Páshká ká Tísrá Itwár
Dákhilah (Entrance Antiphon): (Zabúr)
Ps 66:1-2
Ai kull mulko! Khudá ke liye Khushí ka na‘ra máro.
Us ke nám ke jalál ká gít gáo,
hamd karte húe us kí ta‘ríf karo.
Hallelujah
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Rasúlon ke A‘mál) Acts 3:13-15, 17-19
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá
ká shukr ho.
Zabúr : Psalm 4:2,4, 7,9.
Jamá‘ati jawáb áyat:7
Jamá‘ati jawáb:
Ai Khudáwand apne chihre ká núr ham par jalwagar farmá
or
Hallelujah, Hallelujah, Hallelujah
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Yúhanná Rasúl Ká Pahlá Khatt) 1John 2:1-5
Wuh hamáre hí gunáhon ká kaffára hai, faqat hamáre
gunáhon ká nahín balki tamám duniyá ke gunáhon ká
bhí
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Hallelujah: cf. (Lúqá)
Luke 24:32
Hallelujah, Hallelujah,
Ai Khudáwand Yisú‘. Jab tú ham se báten kare, to
ham par nawishton ko munkashif
kar. Hamáre dilon ko purjosh baná .
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq ) Luke 24:35-48
Yún likhá hai ki Al-Masíh dukh uṭháegá aur tísre din
murdon men se jí ut́hegá
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Pák Sharákat kí áyat (Communion
Antiphon):( Lúqá) Luke 24:35
Shágirdon ne Khudáwand Yisú‘ ko roṭí ke waqt
pahcháná. Hallelujah
Yr B ( Lúqá) Luke 24:46-47
Zarúr thá ki Masíh dukh uṭháe aur tísre din murdon se
jí ut́he.
Aur ki usí ke nám se sab qaumon men gunáhon
kí mu‘áfí ke liye tauba kí manádí kí jáe. Hallelujah
------
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here
More Resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp blog here
No comments:
Post a Comment