Friday 30 December 2011

The Holy Family


Celebrating the Feast of The Holy Family is a reminder for us to look and reflect on our own families. Living out a Christian family life is a powerful witness to the world of God’s love for us revealed in Christ. The Holy Family of Nazareth is the model for all families.

Pák Khándán kí ‘Íd A,B,C


A
khilah (Entrance Antiphon): Luke 2:16
Charwáhon ne jaldí se jákar Mariyam aur Yúsuf ko aur us nanhe bachche ko charní men pará páyá

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Parwardigár Khudá
Terí taraf se Pák Khándán hamare liye ek bahut piyárá namúna baná hai
Apne karam se bakhsh de
Ki ham is Khándán kí gharelu nekíon aur báhmí mahabbat kí taqlíd karte húe
Shádmání ke sáth tere hí ghar men abdí in‘ám ká lutf uṭháen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
 Rúhu’l Quds  kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha zinda rahtá aur sultanat kartá hain. Ámín.

Readings

Pahlí Tiláwat:
Yisú‘ bin Sirákh 3:2-6, 12-16 (Ecclesiasticus 3:2-6. 12-14)
Jo koí Khudáwand se dartá hai. Wuh apne man báp kí ‘izzat kartá hai
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: 127: 1-5 Jamá‘ati jawáb áyat: 1 (Psalm 127:1-5)
(Jamá‘ati jawáb)  Mubárak hain wuh jo Khudáwand se darte hain, aur us kí ráhon par chalte hain.

Dusrí Tiláwat:
Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Kulussíon Ke Nám 3:12-21 (Colossians 3:12-21)
Khándáni zindagí….Khudá men
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Matí ke mutábiq) Matthew  2:13-15, 19-23
Bachche aur us kí mán ko sáth lekar Misr ko bhág já 
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham kaffáre kí qurbání tere hazúr guzránte húe
tujh se minnat karte hain
Ki Khudá kí Kunwarí Mán aur Muqaddas Yúsuf kí sifárishon kí badaulat tú hamáre gharánon ko apne fazl aur salámatí men hamesha qáim rakh.
Masíh hamáre Khudáwand ke wásile se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Bárúk 3:38 (Baruch 3:38)

Hamará Khudá zamín par nazar áyá aur ádam-zád ke darmiyán chalá phirá

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai niháyat mihrbán Báp
Tú hamen apní ásmání chízen bakhsh kar rúhání sihhat ‘atá kartá hai
Yih bhí ‘ináyat farmá ki ham
Har waqt Pák Khándán ká namúna apní nigáhon ke áge rakhte húe
Ún tínon Mubárak hastíon kí pairawí karke
Is duniyá kí musíbaten sabr ke sáth ss ke ba‘d
In hí kí dáimí rifáqat kí shádmání hásil karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wásile se. Ámín.

B
khilah (Entrance Antiphon): Luke 2:16
Charwáhon ne jaldí se jákar Mariyam aur Yúsuf ko aur us nanhe bachche ko charní men pará páyá

Pahlí Tiláwat:
Takwin 15:1-6; 21:1-3
Terá wáris tere sulb se paidá hogá

Zabúr 104: 1-6. 8-9. Jamá‘ati jawáb áyat: vv.7.8  (Psalm 104:1-6,8-9)
Wuhi Khudáwand hamará Khudá hai
wuh abd tak apne ‘ahd ko yád rakhtá hai

Dusrí Tiláwat:
(‘Ibráníon) Hebrews 11:8. 11-12. 17-19
Ibráhím, Sáráh, Izháq ká Ímán
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 2:22-40
Bachcha baṛhtá aur mazbút hotá gayá aut hikmat se ma‘múr thá
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Bárúk 3:38 (Baruch 3:38)
Hamará Khudá zamín par nazar áyá aur ádam-zád ke darmiyán chalá phirá

C
khilah (Entrance Antiphon): Luke 2:16
Charwáhon ne jaldí se jákar Mariyam aur Yúsuf ko aur us nanhe bachche ko charní men pará páyá

Pahlí Tiláwat:
1 Samúel 1:20-22. 24-28 (1 Samuel 1:20-22. 24-28)

Zabúr 83: 2-3. 5-6. 9-10. Jamá‘ati jawáb áyat: 5
Ai Khudáwand mubárak hain jo tere ghar men rahte hain

Dusrí Tiláwat:
1Yúhanná 3:1-2. 21-24 (1John 3:1-2. 21-24)
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Lúqá ke mutábiq  2:41-52 (Luke 2:41-52) 
Yisú‘ ke mán báp ne use ustádon ke darmiyán baiṭhá páyá
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Bárúk 3:38 (Baruch 3:38)
Hamará Khudá zamín par nazar áyá aur ádam-zád ke darmiyán chalá phirá


--------------------------

For a good reflection see The Holy Family: Model for the Modern World by Fr. John A. Hardon, S.J.



No comments:

Post a Comment