Khajúron
ká Itwár
Khudáwand
kí Azíyat ká Itwár
(Palm Sunday, Passion Sunday)
The
commemoration of the Lord’s Entrance into Jerusalem
Masíh Khudáwand
ká Bait al-Muqaddas men dakhil honá
Antiphon: Mt 21:9
Dáúd ke Beṭe kí ho saná Hosha‘ná ká na‘ra gúnje sadá
Allah ke nám se jo áe Rab
kí taraf se wuh barkat páe
Har dam ho Rája kí ham se saná Hosha‘ná
ká na‘ra gúnje sadá
Injíl I Muqaddas kí Tiláwat:
(Marqus)Mark 11.1-10 or (Yúhanná) John 12:12-16
Mass
Dákhilah (Entrance
Antiphon): cf. John12:1. 12-13; Psalm 24:9-10
Páshká kí ‘id se chha din pahle
Khudáwand Yarúshalem men áyá,
aur qaum ke farzand ṭaihníyan laihráte húe
us ke istiqbál ke liye nikale
aur yih kahte húe Khudáwand kí tamjíd karne lage:
Hosha‘ná,
mubárak hai wuh jo apní baṛi shafqat ke sáth hamáre pás á
rahá hai
Ai Pháṭako apne sir baland karo,
ai qadím darwázo únche ho jáo
táki jalál ká bádsháh dákhil ho.
Yih jalál ká bádsháh kaun hai?
Lashkaron ká Khudáwand, wuhí jalál ká bádsháh
hai.
’alam-i-bálá par hosha‘ná
mubárak hai wuh jo apní
baṛi shafqat ke sáth hamáre pás á rahá hai
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Yasa‘iya nabí ká sahífa) Isaiah 50:4-7
Main ne to tauhín se apná munh nahín
chhupáyá. Main jantá hún ki main sharminda na húngá.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
(Jamá‘ati jawáb): Ai mere Khudá, ai
mere Khudá, tú ne mujhe kyún chhoṛ diyá hai?
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká
Khatt Filippíon ke nám) Philippians 2:6-11
Us ne apne áp ko firotan kar diyá, lekin Khudá ne use niháyat baland kiyá
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Na‘rah-e Hamd: (Filippíon) Philippians
2:8-9
Masíh hamárí khátir maut balki salíbí
maut tak farmánbardár rahá
isí wáste Khudá ne use niháyat baland
kiyá
aur use wuh nám bakhshá jo har ek nám se
a‘lá hai.
(Muqaddas Marqus ke mutábiq ) Mark
14:1-15:47
Hamáre Khudáwand Yisú‘ Masíh ke dukhon
ká zikar
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
-----
From The Scared Page:
Mark's Passion Narrative & the Apocalyptic Discourse: Podcast for Passion Sunday click here
No comments:
Post a Comment