Rozon ká chauthá Itwár (B)
(Laetare Sunday)
(Laetare Sunday)
Dákhilah (Entrance Antiphon):
(Yasa‘iya) cf. Isaiah 66:10-11
Yarúsalem ke sáth khushí karo, aur us ke sáth shádmán
ho. Tum sab jo us
se muhabbat rakhte ho, musarrat[1] se
ma‘múr ho kar naghma saráí karo. Tum sab jo mátam karte ho, aur tasallí
pá kar ásúda ho
Readings
Pahlí Tiláwat: (2Aḳhbár )
2Chronicles 36:14-16. 19-23
Khudá ká ghazab aur rahm us kí qaum jalá-wátaní
aur raháí se záhir hotá hai
Zabúr: 136:1-6 Jamá‘ati jawáb áyat: 6
(Jamá‘ati jawáb): agar main tujhe yád
na karún to merí zabán mere tálú se chipaṭ jáe
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Ifisíon
ke nám) Ephesians 2:4-10
Tum gunáhon ke sabab se murda the fazl
ke wasíle se bacháe gaye ho.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí
barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Na‘rah-e Hamd:
(Yúhanná) John 3:16
Khudá ne duniyá ko aisá piyár kiyá ki us ne apná iklautá Beṭá bakhsh
diyá, táki jo koí us par ímán láe wuh halák na ho balki hamesha kí zindagí
páe.
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq )
John 3:14-21
Khudá ne apná Beṭá duniyá
men bhejá táki duniyá us ke wasíle se naját páe.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh,
terí sitáish ho.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) cf.
Psalm 121:3-4
Bait al muqaddas shahr kí mánind pukhta ittihád se
ta‘mír húá hai.
wahan qabíle ya‘ní Khudáwand ke qabíle,
Khudáwand ke nám ká
shukr karne játe hain.
No comments:
Post a Comment