Friday, 14 September 2012

16th September 2012 - Twenty-Fourth Sunday in Ordinary Time B


Sál ke daurán chaubíswán Itwár (B)

khilah (Entrance Antiphon):
(Yishú‘ bin Sirákh) Sirach 36:18
Ai Khudáwand jo terá intizár karte hain un ko salámatí bakhsh
táki tere ambiyá kí sachchái záhir ho
apne bande aur apní ummat kí du‘áen qabúl kar.

Readings
Pahlí Tiláwat:
Isha‘yá nabí ká sahífa (Isaiah 50:5-9)
Main ne apní píṭh márnewálon ko dí

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm114:  1-6, 8-9 Jamá‘ati jawáb áyat: 9
Main Khudáwand ke huzúr arz-i zindgán men chaltá rahúngá OR Hallelujah

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Ya‘qúb Rasúl Ká Khatt) James 2:14-18
Agar ímán ke sáth nek a‘mál na hon to wuh bilkul murda hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: (Yúhanná) Jn 14:6
Hallelujah, Hallelujah
Khudáwand farmátá hai:
Ráh, aur Haqq, aur Zindagí Mainn;
Mere wasíle ke baghair Báp ke pás koí nahín á saktá
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke  mutábiq) Mark 8:27-35
Tú Al-Masíh hain, zarúr hai ki Ibne Insán bahut dukh uṭháe

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Psalm 35:8
Ai Khudáwand terá karm kyá hí beshqimat hai.
Baní nau‘ insán tere paron ke sáye kí panáh lete hain
OR
(1Qurintíon) 1 Cor 10:16
Barakat ka piyála jis par barakat dete hain,
Masíh ke khún kí shirákat hai.
Wuh roṭí jo ham toṛte hain wuh Masíh ke badan kí shirákat hai.
...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment