Sunday 11 March 2012

3rd Sunday of Lent. March 11th 2012


Rozon ká Tísrá Itwár

khilah (Entrance Antiphon):
 (Zabúr) cf. Psalm 24:15-16
Merí ánkhen har waqt Khudáwand  kí taraf lagí rahtí hain
kyúnki wuhí, mere panw ko phandon se bacháegá.
Ai Khud́wand, merí taraf mutawajjih ho, aur mujh par rahm kar 
kyúnki main bekas aur musíbat men mubtilá hún.
Or
(Hizqíel) cf. Ezekiel 36.23-26
Khudáwand farmátá hai ki jab tumháre zari‘ah merí taqdís hogí
to main tumhen sab mulkon men se jama‘ karúngá .
Main tum par pání chhiṛkún
aur tum har dágh se pák sáf ho jáoge, 
Main tumháre bátin men ek nayí rúh ḍalúngá.

Readings
Pahlí Tiláwat:  (Khurúj) Exodus 20:1-17
Sharí‘at  Músá ke wasíle se dí gaí

Zabúr: 18:8-11 Jamá‘ati jawáb áyat: Jn 6:68
(Jamá‘ati jawáb): Ai Khudáwand, hamesha kí zindagi kí báten tere hí pás hain.

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurinthíon ke nám) 1 Corinthians 1:22-25
Ai bháiyon, Yahúdí to kirishme cháhte hain, aur Yúnání hikmat kí talásh men hain. Magar ham us Masíh i maslúb kí manádí karte hain, jo Yahúdíon ke nazdík ṭhokar ká bá‘is, aur ghairqaumon ke nazdík hamáqat hai. Lekin buláe húon ke nazdík hí, kyá Yahúdí, kyá Yúnání Masíh Khudá kí qudrat, aur Khudá kí hikmat hai. Kyúnki Khudá kí taraf kí hamáqat, ádmíon se dáná tar hai. Aur Khudá kí taraf kí kamzorí, ádmíon se zor áwar hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Na‘rah-e Hamd:
(Yúhanná) John 11:25.26
Khudá farmátá hai. Qiyámat aur zindagí mainn jo koí mujh par ímán látá hai, wuh abad tak kabhí na maregá.
Or
(Yúhanná) John 3:16
Khudá ne duniyá ko aisá piyár kiyá ki us ne apná iklautá Beṭá bakhsh diyá, táki jo koí us par ímán láe wuh halák na ho balki hamesha kí zindagí páe. 
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq ) John 2:13-25
Is haikal ko ḍhá do, aur main tín din men use khaṛá kar dún

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) cf. Psalm 83:4-5
Chiṛiyá ko ṭhikáná miltá hai
aur abábíl ko ghonslá jahán wuh apne bachchon ko rakhe,
yani ai mere bádsháh mere Khudá
tere mazbahon ke pás mubárak hain wuh jo tere ghar men rahte hain.
Wuh hamesha terí sitáish karenge.

No comments:

Post a Comment