Friday 7 June 2013

9 June 2013, 10th Sunday in Ordinary Time C


Sál Ke Daurán Daswán Itwár (C)

khilah (Entrance Antiphon): cf. (Zabúr) Psalm 26:1-2
Khudáwand merá núr aur merí naját hai. Mujhe kis ká ḍar hai?
Khudáwand merí zindagí ká hámí hai. Mujhe kis kí haibat hai?
Mere dushman mujh par chaṛh áte hain, to wuh ṭhokar kháte aur gir játe hain.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai hamárí parwarish karne wále Khudáe karím
Sab achhí chízen tujh hí se átí hain
Ham minnat karne wálon ko apní faiyyází se yih bakhsh de
Ki ham un báton kí fikr men rahen jo durst aur rást hain
Aur terí hadáyat se in par ‘amal bhí karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Mulúk kí pahlí kitáb) 1 Kings 17:17-24
Dekh terá beṭá zinda hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 29:2, 4-6, 11-13 Jamá‘ati jawáb áyat: 2
Jamá‘ati jawáb: Khudáwand terí ta‘ríf karúngá, tú ne mujhe chhuṛáyá hai.

Dusrí Tiláwat: (Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Galátíon ke nám) Galatians 1:11-19
Khudá ne apne Beṭe ko mujh men záhir kiyá, táki main us kí Injíl g̣hair qaumon ko sunáún.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

(Gospel Acclamation):
Hallelujah: cf. (Ifisíon) Ephesians 1:17, 18
Hallelujah, Hallelujah
Hamáre Khudáwand Yisú‘ Masíh ká Báp
Hamáre dil kí ánkhen raushan kare
Táki ham samajh len ki us ke buláwe kí hamen kyá ummed hai
Hallelujah
Hallelujah: (Lúqá) Luke 7:16
Hallelujah, Hallelujah
Ek baṛá nabí ham men barpá húá hai,
Khudá ne apní ummat par nazar kí hai
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 7:11-17
Ai naujawán, main tujh se kahtá hún, uṭh.

Aur is ke ba‘d wuh ek shahr ko gayá jo Náín kahlátá hai, aur us ke shágird aur baṛá hujúm us ke sáth thá. Jab wuh us shahr ke pháṭak ke nazdík pahunchá, to dekho, ki ek murda báhar le jáyá já rahá thá jo apní mán ká iklautá beṭá thá, aur wuh bewa thí; aur shahr ke bahut log us ke sáth the. Use dekh kar Khudáwand ko tars áyá aur us se kahá: Na ro. Aur pás á kar janáza ko chhúá, aur uṭhánewále ṭhahir gaye. Tab us ne kahá: Ai naujawán main tujh se kahtá hún Uṭh. Aur wuh murda uṭh baiṭhá, aur bolne lagá. Aur us ne use us kí mán ko saunp diyá.
Tab sab par khauf chhá gayá, aur Khudá kí tamjíd kar ke kahne lage, ki ek baṛá nabí ham men barpá húá hai, aur ki Khudá ne apní ummat par nazar kí hai. Aur us kí bábat yih khabar sáre Yahúdiya aur tamám ás pás ke ‘iláqah men phail gayí.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Apne karam se ham ‘ájizonkhidmat par nazar kar
Ki ham kamzoron ká yih nazrána
Tujhe maqbúl aur hamáre liye saháre ká bá‘is ho
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Zabúr) Psalm 17:3
Ai Khudáwand, tú merí chaṭán hai jahán main panáh letá hún
Ai mere Khudá tú mujhe khalásí dene wálá hai, jo merí madad kartá hai.
(1Yúhanná) 1 John 4:16
Khudá muhabbat hai aur jo muhabbat men qáim rahtá hai, aur Khudá us men rahtá hai.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Shifá bakhshná terá kám hai
Pas apní shafqat se
Hamen burí kháhishon se bachá
Aur hamárí ráhbarí kar ke
Hamen neko kárí kí taraf le já
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment