Friday 21 June 2013

23 June 2013, 12th Sunday in Ordinary Time C

Sál Ke Daurán Bárhwán Itwár (C)

khilah (Entrance Antiphon):
 (Zabúr) Cf. Psalm 27:8-9
Khudáwand apní ummat kí quwwat hai,
Wuh mamsúh ke liye naját ká qil‘a hai.
Ai Khudáwand apní ummat ko naját de, aur apní mírás ko barkat de.
Un kí pásbání kar aur hamesha tak un ko sambhále rah.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Jinhen tú apní páedár muhabbat men qáim rakhtá hai
Tú inhen apní hidáyat aur ráhbarí se
Hargiz mahrúm na rahne de gá
Pas ‘ináyat kar ki ham hamesha tere pák nám ko ‘izzat den
Aur use ‘azíz jánen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Readings
Pahlí Tiláwat: (Zakariyáh nabí kí kitáb) Zechariah 12:10-11; 13:1
Wuh us par nazar karenge, jise unhon ne chhedá hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 62:2-6, 8-9 Jamá‘ati jawáb áyat: 2
Jamá‘ati jawáb: Ai Khudáwand mere Khudá, merí ján terí piyásí hai.

Dusrí Tiláwat: (Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Galátíon ke nám) Galatians 3:26-29
Ham sab ne Masíh men istibág̣h pá kar Masíh ko pahin liyá hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

(Gospel Acclamation):
Hallelujah: (Yúhanná) Jn 8:12
Hallelujah Hallelujah 
Khudá farmátá hai, duniyá ká núr mainn,
jo koí merí pairawí karegá,
zindagí ká núr páegá.
Hallelujah
Hallelujah: (Yúhanná) Jn 10:27
Hallelujah Hallelujah 
Khudá farmátá hai, merí bheṛen merí áwáz suntí hain,
Main unhen jántá hún
Aur wuh mere píchhe píchhe átí hain
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 9:18-24
Khudá ká Masíh hai. Zarúr hai, ki Ibn i Insán bahut dukh sahe.

Ek din jab Yisú‘ tanháí men du‘á kar rahá thá, to shágird us ke sáth the, aur us ne un se púchhá, ki log kyá kahte hain ki main kaun hún? Unhon ne jawáb men kahá, ki Yúhanná istibág̣hí, aur ba‘z Ilyás, aur ki ba‘z yih ki aglon men se koí nabí uṭhá hai. Tab us ne un se kahá, magar tum kyá kahte ho ki main kaun hún? Shama‘ún Patras ne jawáb men kahá, ki Khudá ká Masíh. Us ne unse tákíd se hukm diyá, ki yih kisí se na kahná.
   Aur kahá: Zarúr hai, ki Ibn i Insán bahut dukh sahe aur buzurgon aur sardár káhinon aur faqíhon se radd kiyá jáe, aur qatl kiyá jáe, aur tísre din jí uṭhe.
   Phir us ne sab se kahá, ki agar koí merá pairau banná cháhe, to khúd inkárí kare, aur har roz apní salíb uṭháe, aur mere píchhe ho le. Kyúnki jo koí apní ján bacháná cháhe, wuh use khoegá, magar jo koí merí khátir apní ján khoe, wuh use bacháegá.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Kaffáre aur hamd kí yih qurbání qabúl farmá
‘ináyat kar ki ham is ke asar se pákízagí hasil kar ke
Apne dilon kí pasandídah muhabbat terí nazr karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Zabúr) Psalm 144:15
Ai Khudáwand, sab ánkhen terí muntazir hain,
Tú in ko waqt par g̣hizá detá hai.
(Yúhanná) John 10:11, 15
Khudáwand farmátá hai ki, achchhá charwáhá mainn,
main bheṛon ke liye apní ján detá hún

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai mihrbán Khudáwand Khudá
Ham tere piyáre Beṭe ke pák badan aur khún kí quwwat se
Naye ban kar
Tujh se yih iltijá karte hain
Ki is pák ‘ibádat men
Hamárí ‘aqídat mandí se shirkat
Hamárí yaqíní naját ká bá‘is ho
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment