Páshká ká Chauthá Itwár
Dákhilah (Entrance Antiphon): Cf.
(Zabúr) Ps 32: 5-6
Zamín Khudá kí shafaqat se ma‘múr hai.
Ásmán Khudá ke kalme se banáyá
gayá.
Hallelujah
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Rasúlon ke A‘mál) Acts 4:8-12
Yihí ek nám hai jis ke wasíle se ham naját pá sakte hain.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá
ká shukr ho.
Zabúr : Psalm 117:1, 8-9, 21-23, 26, 28-29 Jamá‘ati jawáb áyat: 22
Jamá‘ati jawáb:
Jo patthar mi‘máron ne radd kiyá wuhí kone ká sirá ho
gayá
or
Hallelujah!
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Yúhanná Rasúl Ká Pahlá Khatt) 1 John 3:1-2
Ham Khudá ko waisá hí dekhenge, jaisá wuh hai.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Hallelujah: cf. (Yúhanná)
Jn10:14
Hallelujah, Hallelujah,
Khudáwand
farmátá hai: Achchhá charwáhá main hún,
Main apní bheṛon ko jántá hún, aur wuh
mujhe jántí hain
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq ) John 10:11-18
Achchhá charwáhá apní bheṛon ke liye apní ján detá
hai
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Pák Sharákat kí áyat (Communion
Antiphon):
Nek chaupán apní bheṛon kí khátir ján de kar
aur apne gale ke liye maut sah kar
murdon men se zinda húá
------
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here
For Commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page here
More Resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment