Sál ke daurán Ikkíswán Itwár (B)
Dákhilah (Entrance
Antiphon):
(Zabúr) cf. Psalm
85: 1- 3
Ai Khudáwand apná kán jhuká aur merí sun.
Ai mere Khudá tere bande ká tawakkul tujh hí par hai. Use
riháí bakhsh de.
Ai Khudáwand, mujh par rahm kar; kyúnki main
din bhar tere pás chillátá rahá.
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Iushua‘ kí kitáb) Joshua 24:1-2.15-18
Ham Khudáwand kí bandagí karenge kyúnki
wuhí hamárá Khudá hai
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Psalm 33:2-3,
16-23 Jamá‘ati jawáb áyat: 9
Chakho aur
dekho Khudáwand kaisá bhalá hai
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Ifisíon Ke Nám) Eph
5:21-32
Yih ek bhed hai Masíh aur kalísiyá kí nisbat
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Hallelujah: (Yúhanná ) John 6:64;69
Hallelujah Hallelujah
Ai Khudáwand terí báten rúh hain aur zindagí
bhí hain
zindagí kí báten to tere hí pás hain.
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq) John 6:60-69
Ai Khudáwand
kis ke pás jáen hamesha kí zindagí kí báten to tere hí
pás hain.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Ps 103:
13-15
Ai Khudáwand terí san‘aton ke samar se zamín
ásúda hogí
táki tú zamín se roṭí nikále
aur mai insán ke dil ko khush kare.
Or
(Yúhanná ) John 6:55
Khudáwand farmátá
hai ki jo merá gosht khátá aur merá khún pítá hai
wuh hamesha kí zindagí rakhtá hai,
aur main use yaum-i akhar men phir zinda karúngá.
...
Podcasts:
For
Sermon by Fr. Robert Barron click here
For
reflection by Dr. Scott Hahn click here
For
commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page
click here
Some
great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite
at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment