December 27, The Feast of St. John the Apostle, Evangelist
John, the son of Zebedee and brother of James (Matt. 4:21-22; Mark 1:19-20; Luke 5:10-11). John was one of the Twelve Apostle (Matt. 10:2; Mark 3:17; Luke 6:14; Acts 1:13).
Muqaddas Yúhanná Injil Navís ki ‘Íd
(Muqaddas Yúhanná Rasúl ká pahlá khatt)
1 John1:1-14
Ai mere bachcho,
Zindagí ke
Kalám kí bábat, jo shurú‘ se thá,
jise ham ne
suná,
jise ham ne apní ankhon se dekhá,
jis par ham ne gaur se nazar kí ,
aur jise hamáre háthon ne chhúá ;
(kyúnki
zindagí záhir húí,
aur ham ne use
dekhá,
aur ham gawáhí
dete hain,
aur tumhe us hamesha
kí zindagí kí khabar dete hain
jo Báp ke pás
thí aur ham par záhir húí.)
jo kuchh ham ne
dekhá aur suná
us kí khabar
tumhen dete hain,
táki tum bhí
hamáre sath rafáqat rakho
aur hamarí rafáqat
Báp ke sáth,
aur us ke Bet́e
Yisú‘ Masíh ke sáth hai
Aur ham yih báten
is wáste likhte hain ki hamárí khushi kámíl ho jáe.
Pák kalám ke paṛhe
aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá
ká shukr ho
No comments:
Post a Comment