Saturday 4 August 2012

5th August, 2012 - Eighteenth Sunday in Ordinary Time B


Sál ke daurán aṭhárahwán Itwár (B)

khilah (Entrance Antiphon):
 (Zabúr) Psalm 69: 2, 6
Ai Khudá, karm kar ke mujhe bachá le.
Ai Khudáwand jald merí madad kar,
tú hí merá parwardigár, aur merá bacháne wálá hai.
Ai Khudáwand der na kar.

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Khurúj kí kitáb) Exodus 16:2-4,12-15
Main tumháre liye ásmán se roṭí barsáun

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 77:3-4,23-25,54 Jamá‘ati jawáb áyat: 24
Khudá ne un ko ásmán se roṭí dí.

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Ifisíon Ke Nám) Ephesians 4:17,20-24
Nayí insáníyat ko pahin lo jo Khudá ke mutábiq paidá kí gayí hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: (Yúhanná) Jn14:6
Hallelujah Hallelujah 
Khudáwand farmátá hai Ráh, aur Haqq, aur Zindagí mainn
mere wasíle ke baghair Báp ke pás koí nahín á saktá.
Hallelujah 
Or
Hallelujah: (Matí) Mt4:4
Hallelujah Hallelujah 
Insán sirf roṭí hí se nahín jítá
balki har ek Kalme se jo Khudá ke munh se nikaltá hai.
Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq) John 6:24-35
Wuh jo mere pás átá hai hargiz bhúká na hogá, wuh jo mujh par ímán látá hai kabhí piyásá na hogá.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Hikmat) Wisdom 16:20
Ai Khudáwand tú ne hamen ásmán se taiyár kardah aisí roṭí bakhshí jis men har tarah kí lazzat aur har záiqa kí shiríni hai.
Or
(Yúhanná ) John 6:35
Khudáwand farmátá hai ki main zindagí kí roṭí hún, jo mere pás áe wuh hargiz bhúká na hogá, aur jo mujh par ímán láe wuh kabhí piyásá na hogá.
...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment