Rozon ká pánchwán Itwár (B)
Dákhilah (Entrance Antiphon):
(Zabúr) cf. Psalm 43:1-2
Ai Khudá merá insáf kar aur ná pák qaum ke muqábale men
merí wakálat kar. Farebí aur badkirdár ádmi se mujhe chhuṛá kyúnki
tú hí merá Khudá hai jo mujhe tawánáí bakhshtá hai.
Readings
Pahlí Tiláwat: (Irmiyá[1])
Jeremiah 31:31-34
Main un ke sáth nayá ‘ahd bándhúngá, aur
un ke gunáhon ko phir yád na karúngá
Zabúr: 50:3-4,12-15 Jamá‘ati jawáb áyat:12
(Jamá‘ati jawáb): Ai Khudáwand mujh men
ek pák dil paidá kar
Dusrí Tiláwat:
(‘Ibráníon) Hebrews 5:7-9
Us ne farmánbardárí síkhí, aur abadí naját
ká bá‘is ṭhahrá
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí
barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Na‘rah-e Hamd:
(Yúhanná) John 12:26
Khudáwand farmátá hai:- Agar
koí merí khidmat karná cháhe, to merí taqlíd kare, aur jahán
main hún wahín merá khádim hogá
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq )
John 12:20-30
Agar gehún ka dána zamín men gir
kar mar játá hai ,to bahut sá phal látá hai
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh,
terí sitáish ho.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Yúhanná) John 12:24
Main tum se sach sach kahtá hún, ki jab tak gehún
ká dána zamín men gir kar mar nahín játá tab tak wuh akelá
rahtá hai; lekin jab mar játá hai, to bahut sá phal látá hai
.........
Check out The Sacred page for a good commentary on Sunday readings:
Jeremiah's New Covenant Prophecy and the Coming of Jesus' Sacrificial Hour. For pod cast on the Sunday Readings for the Fifth Sunday of Lent click here
No comments:
Post a Comment