Salíb ke sámne du‘á
Dekh ai mihrbán aur narm dil Yisú‘,
Main tere huzúr dozánú hotá hún,
aur apní rúh kí niháyat garm-joshi ke sáth,
terí minnat kartá hún,
ki tú mere dil men ímán, ummed, aur piyár ka tez fahm,
aur apní khatáon kí ek sachchí tauba,
aur un ke durust karne ko,
niháyat mazbút iráda paidá kar.
Jab main Dáúd nabí ke un lafzon ko yád kartá hún,
jo us ne peshtar hí terí bábat kahe,
ki unhon ne mere háth aur pánw chhede,
aur merí sárí haḍḍiyan ginín.
To main baṛe piyár aur gham ke sáth,
tere pánchon zakhmon par,
apne dil men ghaur kartá hún.
Ámín.
did catholic people ( christian ) can eat meat and chicken in lent
ReplyDelete