Thursday, 20 September 2012

23rd September 2012 - Twenty-Fifth Sunday in Ordinary Time B


Sál ke daurán Pachíswán Itwár (B)

khilah (Entrance Antiphon):
Khudá farmátá hai ki ummat ká bachánewálá main hí hún,
wuh kaise bhí dukh men mujhe pukáren main un kị sunúngá,
Main hamesha ke liye unhí ká Khudáwand rahúngá.

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Hikmat kí kitáb) Wisdom 2:12.17-20
Áo ham us par ruswáí kí maut ká fatwá lagáen

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho

Zabúr: Psalm 35:3-6, 8 Jamá‘ati jawáb áyat: 6
Khudáwand merí ján ká muháfiz hai

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Ya‘qúb Rasúl Ká Khatt) James 3:16-4:3
Sulh karánewále jab sulh ke liye kám karte hain to aisá bíj bote hain jo sadáqat ká phal láegá

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho

Hallelujah: (Yúhanná) Jn 8:12
Hallelujah, Hallelujah
Khudáwand farmátá hai
Duniyá ká núr Mainn;
jo merí pairawí karegá,
wuh zindagí ká núr páegá.
Hallelujah
OR
Hallelujah:Cf. (Tassáluníkíon) 2Th 2:14
Hallelujah, Hallelujah
Injíl ke wasíle se Khudá ne hamen buláyá
táki hamáre Khudáwand Yisú‘ Masíh ke jalál men shirkat karen.
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke  mutábiq) Mark 9:30-37
Ibne Insán ádmíon ke hawále kiyá jáegá, agar koí awwal honá cháhe to sab ká khádim bane.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Psalm 118:4-5
Tú ne apne qawái‘d is liye diye hain ki jí ján se máne jáen.
Kásh merí ráhen aisí mustaqil hon ki main tere qawánín ko mánún.
OR
(Yúhanná) Jn 10:14
Khudáwand farmátá hai: Achchhá charwáhá main hún,
Main apní bheṛon ko jántá hún, aur wuh merí bheṛen mujhe jántí hain

...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here


Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment