Invitatory Psalm 95
‘ibadat aur itá‘at kí da‘wat (A call to praise God)
1 Áo, ham Khudáwand ke liye
naghma pardází karen
apní naját kí chatán ke liye khushí se lalkáren.
2 us ke
huzúr shukrguzárí karte húe áen
aur gít
gáte húe us ke áge khushi ke na‘re máren.
3 Kyúnki
Khudáwand Khudá e ‘azím hai
Aur
tamám ma‘búdon par sháh i kabír hai
4 usí
ke háth men zamín ke gahráo hain
Aur
paháṛon kí choṭiyán bhí usí kí hain
5
Samundar usí ká hai, kyúnki usí ne use banáyá hai
aur khushkí
bhí, jo us ke háthon kí sákht
hai.
6 Áo, ham jhuken,
aur sajda karen
Aur apne kháliq
Khudáwand ke áge dozánú ho jáen
7 Kyunki wuhí
hamárá Khudá hai
Aur ham us kí
pásbání kí ummat
Balki us kí hidáyat
ká gallah hain
Kásh ki áj tum us
kí áwáz suno
8 “tum apne dil ko
sakht na karo, jaisá Maríbah men
Ya jaisá Massah ke
din, biyábán men kiyá thá
9 Jahán tumháre ajdád ne merá imtihán kiyá,
aur mere kámon
ko dekh kar bhí mujhe ázmáyá
10 Chális baras tak
main us nasl se bezár rahá,
aur main ne kahá ki yih gumráh dil qaum
hai.
aur wuh merí ráhon
se náwáqif hain.
11 Chunánchi
main ne apne ghazab men qasam kháí hai
Ki yih mere itmínán
men hargiz dákhil na honge.
No comments:
Post a Comment