Sál ke
daurán chhaṭhá Itwár (B)
(Zabúr) Psalm
30:3-4
Tú mere liye
muháfiz, aur jáe-panáh ho, aur mujhe naját bakhsh, kyúnki
tú merí chaṭán, aur merá qil‘a hai. Tú apne nám kí khátir merí
hidáyat aur parwarish karegá.
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Ahbár kí
kitáb) Leviticus 13:1-2, 44-46
Baras ká
maríz khaíma gáh men na rahe balki ‘aláhida rahe
Pák kalám ke paṛhe
aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá
ká shukr ho.
Zabúr: Psalm 31:1-2.
5. 11, Jamá‘ati jawáb áyat: 7
Ai Khudáwand
tú merí jáe-panáh hai,
Tú naját ke jashn
se mujhe ghere hai
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas
Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurinthíon Ke Nám) 1 Corinthians 10:31-11:1
Tum merá namúna
lo jaise ki main Masíh ká namúna letá hún.
Pák kalám ke paṛhe
aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá
ká shukr ho.
Hallelujah: cf. (Ifisíon) Ephesians 1:17-18
Hallelujah Hallelujah
Hamáre Khudáwand
Yisú‘ ká Báp
tumháre
dil kí ánkhen raushan kare
táki tum
samajh lo, ki us ke buláwe men tumháre liye kyá ummed hai
Hallelujah
(Muqaddas Marqus ke mutábiq) Mark 1:40-45
Fauran us ká koṛh játá rahá aur wuh pák sáf ho gayá
Injíl I
Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
(Zabúr) Psalm
77:29-30
Khudá ke chunne
húe log khákar khúb ser húe aur Khudáwand ne un kí tamanná
un ko bakhshí. Wuh apní khwáish se mahrúm na rahe.
Or
(Yúhanná ) John 3:16
Khudá ne duniyá
ko aisá piyár kiyá ki us ne apná iklautá Beṭá bakhsh diyá, táki
jo koí us par ímán láe wuh halák na ho balki hamesha kí zindagí páe.
No comments:
Post a Comment