Tuesday 6 August 2013

Tuesday 6 August 2013, The Transfiguration of the Lord Gospel Reading

Masíh Khudáwand kí Tabdílí-i Súrat kí ‘Íd


Hallelujah: (Matí) Matthew 17:5
Hallelujah, Hallelujah
Yih merá Beṭá hai Al-Mahbúb, 
jis se main khush hún, 
us kí suno
Hallelujah
 

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 9:28-36
Yisú‘ ke du‘á karte waqt us ke chihre kí súrat badal gayí.

Ek din Yisú‘, Patras, aur Yúhanná, aur Ya‘qúb ko sáth le kar ek paháṛ par du‘á karne gayá. Aur us ke du‘á karte waqt us ke chihre kí súrat badal gayí, aur us kí poshák safed barráq ho gayí. Aur dekho, do ádmí us se guftagú kar rahe the, yih Músá aur Iliyás the. Jo jalál men dikháí diye, aur us ke intiqál ká zikr karte the, jo Yarúshalem men hone ko thá. Magar Patras aur us ke sáthí nínd se bhare the, aur jab jáge to us ke jalál ko, aur un do ádmíon ko dekhá jo us ke sáth khaṛe the. Aur jab wuh us se judá hone lage, to Patras ne Yisú‘ se kahá, ki Ai Ustád hamárá yahán honá achchhá hai, pas ham tín ḍere banáen, ek tere liye, aur ek Músá ke liye, aur ek Iliyás ke liye, lekin wuh jántá na thá ki kyá kahtá hai. Wuh yih kah hí rahá thá, ki bádal áyá, aur un par sáya kiyá, aur in ke bádal menkhil hone par wuh ḍar gaye. Aur bádal men se ek áwáz áí, ki yih merá Beṭá hai, Almaqbúl, tum us kí suno. Aur áwáz áte hí Yisú‘ akelá páyá gayá, aur wuh chup rahe, aur unhon ne jo kuchh dekhá thá, un dinon men kisí se kuchh na kahá.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.

Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

No comments:

Post a Comment