“Sion, adorn your bridal chamber and welcome Christ the King; take Mary in your arms, who is the gate
of heaven, for she herself is carrying the King of glory and new light. A Virgin she remains, though bringing in her hands the son before the morning star begotten,whom Simeon, taking in his arms announced to the peoples as Lord of life and death and Saviour of the world.” Antiphon at Candlemas
Hamáre Khudáwand Masíh ká Khudá kí nazar kiye
jáne kí ‘Íd
(Candlemas)
The Second
Reading: (‘Ibráníon) Hebrews
2:14-18
Ai bháiyon, jab ki sab farzand khún aur gosht men
sharík hote hain, isí tarah wuh
khud bhí un men sharík huá táki maut ke wasile se us ko tabáh
kare jise maut par ikhtiyár hásil thá, ya‘ní shaitán ko, aur táki
un ko chhuṛá le jo ‘umr bhar maut ke ḍar se ghulámí men giriftár
rahe. Wuh dar- haqíqat
firishton kí dastgirí nahín kartá balki Ibráhím kí nasl
kí dastgirí kartá hai. Is sabab se lázim thá, ki wuh har bát men
apne bháiyon kí mánind bane táki wuh Khudá ke pás ummat ke gunáhon
ká kaffára karne ke wáste ek rahm dil aur amánatdár Káhin-i-azam ṭhahre. Kyúnki
jis súrat men us ne khud ázmáyá jákar dukh uṭháyá hai, to
wuh un kí bhí madad kar saktá hai, jo ázmáish men paṛte hain.
From today’s
Gospel reading we also get the canticle for the night prayer:
Shama‘ún
Ká Gít[1] (Nunc dimittis)
Ai Málik ab tú apne qaul ke mutábiq
Ab apne bande ko aman se
rukhsat kartá hai
Kyúnki merí ánkhon
ne terí naját dekh lí hai
Jo tú ne sab ummaton
ke rú-ba-rú taiyár kí hai
Ghair qaumon ke liye
inkisháf ká núr
Aur apní ummat Isráíl
ká jalál
[1]
Canticle: LÚQÁ (Luke) 2:29-32
--------
The feast of Presentation of the Lord in the temple is celebrated on the 2nd February also known as the Candlemas for more info click here.
No comments:
Post a Comment