Sál ke daurán
Chhabbíswán Itwár (B)
Dákhilah (Entrance Antiphon):
(Dániál) Dn 3:31,29,30,43,42
Ai Khudáwand jo kuch tú ham par láyá hai aur ham se
kiyá hai
tú ne wuh ‘ahd o sadáqat se kiyá hai.
Kyúnki ham ne tujh se ru gardání kar ke gunáh kiyá
thá.
Ham ne tere hukmon ko nahín máná thá.
Pas apne nám ká jalál záhir kar aur apní intiháí rahmat ke
mutábiq ham se sulúk kar.
Readings
Pahlí Tiláwat:
(‘adad kí kitáb) Numbers 11:25-29
Tú mujh par rashk karta hai? kás ki Khudáwand ke sab log
nabí hote
Zabúr: Psalm
18: 8,10,12-14 Jamá‘ati jawáb áyat:9
Khudáwand ke qawá‘id dil ko masrúr karte hain
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Ya‘qúb Rasúl Ká Khatt) James 5:1-6
Tumhárí daulat gal saṛ rahí hai
Hallelujah: (Yúhanná) Jn 17:17
Hallelujah, Hallelujah
Ai Khudáwand terá kalám sachcháí hai
sachcháí ke wasíle se hamen muqaddas kar
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke mutábiq) Mark
9:38-43.45.47-48
Jo hamáre khiláf nahín wuh hamárí taraf hai,
agar terá háth tujhe ṭhokar khiláe to use káṭ ḍál
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh,
terí sitáish ho.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Ps 118:49-50
Ai Khudáwand, us kalám ko yád kar jo tú ne apne bande se
kiyá hai,
aur jis se tú ne ummed daláí hai.
Merí musíbat men yihí mere liye tasallí ká bá‘is hai.
OR
(1 Yúhanná) 1 Jn 3:16
Ham ne is se Khudá kí muhabbat ko jáná
hai
ki us ne hamáre wáste apní ján de dí
is liye cháhiye ki ham bhí bháiyon ke
wáste ján den.
...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here
For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the
Sacred Page click here
From The
Gospel of Mark by Mary Healy, comnenting
on Mark 9:39-40: Reflecting onthe Gospel for theTwenty-Sixth Sunday in Ordinary Time.
Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary
Forms of the Rite at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment