Sál ke daurán pandarahwán Itwár (B)
Dákhilah (Entrance
Antiphon):
(Zabúr) Cf.
Ps 16:15
Main sadáqat men terá dídár hásil karúngá
aur jágte húe tere hazúr ser húngá.
Readings
Pahlí Tiláwat:
(‘Ámús nabí kí kitáb) Amos 7:12-15
Já aur merí ummat ke liye nubuwwat kar
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Psalm 84:9-14 Jamá‘ati
jawáb áyat: 8
Ai Khudáwand apní shafaqat hamen dikhá
aur apní naját hamen bakhsh
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Ifisíon Ke Nám) Ephesians
1:3-14
Khudá ne biná e ‘álam se peshtar hamen chun liyá.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Hallelujah: cf. (Yúhanná) John 6:63, 68
Hallelujah Hallelujah
Ai Khudáwand terí báten rúh hain
Aur zindagí bhí hain:
hamesha kí zindagí kí báten to tere hí pás hain.
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke mutábiq) Mark 6:7-13
Yisú‘ ne shágirdon
ko báhir bhejná shurú‘ kiyá.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Pák Sharákat kí
áyat (Communion Antiphon):
cf: (Zabur) Psalm: 83:4-5)
cf: (Zabur) Psalm: 83:4-5)
Chiṛiyá ko bhí ṭhikána miltá hai
aur abábíl ko ghonslá jahán apne bachchon
ko rakkhe
yani tere mazbahon ke pás ai Rabb u’l afwáj, ai mere bádsháh
aur ai mere Khudá
mubárak hain wuh jo tere ghar men rahte hain
wuh to hamesha terí sitáish karte hain.
Or
(Yúhanná ) John 6: 57
Khudáwand
farmátá hai ki jo merá gosht khátá aur merá khún pítá hai,
wuh mujh men qáim rahtá hai, aur main us men.
----
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here
For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the
Sacred Page click here
Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary
Forms of the Rite at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment