St. Stephen, the first Martyr, Feast on 26 December
Muqaddas Shahid-i Awwal Istifanus
kí ‘Íd
Un dinon
men Istifanus, fazl aur quwwat se ma‘múr ho kar, logon men
baṛe baṛe mu‘jaze aur karishmay
dikháyá kartá thá tab us ‘ibádatkháne se jo Ahrár ká kahlátá
hai, aur Qurenion aur Iskandarion aur un men se jo Kilikiya
aur Ásiya se the, ba‘z uṭhkar Istifanus se bahs karne lage. Wuh na to us hikmat
ká aur na rúh hí ká muqábala kar sake jis se wuh kalám kartá thá.
Wuh yih báten
sunte hí apne dilon men jal gaye. aur us par dánt písne
lage. Magar us ne Rúhu’l Quds se ma‘múr ho kar, ásmán kí taraf gaur se nazar
kí, aur Khudá ká jalál, aur Yisú‘ ko Khudá ke dahine háth khaṛe húe
dekhá
Aur kahá dekho: “main ásmán ko khulá, aur Ibn i Insan ko Khudá ke dahine háth
khaṛá dekhta hún.” Is par unhon ne baṛe zor se chillákar apne
kán band kar liye, aur ek dil hokar us par lapke aur shahr se báhar nikálkar
use sangsár karne lage : aur gawáhon ne apne kapṛe Sháúl námi
ek nujawán ke panwon ke pás rakh diye. Pas jab wuh Istifanus ko sangsár
kar rahe the to us ne du‘á karke kahá ki “Ai Khudáwand Yisú‘, merí rúh
ko qubúl kar.”
(Rasúlon ke A‘mál) Acts 6:8-10,7:54-59
No comments:
Post a Comment