Monday 13 August 2012

The Magnificat


The Magnificat also known as the Canticle of Mary is taken directly from the Gospel of Luke 1:46-55. This Canticle forms a part of the daily office in the Catholic Vespers service, the Lutheran Vespers service, and the Anglican services of Evening Prayer.

A good Meditation and Catechesis on the Magnificat by Blessed John Paul II can be found here


Kunwárí Mariyam Ká Tarána (The Magnificat)
(Lúqá) Luke 1:46-55

Merí ján Khudáwand kí baṛáí kartí hai,
aur merí rúh mere naját denewále Khudá se khush húí;
Kyúnki us ne apní bandí kí pasthálí par nazar kí:
Is liye dekh ab se lekar har zamáne ke log mujhe mubárak kahenge.

Kyúnki Al-Qádir ne mere liye  baṛe baṛe kám kiye hain,
Aur us ká nám Quddús hai.
Aur us kí rahmat un par jo us se darte hain
Pusht dar pusht rahtí hai.

Us ne apne bázú se zor dikháyá;
Aur unhen jo dil ke qiyás se maghrúr hain paráganda kar diyá
Us ne qudrat wálon ko takht se girá diyá,
Aur pasthálon ko buland kiyá.

Us ne bhúkon ko achchhí chízon se ser kar diyá,
Aur daulatmandon ko khálí háth lauṭá diyá.

Us ne apne bande Isráíl kí dastgíri kí,
Táki apní us rahmat ko yád farmáe,
Jo Ibráhím aur us kí nasl par abad tak rahegí
Jaisá us ne hamáre bápdádá se kah diyá thá
---
To download pdf click here

No comments:

Post a Comment