Rozon
ká Pahlá
Itwár
Dákhilah (Entrance Antiphon):
(Zabúr) cf. Psalm
90:15-16
Wuh mujhe pukáregá aur main us kí sunongá.
Main use chhuṛáúngá
aur use jalál bakhshúngá.
Main use ayám kí darází se mutmain karúngá aur
apní naját use dikáúngá
Pahlí Tiláwat: (Takwín)
Genesis 9:8-15
Núh ke sáth Khudá ká ‘ahd jab túfán ke pání se
salámat bacháyá
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr: 24:4-9 Jamá‘ati jawáb áyat: 10
(Jamá‘ati jawáb): Ai Khudáwand terí
sab ráhen un ke liye rahmat aur sadáqat hain
jo tere ‘ahd ko mánte hain.
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Patras Rasúl Ká Pahlá Khatt)
1Peter 3:18-22
Paní mushábih hai baptisma ke jo ap tumhen
bachátá hai.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí
barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Na‘rah-e Hamd:
(Matí) Matthew 4:4
Insán sirf
roṭí hí se nahín jítá
balki har ek Kalme
se jo Khudá ke munh se nikaltá hai.
Injíl I
Muqaddas:
(Muqaddas Marqus
ke mutábiq )
Mark1:12-15
Yisú‘ ko
shaitán ázmátá rahá aur phir firishton ne á kar us kí khidmat
kí
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh,
terí sitáish ho.
(Matí) Matthew 4:4
Insán sirf roṭí hí se nahín jítá
balki har us Kalme se jo Khudáwand ke munh se
nikaltá hai.
or
(Zabúr) Psalm 90:4
Khudáwand tujh
par apne paron ká sáya karegá
aur us ke bázúon ke níche tujhe panáh milegí.
No comments:
Post a Comment