Friday, 28 December 2012

Sunday, 30th Dec 2012, The Holy Family C


Pák Khándán kí ‘Íd (Year C)


khilah (Entrance Antiphon): Luke 2:16
Charwáhon ne jaldí se já kar
Mariyam aur Yúsuf ko aur us nanhe bachche ko charní men pará páyá

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Parwardigár Khudá
Terí taraf se Pák Khándán hamáre liye ek bahut piyárá namúna baná hai
Apne karam se bakhsh de
Ki ham is Khándán kí gharelu nekíon aur báhmí mahabbat kí taqlíd karte húe
Shádmání ke sáth tere hí ghar men abdí in‘ám ká lutf uṭháen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
 Rúhu’l Quds  kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha zinda rahtá aur sultanat kartá hain. Ámín.

Readings
Pahlí Tiláwat:
Yisú‘ bin Sirákh 3:2-6, 12-16 (Ecclesiasticus 3:2-6. 12-14)
Jo koí Khudáwand se dartá hai, wuh apne man báp kí ‘izzat kartá hai
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: 127: 1-5 Jamá‘ati jawáb áyat: 1 (Psalm 127:1-5)
(Jamá‘ati jawáb) 
Mubárak hain wuh jo Khudáwand se darte hain,
aur us kí ráhon par chalte hain.

Dusrí Tiláwat:
Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Kulussíon Ke Nám 3:12-21 (Colossians 3:12-21)
Khándáni zindagí….Khudá men
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Hallelujah: cf. (A‘mál) Acts 16:14
Hallelujah Hallelujah
Ai Khudáwand hamáre dil khol
ki tere Beṭe kí báton ko qabúl karen.
Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 2:41-52
Yisú‘ ke mán báp ne use ustádon ke darmiyán baiṭhá páyá

Yisú‘ ke wálidain har sál ‘Íd i Fasah par Yarúshalem ko jáyá karte the.
Aur jab wuh bárah baras ká ho gayá to wuh ‘Íd ke dastúr ke mutábiq Yarúshalem ko gaye. Aur jab un dinon ko púrá kar ke lauṭe, to wuh laṛká Yisú‘Yarúshalem men rah gayá. Magar us ke mán báp ko khabar na thị́, balki wuh yih samajh kar ki wuh qáfle men hai, ek manzil nikal gaye, aur use apne rishtadáron aur ján pahchánon men ḍhúnḍhne lage, aur na pá kar us kí talásh men Yarúshalem ko wápas gaye. Aur unhon ne tín roz ke ba‘d use haikal men ustádon ke darmiyan baiṭhá un kí sunte aur un se suwál karte páyá, aur jitne us kí sun rahe the, us kí samajh aur us ke jawábon se muta‘ajjib the, aur wuh use dekh kar hairán húe, aur us kí mán ne us se kahá; Beṭá tú ne ham se aisá kyún kiyá? Dekh, terá báp aur main kuṛhte húe tujhe ḍhúnḍhte the. Us ne un se kahá; tum mujhe kyún ḍhúnḍhte the, kyá tumhen yih khayál na thá ki wuh zarúr apne Báp ke ghar men hogá? Magar jo bát us ne un se kahí wuh us ko na samjhe. Tab wuh un ke sáth rawána hokar Násarat men áyá, aur un ke tábi‘ rahá aur us kí mán ne yih sab báten apne dil men rakkhín.
Aur Yisú‘ hikmat aur qadd o qámat men aur Khudá aur ádmíon kí maqbúlíyat men taraqqí kartá gayá.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham kaffáre kí qurbání tere hazúr guzránte húe
tujh se minnat karte hain
Ki Khudá kí Kunwarí Mán aur Muqaddas Yúsuf kí sifárishon kí badaulat
tú hamáre gharánon ko apne fazl aur salámatí men hamesha qáim rakh.
Masíh hamáre Khudáwand ke wásile se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Bárúk) Baruch 3:38
Hamárá Khudá zamín par nazar áyá aur ádam-zád ke darmiyán chalá phirá

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai niháyat mihrbán Báp
Tú hamen apní ásmání chízen bakhsh kar rúhání sihhat ‘atá kartá hai
Yih bhí ‘ináyat farmá ki ham
Har waqt Pák Khándán ká namúna apní nigáhon ke áge rakhte húe
Ún tínon Mubárak hastíon kí pairawí kar ke
Is dunyá kí musíbaten sabr ke sáth sahne ke ba‘d
In hí kí dáimí rifáqat kí shádmání hásil karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wásile se. Ámín.
 ...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out theSacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and ExtraordinaryForms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment