Masíh ke Pák Badan aur Khún kí ‘Íd
Dákhilah (Entrance Antiphon): Cf.
(Zabúr) Ps 80: 17
Us ne unhen gehún ká maidah khiláyá
aur chaṭán ke shahd se ser kar diyá
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Khurúj) Exodus 24:3-8
Yih Khún us ‘ahd ká hai, jo Khudáwand ne tumháre
sáth bándhá hai.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr: (Zabúr) Psalm 115:12-13, 15-18 Jamá‘ati jawáb áyat: 13
Jamá‘ati jawáb:
Main naját ká piyála le kar Khudáwand ká nám lúngá
ya
Hallelujah
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt ‘Ibráníon ke nám) Hebrews 9:11-15
Masíh ká khún hamáre zamáir ko murda kámon se pák kar
saktá hai.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Hallelujah: (Yúhanná) Jn6:51-52
Hallelujah, Hallelujah,
Main wuh zinda roṭí hún jo ásmán se utarí hai
Agar koí is roṭí men se kháe to hamesha tak zinda
rahegá
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke mutábiq) Mark 14:12-16, 22-26
Yih merá badan hai, yih merá khún hai.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Pák Sharákat kí áyat (Communion
Antiphon): (Yúhanná )Jn 6: 57
Is liye ki tum beṭe ho,
Khudáwand
farmátá hai ki jo merá gosht khátá aur merá khún pítá hai,
wuh mujh men qáim rahtá hai, aur main us men.
----
Podcasts:
For reflection by Dr. Scott Hahn click here download mp3
Pope Benedict XVI’s Sermon for Corpus Christi here
For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here
Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here.
No comments:
Post a Comment