Friday 1 February 2013

3rd February 2013, 4th Sunday in Ordinary Time C



Sál ke daurán chauthá Itwár C

khilah (Entrance Antiphon):
(Zabúr) Psalm 105:47
Ai Khudáwand hamáre Khudá ham ko bachá
qaumon men se ham ko faráham kar
táki ham tere pák nám ká shukr ádá karen
aur terí hamd o saná par fakhr karen

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Khudáwand hamáre Khudá
‘ináyat kar ki ham dil o ján se terí ‘ibádat karen
Aur sab ádamíon se wájib muhabbat rakhen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Readings
Pahlí Tiláwat: (Irmiyá nabí ká sahífa) Jeremiah 1:4-5, 17-19
Main ne tujhe qaumon ká nabí ṭhahráyá hai

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 70:1-6, 15 17 Jamá‘ati jawáb áyat: 15
(Jamá‘ati jawáb): Merá munh terí naját ká bayán karen

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurinthíon Ke Nám) 1Corinthians 12:31-13:31
Tín chízen qáim rahti hain, ímán, ummed aur mahabbat aur in tínon men  afzal mahabbat hai.

Pák Kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: (Yúhanná) John 14:6
Hallelujah Hallelujah 
Ráh, aur Haqq, aur Zindagí Main hún;
Mere wasíle ke bag̣hair Báp ke pás koí nahín á saktá
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Lúqá ke mutábiq (Luke 4:21-30)
Iliyás aur Ilísha kí mánind Yisú‘ sirf Yahúdíon ke liye nahín bhejá gayá

Ek din Yisú‘ ‘ibádat-kháne men logon se kahne lagá, ki áj yih nawishta tumháre kánon men púrá ho kar pahunchá. Aur sab ne us par gawáhí dí, aur shafqat kí un báton par jo us ke munh se nikaltí thín, ta‘ajjub karke kahne lage; kyá yih Yúsuf ká beṭá nahín? Us ne un se kahá; ki tum be-shakk yih masal mujh par kahoge, ai tabíb tú apná iláj kar: jo kuchh ham ne suná hai, ki tú ne Kafarnahúm men kiyá yahán apne watan men bhí kar. Aur us ne kahá; Main tum se sach kahtá hún, ki koí nabí apne watan men maqbúl nahín hotá.

Lekin main tum se sach kahtá hún ki jab Iliyás ke dinon men tín baras chha mahíne tak ásmán band rahá, yahán tak tamám mulk men sakht kál paṛá, to bahut sí bewáen Isráíl men thín; magar Iliyás siwáe Saídon ke Zárafat kí ek bewa ‘aurat ke, un men kisí ke pás bhejá na gayá. Aur Ilísha nabí ke waqt, Isráíl men bahut se koṛhí the, lekin un men se koí pák sáf na kiyá gayá, siwáe Na‘mán Súriyání ke. Aur jitne ‘ibádat-kháne men the, sab un báton ko sunte hí gusse se bhar gaye; aur uṭh kar use shahr se báhar nikálá, aur use us paháṛ kí choṭí par le gaye, jis par un ká shahr baná húá thá, táki use sir ke bal girá den. Lekin wuh un ke bích men se guzar kar chalá gayá.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham apní ‘ibádat guzárí ke nazráne tere altár par láte hain
Tú mihrbání se inhen qabúl farmá
Aur hamárí naját ke muassir zari‘e baná
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Zabúr) cf. Psalm 30:17-18
Apne khádim par apná chihra jalwagar farmá
apní shafaqat ke mutábiq mujhe bachá le
Ai Khudáwand mujhe sharminda na hone de kyúnki main ne tujhe pukárá hai.
Or
(Matí) Matthew 5:3-4
Mubárak hain wuh jo Rúh ke garíb hain.
Kyúnki ásmán kí bádsháhí unhí kí hai
Mubárak hain wuh jo halím hain
kyúnki wuh zamín ke wáris honge.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á 
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham naját ke is tohfah se tázah dam húe hain
Hamárí yih du‘á hai dáimí naját ká yih wasíla
Hamárá sachchá ímán mazbút kartá rahe
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
 ...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here 

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment