Friday 8 February 2013

10th February 2013, 5th Sunday in Ordinary Time C



Sál ke daurán pánchwán Itwár C

khilah (Entrance Antiphon):
(Zabúr) Psalm 94:6-7
Aʹo ham Khudá ko sijda karen
aur apne Khudáwand ke áge ghúṭne ṭeken,
Usí ne hamen banáyá hai,
wuhí hamárá Khudáwand hai

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Apní Kalísiyá ke farzandon par tawajjuh kar
Aur lagátár shafqat kar ke un kí hifázat kar
Tere ásmání fazl kí madad par
Hamárá púrá bharosá hai
‘ináyat kar ham khabí terí himáyat se mahrúm na rahen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Isha‘yá nabí ká sahífa) Isaiah 6:1-8
Dekh men házir hún, mujhe bhej.

Pák Kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 135:1-5, 7-8 Jamá‘ati jawáb áyat: 8
(Jamá‘ati jawáb): Ai Khudáwand, firishton ke sámne main terí madh-saráí karún

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurinthíon Ke Nám) 1 Corinthians 15:1-11
Main wuhí munádí kartá hún jo wuh karte hain aur isí par tum ímán bhí láe ho

Pák Kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: (Yúhanná) Jn 15:15
Hallelujah Hallelujah 
Khudáwand farmátá hai main tumhen dost kahtá hún
kyúnki jo báten main ne apne Báp se suní hain
wuh sab tumhebatá dí hain
Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 5:1-11
Wuh sab kuchh chhoṛ kar us ke píchhe ho liye

Ek din Yisú‘ jab Gannásarat  kí jhíl ke kináre khaṛá thá aur  hujúm Khudá ká kalám sunne ke liye us par gire paṛte the, to aisá húá ki us ne jhíl ke kináre do kishtíán lagí dekhín, lekin máhígír un se utar kar jál dho rahe the. Us ne un men se us kishtí par chaṛh kar jo Shama‘ún kí thí, us se darkhwást kí, ki kináre se zará haṭá le chal. Aur wuh baiṭh kar hujúm ko kishtí par se ta‘lím dene lagá. Aur jab kalám kar chuká to Shama‘ún se kahá ki gahre men le chal aur tum shikár ke liye apne jál ḍálo. Shama‘ún ne jawáb men kahá ki ai ustád ham ne sárí rát mihnat kí magar kuchh hásil na húá. Lekin tere kahne se jál ḍálúngá, aur jab unhon ne yih kiyá to machhliyon ká baṛá g̣hol gher liyá, aur un ke jál phaṭne lage, tab unhon ne apne shuraká ko jo dúsrí kishtí par the, ishára kiyá, ki Áo hamárí madad karo. Wuh áe aur donon kishtíán aisí bhar dín ki ḍúbne lagín. Shama‘ún Patras ne yih dekh kar Yisú‘ ke pánwon par gir kar kahá, ki ai Khudáwand mere pás se chalá já, is liye ki main gunahgár ádmí hún. Kyúnki is máhígírí ke sabab jo unhon ne kí thí wuh aur us ke sab sáthí niháyat hairán húe. Aur waise hí Zabdí ke beṭe Ya‘qúb aur Yúhanná bhí jo Shama‘ún ke sharík the, tab Yisú‘ ne Shama‘ún se kahá mat ḍar is waqt se tú ádamgírí karegá. Wuh kishtíon ko kanáre par le áe, aur sab kuchh chhoṛ kar us ke píchhe ho liye.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Tú ne ham kamzoron ke saháre ke liye
Kháss chizen ya‘ní yih roṭí aur mai muhaiyá kí hain
‘ináyat kar ki hamárí hamesha kí zindagí ke bhí
Pák wasíle sábit hon
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Zabúr) cf. Psalm 106:8-9
Sab Khudáwand kí shafaqat ke liye aur un ‘ajíb kámon ke liye jo us ne baní Aʹdam kí khátir kiye hai, us kí shukrguzárí adá karen. Kyúnki us ne tarastí ján ko ser kiya aur bhúkí ján ko achchhí chízon se ásúda kiyá 
Or
(Matí) Matthew 5:5-6
Mubárak hain wuh jo gamgín hain.
Kyúnki wuh tasallí páenge
Mubárak hain wuh jo rástí ke bhúke aur piyáse hain kyúnki wuh ásúda honge.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á 
Ai Khudáwand Khudá-e karím
Tú ne cháhá ki ham sab ek hí roṭí
Aur ek piyále men sharík hon
‘ináyat kar ki ham aisí zindagí basar karen
Ki Masíh men ek ho kar shádmání ke sáth
Duniyá kí naját ke liye kasrat se phal láen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment