Friday 10 August 2012

12th August 2012 Nineteenth Sunday in Ordinary Time

Sál ke daurán uníswán Itwár (B)

khilah (Entrance Antiphon):
 (Zabúr) Cf. Ps 73: 20, 19, 22, 23
Ai Khudáwand apne ‘ahd o paimán ká liház kar
Apne miskín bandon ko hamesha ke liye bhúl na já
Uṭh ai Khudáwand tú apní hí wakálat kar
Apne tálibon kí áwázon ko farámosh na kar

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Mulúk kí pahlí kitáb) 1 Kings 19:4-8
Kháne kí quwwat se wuh chaltá rahá jab tak ki Khudáwand ke paháṛ par na pahuncha.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 33:2-9 Jamá‘ati jawáb áyat: 9
Chakho aur dekho Khudáwand kaisá bhalá hai.

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Ifisíon Ke Nám) Ephesians 4:30-5:2
Mahabbat se chalo jaise Masíh ne ham se mahabbat kí hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: (Yúhanná) Jn 14:23
Hallelujah Hallelujah 
Yisú‘ ne farmáyá agar koí mujhe piyár kartá hai to wuh mere kalám par ‘amal karegá
aur merá Báp bhí use piyár karegá
aur ham us ke pás áenge.
Hallelujah 

Hallelujah: (Yúhanná) Jn 6:51
Hallelujah Hallelujah 
Main wuh zinda roṭí hún jo ásmán se utarí hai
Agar koí is roṭí men se kháe to hamesha tak zinda rahegá
Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke  mutábiq) John 6:41-51
Main wuh zinda roṭí hún jo ásmán se utarí hai
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
 (Zabúr) Ps 147: 12, 14
Ai Yarúshalem, Khudáwand kí hamd kar, wuh tujhe genhún ke maida se ásúda kartá hai.
Or
(Yúhanná) Cf. Jn 6: 51
Khudáwand farmátá hai ki jo roṭí jahán kí zindagí ke liye Mainngá wuh merá gosht hai.
...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment