Sál ke daurán satrahwán Itwár (B)
Dákhilah (Entrance
Antiphon):
(Zabúr) Cf. Psalm
67: 6-7, 36
Khudá jo apne
pák maskan men rahtá hai
ya‘ní wuh Khudá jo bekason ko ghar men basátá hai
wuhí apne logon ko quwat aur táqat bakhshegá.
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Dúsrá Mulúk) 2 Kings 4:42-44
Wuh kháenge aur un se bach bhí jáegá
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Psalm
144:10-11, 15-18 Jamá‘ati jawáb áyat: 16
Ai Khudáwand tú apne háth kholtá hai,
aur hamarí khwáhishen purí kartá hai.
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Ifisíon Ke Nám) Ephesians
4:1-6
Ek badan, ek Khudáwand, ek ímán, ek baptisma
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Hallelujah: cf. (Yúhanná) John 6:63, 68
Hallelujah Hallelujah
Ai Khudáwand
terí báten rúh hain
Aur
zindagí bhí hain:
hamesha
kí zindagí kí báten to tere hí pás hain.
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq) John 6:1-15
Yisú‘ ne wuh
roṭíyán lín aur uhen jo baiṭhe the jis qadr wuh
cháhte the bánṭ dín
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Pák Sharákat kí
áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Ps 102:
2
Ai merí ján Khudáwand ko mubárak kah
aur us ke kisí ihsán ko farámosh na kar.
Or
(Matí) Mt 5: 7-8
Mubárak hain wuh jo rahmdil hain un par rahm kiyá
jáegá.
Mubárak hain wuh jo pákdil hain wuh Khudá
ko dekhenge.
....
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here
For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the
Sacred Page click here
Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary
Forms of the Rite at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment