Wednesday, 22 February 2012

Psalm 51: Miserere


Mazmúr 50 (51)

Ai  Khudá, apní rahm dilí ke mutábiq mujh par rahm kar.
Aur apní rahmaton kí kasrat ke mutábiq, mere gunáh miṭá de.
Merí badí  ko achchhí tarah se mujh se dho ḍál
Aur merí khatá se mujhe pák kar
Kyúnki main apní ná rástí se wáqif hún
Aur merá gunáh har waqt mere peshe nigáh hai
Main ne sirf terá hí gunáh kiyá hai
Aur mujh se wuh kám húá hai, jo terí nazar men burá hai
Táki tú apne fatwá men ‘ádil
Aur apne insáf men be ilzám ṭhahre
Dekh main ne khatá kí hálat men súrat pakṛí
Aur gunáh kí halat men, apní mán ke batn men paṛa
Dekh tú sadáqat-e dil ko pasand kartá hai
Aur bátin men mujhe hikmát sikhátá hai
Zúfá se mujhe pák kar, to main sáf ho jáún
Mujhe dho dál, to main barf se ziyáda safed ho jáún
Mujhe khushí, aur khurramí kí báten suná
jo haḍḍiyán tú ne toṛ ḍálín, wuh shádmání karen
mere gunáhon se chashm-poshí kar
aur merí sab khatáon ko miṭá de
ai Khudá, mujh men ek pák dil paidá kar
aur naye  sire se ek mustaqím rúh, mere bátin men ḍál
apne chihre ke sámne se mujhe khárij na kar
aur apní pák rúh mujh se alag na kar
apní naját kí shádmání mujhe phir ‘ináyat kar
aur isti‘dád rúh se mujhe mazbút kar
main khatákáron ko terí ráhen sikháún
aur gunahgár terí taraf rujú‘ láhenge
ai Khudá, ai mere mukhlis Khudá
mujhe khún ke jurm se chhuṛá
merí zubán terí sadáqat se masrúr ho
ai Khudáwand, mere honṭhon ko khol de
to merá munh terí ta‘rif  bayán karegá
tú to zabíhah pasand nahín kartá
aur agar main sokhtaní qurbání bhí dún to tú khush nahín hotá
Ai Khudá, shikasta rúh merí qurbání hogí
Ai Khudá, shikasta aur khák-nishín dil ko haqír na jánegá
Ai Khudáwand, apne karam ke mutábiq Siyyún ke sáth bhaláí kar
Aur Yarúshalem kí díwáron ko az-sare-nau ta‘mír kar
Tab tú láiq qurbániyan, nazráne aur zabíhe qabúl karegá
Aur tere mazbah par bachhṛe chaṛháe jáenge.

-----
For Pope John Paul II’s Meditation on Psalm 51 (50) click here

No comments:

Post a Comment