Friday 14 December 2012

16 Dec 2012, 3rd Sundy of Advent C


Ámad Ká Tísrá Itwár C
Gaudete Sunday

khilah (Entrance Antiphon):( Filippíon) Phil 4: 4-5
Khudáwand men khushí karo,
dobárah kahtá hún khushí karo.
Kyúnki Khudáwand nazdík hai.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai mihrbán Khudá
Tú dekhtá hai ki ham tere log dil-o-jan se
Apne Khudáwand ki, paidáish ke din kí taiyáríyán kar rahen hain
Hamárí ‘ájizánah du‘á hai ki hamen yih fazl bakhsh
Ki ham apne ‘azím naját dahinda kí ‘íd
Baṛe shauq aur nek iráde, pur-josh du‘á aur dilí shádmání se maná saken
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Readings
Pahlí Tiláwat: (Safaniyáh) Zephaniah 3:14-18
Wuh terí khátir shádmán ho kar goyá raqs karegá

Pák Kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Canticle: (Isha‘yá) Isaiah 12:2-6 Jamá‘ati jawáb áyat: 6
(Jamá‘ati jawáb) Khushí se lalkáro, kyúnki Isráíl ká Quddús ‘Azím tumháre darmiyán hai.

Dusrí Tiláwat: (Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Filippíon Ke Nám)  Philippians 4:4-7
Khudáwand  bahut hí nazdík hai

Pák Kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: Is61:1(Lk4:18)
Hallelujah Hallelujah
Rúh-e Khudáwand mujh par hai
Us ne mujhe bhejá hai ki miskínon ko khushkhabrí dún.
Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 3:10-18
Phir ham kyá karen?

Us waqt logon ne Yúhnná se yih púchhá ki phir kyá karen?  Us ne jawáb men un se kahá, ki jis ke pás do kurte hon, wuh us ko banṭ de jis ke pás na ho, aur jis ke pás kháne kí chízen  hon wuh bhí aisá h́i kare. Aur mohssil bhí baptisma lene ko áe, aur us se kahá, ki Ai ustád, ham kyá karen?  Us ne un se kahá; Jo tumháre liye muqarrar hai, us se ziyáda na lo. Aur sipáhíon ne bhí us se yih kah kar púchhá, ki ham kyá karen? Us ne un se kahá ; Na kisí par zulm karo na kisí se náhaqq kuchh lo, aur apní tankhwáh par iktifá karo.

Aur Jab logon ko baṛí ummed hone lagí aur sab apne apne dil menYúhanná  kí bábat sochne lage ki sháyad yih hí Al-Masíh hai, to Yúhanná ne jawáb men kahá; ki Main tumhen pání se baptisma detá hún, magar mujh se ek qawí-tar ánewálá jis kí jútí ká tasma main kholne ke láiq nahín. wuh tumhen Rúhu’l Quds aur  ág se baptisma degá. Us ká chháj us ke háth men hai aur wuh apne khaliyán ko khúb saf karegá, aur gehúon ko apne khatte men jama‘ karegá aur bhúse ko us ág men jaláegá jo bujhtí nahín. Aur nasíhat kí bahut sí baten karke logon ko khushkhabarí detá rahá.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Apní kalísiyá ko yih bakhsh de
Ki múminon kí ‘aqídat kí qurbání lagátar terí nazr kí játí rahe
Táki ham sab terí ‘ibádat aur sitáish karen
Aur terí naját ham men mukammal taur par asar páe
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Cf. Is 35: 4
Kam himmaton se kah do ki hausalah karen aur na ghabráen
Kyúnki hamárá Khudáwand áne ko hai. Jo hamen naját degá

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand , Hamáre Khudá
Terí rahmat ke liye ham tuj se iltijá karte hain
Bakhsh de ki is ‘ibádat kí madad se
Ham gunáhon par pashímán hon
Aur is tarah ánewálí ‘íd kí sanjídagí ke sáth taiyárí karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment