khudáwand ke qawá‘id dil ko masrúr karte hain

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Kulussíon ke nám) Colossians 1:15-20
Sab chízen Masíh ke wasíle, aur usí le liye khalq kí gayín

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Gospel Acclamation
Hallelujah:
(Yúhanná) John 10:27
Hallelujah Hallelujah 
Khudá farmátá hai, merí bheŕen merí áwáz suntí hain,
Main unhen jántá hún
Aur wuh mere píchhe píchhe átí hain
Hallelujah


Hallelujah: Cf. (Yúhanná) John 6:63,68
Hallelujah Hallelujah 
Ai Khudáwand terí báten rúh hain
Aur zindagí bhí hain:
hamesha kí zindagí kí báten to tere hí pás hain.
Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 10:25-37
Merá hamsáyá kaun hai.
Ek din, ek ‘álim -i- fiqah uṭhá aur yih kah kar us kí ázmáish kí, ki ai ustád main kyá karún, ki hamesha kí zindagí ká wáris banún? Us ne us se kahá, ki Sharí‘at men kyá likhá hai? Tú kis tarah paṛhtá hai?  Us ne jawáb men kahá: Tú Khudáwand apne Khudá ko apne sáre dil se, aur apní sárí ján se, aur apní sárí táqat se aur apní sári ‘aql se, aur apne hamsáe ko apní mánind piyár kar. Us ne us se kahá: Tú ne ṭhík jawáb diyá; yihí kar, to tú jíegá. Magar us ne yih cháh kar, ki apne áp ko rástbáz ṭhahráe Yisú‘ se kahá, ki merá hamsáyah kaun hai?
 Is par Yisú‘ ne kahá, ki ek shakhs Yarúshalem se Yarího ko já rahá thá, ki ḍákúon men já paṛá, jinhon ne use lúṭ kar zakhmí kiyá, aur adhmúá chhoṛ kar chale gaye. Ittifáqan ek káhin us ráh se guzrá, aur use dekhá, aur katrá kar chalá gayá. Usí tarah ek Lewí ne bhí usí jagah á kar use dekhá, aur katrá kar chalá gayá. Phir ek Sámarí musáfir safar karte karte wahán á niklá, aur use dekh kar tars kháyá, aur  pás já kar us ke zakhmon ko tel aur mai lagá kar bándhá, aur apne jánwar par baithá kar saráe men le gayá, aur us kí khabargírí kí. Aur dúsre din do dínár nikál kar bhaṭiyáre ko diye aur kahá, ki is kí khabargírí kar, aur jo kuchh is se ziyáda kharch hogá, main phir á kar tujhe adá karúngá. Ab in tínon men se us ká jo ḍákúon men já paṛá thá, tú kise hamsáyah samajhtá hai? Us ne kahá: use jis ne us par rahm kiyá. Tab Yisú‘ ne us se kahá: Já tú bhí aisá hí kar.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Apní iltijá karne wálí kalísiyá ke nazránon par nazar kar
Bakhsh de ki muminín in men sharík ho kar
Pákízagí men taraqqí páen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
cf: (Zabur) Psalm: 83:4-5)
Chiṛiyá ko bhí ṭhikána miltá hai
aur abábíl ko ghonslá jahán apne bachchon ko rakkhe
yani tere mazbahon ke pás ai Rabb u’l afwáj, ai mere bádsháh aur ai mere Khudá
mubárak hain wuh jo tere ghar men rahte hain
wuh to hamesha terí sitáish karte hain.
Or
(Yúhanná ) John 6: 57
Khudáwand farmátá hai ki jo merá gosht khátá aur merá khún pítá hai,
wuh mujh men qáim rahtá hai, aur main us men.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham terí pák bakhshishen hásil kar ke
Tujh se iltimás karte hain
‘atá kar ki jitní bár
Ham yih pák ‘ibádat adá karte hain
Utní bár ham men naját ká asar ziyáda kargar ho
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here