Sál ke daurán pánchwán Itwár
Dákhilah (Entrance
Antiphon):
(Zabúr) Psalm 94:6-7
Aʹo ham Khudá ko sijda karen
aur apne Khudáwand ke áge ghúṭne ṭeken,
Usí ne hamen banáyá hai, wuhí hamárá Khudáwand
hai
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Aiyúb nabí kí kitáb) Job 7:1-4. 6-7
Main leṭtá hún tú bechaini se kahtá hún
ki din kab chaṛhega
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr:146:1-6
Jamá‘ati jawáb áyat: 3
(Jamá‘ati jawáb) Khudáwand kí hamd
karo jo shikastadilon ko shifá detá hai.
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurinthíon
Ke Nám) 1 Corinthians 9:16-19. 22-23
Agar
main injíl na sunáún to mujh par afsos hai
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí
barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Hallelujah:
(Yúhanná) John 8:12
Hallelujah Hallelujah
Khudá farmátá hai, dunyá ká
núr main hún,
jo koí
merí pairawí karegá,
zindagí
ká núr páegá.
Hallelujah
Injíl I
Muqaddas:
Muqaddas Marqus
ke mutábiq 1:29-39
Us ne bahuton ko shifá bakhsh́i jo tarah tarah kí
bímáíron men mubtilá the
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Zabúr) cf. Psalm 106:8-9
Sab Khudáwand kí shafaqat ke liye aur un ‘ajíb kámon
ke liye jo us ne baní Aʹdam kí khátir
kiye hai, us kí shukrguzárí adá karen. Kyúnki us ne tarastí
ján ko ser kiya aur bhúkí ján ko achchhí chízon se ásúda kiyá
Or
(Matí) Matthew 5:5-6
Mubárak hain wuh jo gamgín hain.
Kyúnki wuh tasallí páenge
Mubárak hain wuh jo rástí ke bhúke aur piyáse hain
kyúnki wuh ásúda honge.
------------
Urdu Mass on 5th Feb 2012
First Sunday of the month at 3pm
Christ Church, Carr Rd, Nelson BB9 7EN
Sunday 5th February 2012
Christ Church, Carr Rd, Nelson BB9 7EN
Sunday 5th February 2012
Time: 3 pm
No comments:
Post a Comment