Wednesday 21 December 2011

Khudáwand Masíh Kí Paidáish Kí ‘Íd (Christmas Day Mass of the Nativity)


At Mass During Day


25th December – Hamáre Khudáwand Kí Wiládat
Din Kí Eukharistí ‘Ibádat

khilah (Entrance Antiphon): cf. Yasa‘iya 9:6 (cf. Is 9:6)
Hamáre liye ek laṛká paidá húá, ham ko ek beṭá ‘attá kiyá gayá. Us kí hakúmat us ke kandhe par hai aur us ká nám ye hai ya‘ni ‘Ajíb mashure  ká payám-bar 

Reading
Pahlí Tiláwat:
Yasa‘iya nabí ka sahífa: 52:7-10  (Isaiah 52:7-10)
Zamín kí tamám haddud hamáre Khudá kí Naját dekhen

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: 97:1-6 Jamá‘ati jawáb áyat: 3 (Psalm 97:1-6)
(Jamá‘ati jawáb) Zamín kí tamám haddud ne hamáre Khudá kí Naját dekhí hai

Dusrí Tiláwat:
‘Ibráníon 1:1-6 (Hebrews 1:1-6)
Khudá ne beṭe kí ma‘rifat kalám kiyá
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Yúhanná ke mutábiq 1:1-18 (John 1:1-18)
Kalma mutajassad húá aur hamáre darmiyán rahá
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):cf.  Zabúr  97:3 (Ps 98:3)
Zamín kí tamám haddon ne hamáre Khudá kí Naját dekhí hai.

No comments:

Post a Comment