Friday 21 December 2012

23 Dec 2012, 4th Sunday of Advent C


Ámad Ká chauthá Itwár C

khilah (EntranceAntiphon): Cf. Is45: 8
Ai ásmánon os girne do,
ai bádalon, sádiq ko áne do, zamín khul jáe
aur naját dahinda záhir ho.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Terá firishta hamáre pás paighám láyá
Ki terá Beṭá insán baná
Hamen apne fazl se ma‘múr kar
Aur Muqaddasa Mariyam kí shafá‘t se bakhsh de
Ki Masíh Khudáwand kí azíyat aur salíbí maut
Hamen jí uṭhne kí ‘azmat tak pahunchá den.
Jahán wuh tere sáth Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai.Ámín.

Readings
Pahlí Tiláwat: (Míká nabí kí kitáb) Micah 5:1-4
Tujh men se wuh nikalegá jo Isráíl kí gallabáníkaregá

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm79:2-3,15-16,18-19  Jamá‘ati jawáb áyat: 4
(Jamá‘ati jawáb)
Ai lashkaron ke Khudá, ham kobahál kar
aur apne chihre ká núr ham par chamká aur ham bach jáenge.

Dusrí Tiláwat: Hebrews 10:5-10
Main áyá hún ki terí marzí bajá láún.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudákí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: Lk1:38
Hallelujah Hallelujah
Main Khudáwand kí bandí hún,
Mere liye tere qaul ke muwáfiq ho
Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 1:39-45
Mere liye ‘izzat kí bát kaise húí ki mere Khudáwand kí má mere pás áí

Un hí dinon men Mariyam uṭh kar jaldí se kohistán[1]men Yahúdáh ke ek shahr ko gayí. Aur Zakaryáh ke ghar men dakhil hokar Ilísábát ko salám kiyá. Aur jonn Ilísábát ne Mariyam ká salám suná to bachcha us ke batn men uchhal paṛá aur Ilísábát Rúh-u’l Quds se bhar gayí. Aur buland áwáz se pukár kar kahnelagí. Ki tú ‘auraton men mubárak hai aur tere batn ká phal mubárak hai. Aur mere liye yih bát kaise húí ki mere Khudáwand kí mán mere pás áí? kyúnki dekh jonhí tere salám kíáwáz mere kán men pahunchí, to bachcha mere batn men khushí  se uchhal paṛá. Aur mubárak hai wuh jo ímán láí, kyúnki jo baten Khudáwand kí taraf sekahí gaí thín wuh púrí hongí.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áfkí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Bakhsh de ki wuhí Rúhu’l Quds
Jis ne apní qudrat se Muqaddasa Mariyam ke batn ko pur kiyá
In nazránon ko pák kare
Jo ham tere altár par pesh karte hain
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Is 7: 14
Dekh ek kunwárí hámila hogí, aur use beṭá hogá aur us ká nám‘Immánúel hogá.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Qádir I Mutliq Khudá
Ham apní abdí naját kí zamánat ya‘ni Masíh Khudáwandká
Badan aur khún le kar tujh se iltijá karte hain
Ki jitní nazdík hamárí naját kí ‘íd á rahí hai
Ham díndárí aur ‘aqídat-mandí ke sáth
Utní hí ziyáda taraqqí karte jáen
Táki láiq taur par
Tere piyáre Beṭe kí paidáish ká din maná saken
Jo tere sáth hamesha se hamesha tak
zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.
...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out theSacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and ExtraordinaryForms of the Rite at The Divine Lamp click here



[1] InPersian, koh=peak ustán=province

No comments:

Post a Comment